ajj k liye aik suna daita hon jaldi main ...
maira aik dost hai usman ... hum log bachpan say sath hain aur umeed pachpan tak sath rehnay ki hai
matlab k dosti ki baat karin
Usman aur main Baithay thay apna appartment k Bahar hi mastiyaan kar rahay thay ... too usman ko main nai Awain Mazak main Chamba .. chamat , chapair ya slap ( jisay jo samajh aye wohi rakh lay) mara too woh thora taiz hogaya ghalati say
woh me ko na marnay dora aur main usay Munh Chirata howa kabhi peechay munh kar k dorta to kabhi agay
buss thori dair zayada peechay mur k daikhta reh gaya aur samnay ka na daikh saka
samnay say atay howay Cycle par baithay chacha ka Munh Akhiri waqton main daikha jab main Cycle say Thuknay k 2 Inch Kareeb honga .. Ghusssay main bhara Paraishan Chehra tha unka
kafi ajeeb dikhay woh jhalak thi ya na rahi khair chacha pori cycle samait meri RAAN phar k ghussnay ki koshish main rahay par main apna wazan i mean apnay pair Zameen par mazeed ka jama saka aur hawa ki nazar hogaya
aur Mathay (forehead) k bal zameen boos hogaya
Usman jo k Ghussay main tha woh Hasnay laga aur main jo k Hans raha tha Ronay jaisa hogaya
apni madad app uth k main seedha khara howa zehan main yeh tha k koi ayega kareeb haal poochay ga laikin nahi jee koi nahi aya Usman Door khara hansay jaraha tha aur wahan mojood loog apas main hi batain kartay rahay
ya too woh Andhay Gongay Behray thay ya fir unhain main ya woh Cycle walay hi sirf nahi dikh rahay thay
pata nahi kia tha barhal jo bhi tha apnay kapray khud hi jhaar k main sar jhukaye Izzat say ghar gaya darwazay par hi Ammi milin aur aik unhon nai Gaaal par dai mara
hosh main anay say pehlay hi ammi ki awaz ayi k yeh Peshani par kia howa hai
Ayenay main daikha to hamain bhi Tomb of Akbar Nazar aya
peeshani Soojh kar Goongloo Batata bani hoi thi
Busss fir kia tha wahi garam kapray aur sekayi aur besharmi k sath daant aur ammi ki sweet gaaliyan