bahut umda
main apni ratoon ki fursat main tjhe manaoun to maan jana
agar kisi din main apne anso jo lekar aon to maan jana
yeh ik dil he tumhe dya tha so isko tumne tor dala
shikasta dil ki kirchiyun ko jo samait laon to maan jana
Tu khush nahi hai meri baqa par to sirf itna bata
teri khushi klye jo sooli pe charh jaon to maan jana
to badguman hai meri wafa par to sirf aik bar azma le
jo haar jaon to laut ana jo jeet jaon to maan jana
bahut umda
shukriyaa
Abi na khul abi thora hijab rehnay day
Kuch aur din mujhe yoon hi kharab rehnay day
Ujaar day meray dil ki tamam dharti ko
Bus ek shehar, mera shehar-e-khawab rehnay day
...Wohi huwa na bicharnay pay baat aa ponchi
Tujhe kaha tha puranay hisab rehnay day
Meri hatheli pay likh day her ek nakami
Meray Khuda tu usay kaamyab rehnay day
Warq warq na tu aisay lakeerain khainchta ja
Kitab-e-umer mein koi to baab rehnay day
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
......Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey
v.nice sharing............
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
aliza.. keep it up
thanksssssssssssss
ok g maaan jao ga...but sooli pr mt charhna..ok
bht khoooooooob g..