yee ap ne khud likhi hay ?
Chupai kaise bhala pyar apna duniya se,
Likha hua mere chahre pe naam hai tera.
Tera khyaal mere dil main yuon uterta hai
Ki sahilon pe koi, jaise paanv dhereta hai.
Chupaon bhala kaise apna pyaar duniya se
Tere siwa nahin jachta koi nigahon main.
Jo too kahe to bikher jaaon teri rahon main
Nazer kanez teri, dil gulaam hai tera
Likha hua mere chehre pe naam hai tera.
Hamare pyaaar ki sadiyon se aashnayee hai
Meri nazer main azal se kayaam hai tera
yee ap ne khud likhi hay ?
Shukriya Janab, Ye meri likhi hui
nahin. Ye Janab Qateel Shifai jane
maane mash hoor Shayer ki hai.
Humne to aapki khidmet mai pesh ki
hai. Mai poonch sakta hui, aap ke
savalaat ki vajeh? All the Best.
pehle to u are welcome
aur maine savalaat nahi,sawal kia tha bas ik. uski wajah thi ke mujhe doubt hay kuch.
ya to ye qateel shifaai ki nahi hay, ya phir properly post nahi ki gai.
i may be wrong . if u can.please check
poetry bohat achi hay/up
lakin kuch missing hay......
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
Hello Killer ( Bara darawna Naam hai)
and ST, aapka sochan vajib hai ki gazal
kuch missing hai. Maine bhi jeb isko read
kiya to aisa he laga. Ye Janab Qateel Shifai
ke hi hai 100%. Ye jo beech main misra diya
hai" Jo too kahe to bikher jaaon teri rahon main"
ye kewal misra he hai iska doosra misra ho to
ek sher ho jaye. Yahan aapko kuch kami lag rahi hai.
Pehle socha ki is misre ko chor doon per khyaal
aisa ker ne se Ghazal ki beadbi ho ti hai. I will
trace it out and intimate u both the ourtcome.
Till than Bye Bye. Okay Mod. sahiba.
understood .. ghal boht achi hay no doubt. keep sharing.
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا