hahahah , how funny moments , hahahahahhahahahah
sab k sab
hahahah , how funny moments , hahahahahhahahahah
sab k sab
ap k kahan hain pakistani bhaiya
none
sabbbbb k buhtttttttttttttttttt mazay k hain
per me nai sunana
sab hansien gaye muj pr
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
ajj k liye aik suna daita hon jaldi main ...
maira aik dost hai usman ... hum log bachpan say sath hain aur umeed pachpan tak sath rehnay ki hai matlab k dosti ki baat karin Usman aur main Baithay thay apna appartment k Bahar hi mastiyaan kar rahay thay ... too usman ko main nai Awain Mazak main Chamba .. chamat , chapair ya slap ( jisay jo samajh aye wohi rakh lay) mara too woh thora taiz hogaya ghalati say woh me ko na marnay dora aur main usay Munh Chirata howa kabhi peechay munh kar k dorta to kabhi agay buss thori dair zayada peechay mur k daikhta reh gaya aur samnay ka na daikh saka samnay say atay howay Cycle par baithay chacha ka Munh Akhiri waqton main daikha jab main Cycle say Thuknay k 2 Inch Kareeb honga .. Ghusssay main bhara Paraishan Chehra tha unka kafi ajeeb dikhay woh jhalak thi ya na rahi khair chacha pori cycle samait meri RAAN phar k ghussnay ki koshish main rahay par main apna wazan i mean apnay pair Zameen par mazeed ka jama saka aur hawa ki nazar hogaya aur Mathay (forehead) k bal zameen boos hogaya Usman jo k Ghussay main tha woh Hasnay laga aur main jo k Hans raha tha Ronay jaisa hogaya apni madad app uth k main seedha khara howa zehan main yeh tha k koi ayega kareeb haal poochay ga laikin nahi jee koi nahi aya Usman Door khara hansay jaraha tha aur wahan mojood loog apas main hi batain kartay rahay ya too woh Andhay Gongay Behray thay ya fir unhain main ya woh Cycle walay hi sirf nahi dikh rahay thay pata nahi kia tha barhal jo bhi tha apnay kapray khud hi jhaar k main sar jhukaye Izzat say ghar gaya darwazay par hi Ammi milin aur aik unhon nai Gaaal par dai mara hosh main anay say pehlay hi ammi ki awaz ayi k yeh Peshani par kia howa hai Ayenay main daikha to hamain bhi Tomb of Akbar Nazar aya peeshani Soojh kar Goongloo Batata bani hoi thi
Busss fir kia tha wahi garam kapray aur sekayi aur besharmi k sath daant aur ammi ki sweet gaaliyan