Aik Arzoo
(Allama Iqbal)
Duniya ki mehfilon se uktaa gya hoon ya Rabb
Kya lutf anjuman ka, jab dil hi bujh gya ho?
Shorish say bhaagta hoon, dil DhoonDta hai mera
Aisa sakoot jis par taqdeer bhi fidaa ho
Marta hoon khamoshi par, yeh aarzoo hai meri
daaman mein koh ke, ik choTaa saa jhonpRa ho
Azaad fikr se hoon, uzlat mein din guzaaroon
dunya ke gham ka dil se kaanTa nikal gya ho
lazzat sarod ki ho chiRiyon ke chehchehon mein
chashme ki shorish mein baaja saa baj raha ho
gul ki kali chiTak kar paighaam day kissi ka
saaghar zara saa goya, mujhko jahaan-numa ho
ho haath ka sarhana, sabza ka ho bachoona!
sharmaaye jis se jalwat, khlawat mein woh ada ho
maanoos is qadr ho soorat se meri bulbul
nannhay se dil mein us kay khaTka na kuchh m'ra ho
Saf baandhay donoN jaanib booTay haray haray hoN
nadi ka saaf paani tasveer lay raha ho
ho dilfareb aisa kohisaar ka nazaara
paani bhi mawj ban kar uTh uTh kay dekhta ho
Aaghosh mein zameen ki soya huwa ho sabza
phir phir kay jhaRiyon mein paani chamak raha ho
paani ko choo rehi ho jhuk jhuk ke gul ki Tehni
jaisay haseen koi aa'ina dekhta ho
mehndi lagaaye sooraj jab shaam ki dulhan ko
surkhi liye sunehri har phool ki qabaa ho
raaton ko jalne waalay reh jaain thak kay jis dum
Umeed unki mera TooTa huwa diya ho
bijlee chamak kay unko kaTiya m'ri dikhaa de
jab aasmaan pe har soo baadal ghara huwa ho
pichle pehr ki koy'al, woh subaH ki muazzin
main uska hum-navaa hoon, woh meri hum-nava ho
kaanoN pe ho na mere dair o haram ka ihsaan!
rozan hi jhoNpRee ka, mujhko sehr-numa ho
phooloN ko aaye jis dam shabnam wuzu karne
rona mera wuzu ho, naala meri dua ho!
Is kham'shi mein jaain itne buland naalay
taaron kay qaafilay ko meri sadaa dara ho
Har dardmand dil ko rona mera rulaa day
bayhosh jo paRay hain shaayad inhein jagaa day!