haha Pakistani bilkul seedha aor aasan sa sawal ha
jo bi is k bare main aap ka kheyal ha share karin
Experience age se aata hai
ya Koshish se???"
Experince nah to age se aata hey ur nah hi koshish se bulkeh yeh to poroblems ko face kerne ke baad aata hey, Jitti zeyada problems face karega itta hi zeyada is ko experience hoga, Her galti insaan ka experience berha deti hey,
"sense waqat se aati hai
ya Experience se???"
Sense bhi nah waqt se aati hey ur nah hi experince se, yeh to God gifted hey, shoro hi se insaan ke saath hoti hey, insaan jub shaoor men qadam rakhta hey to us men chupi qualities saamne aana shoro ho jaati hen, ur inhi qualities men eik sence hey, nah yeh waqt se aati hey ur nah hi experience se.
1st
"Experience age se aata hai
ya Koshish se???"
well waqt insaan ko buht kch sikhata hai..or ap koshish karo gaye tab he ap ko experience hoga acha ya bura wo depend kerta hai lakin koshish kernay se he experience hota hai...or umer k saath saath b experince hota hai ird gird dekh ker logon k saath se..ird gird k mahool se
2nd
"sense waqat se aati hai
ya Experience se???"
waqt k saath saath aa jati hai...jab bacha chota hota hai us ko kch pata nai hota....jab thora bara honay lagta hai acha bura nazar ata hai soch ati hai khud ba khud us ko samhj anay lagti hai.....so i ll se keh dono tarha se ati hai
Last edited by ~*Rano*~; 28-08-2010 at 07:20 AM.
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Firs question.."Experience age se aata hai
ya Koshish se???"
mein samajhti hun dono hi baatein hain..
kuch logon ko experience koshish karne se ata hai..woh jo kehtey hain na thokar lagne se hi bacha gir kar sambhalta hai..wew
aur kuch logon ko umar buhut kuch samjha deti hai..kyunke unhone zindagi ke kayi rukh dekh liye hotey hain..zindagi ki dor dhoop mein shamil; rahey hotey hain aur aise mein buhut se utar charao woh dekh chukey hotey hain..
tu mera khayal hai dono baatein hain...
2nd question "sense waqat se aati hai
ya Experience se???"
Yahan bhi mein dono0 baton se ittefaq karongi..
waqt ka sochon tu yeh khayaal ata hai k..
jab hum dunia mein atey hain..humein koi samajh nahiin hoti hum na samajh hotey hain dunia se anjaan hotey hain
magar waqt ke saath saath hum sahoor ki seerhiyaan tey kartey hain tab ja ker humein maturity ati hai..
magar iska matlab yeh bhi nahiin ke ''Experience'' koi ehmiyat nahiin rakhta
experience ka bhi sense se buhut bara talq hai
jab tak hum kisi cheez ko karein ge nahiin us cheez ki humein samajh nahiin asakti..
Misaal ke tor per..
hum physic chemistry ko le lete hain..jab tak hum kisi formulay ko samjhey ge nahiin usey hal kar ke nahiin dekhein ge reult kesay ayega..us cheez ko karne ke baas humein experience aya ke yeh aise hua tha aur iska result aise ata hai..
thats why
experience age se bhi ata hai aur koshish se bhi
sense waqt se bhi ati hai aur experience se bhi.../happo
Alhamdullilah
experience experiment krne se aata hai
sense hoti hai but hum use nai krte