JugNo RasTa Bho0l GaYe Hain !!
AbeeraH ..!!
beta bas karo ..ab andar ajao bemaar par jao gi ! Ammi ne abeerah ko pukara !
Abeerah jo dhuan dhaar hoti barish mein bheeg rahi thi..
chehrey pe betahasha masoomiyat liye..bachon ki tarhan barish se jama ho janey waley paani mein chapar chapar kartey..woh khud bhi aik choti bachii lag rahi thi..
Amii ki awaaz per us ne chonk ker dekha pal bhar mein uska chehra utar gaya..
''Ammi bas thori dair aur..dekhein mausam kitna acha horaha hai..aise mausam koi roz roz thori atey hain ..plz ammi plz plz !''usne rohansey hotey huye iltija ki !
rehney do abeerah ki maa yehi tu umar hoti hai bachon ki phir tu inhoney agley des chaley hi jana hai..Abba jaan bhi uski madad ko aye !
Master sahab.!.''Aap apni ladli ki adatein bigaar rahein hain...
koi keh sakta hai ke yeh jawaan jehaan BSc ki student hai..Had hai...
dekhiye ji..mein jo kehti hun Iskey bhaley ke liye kehti hun..yeh soch soch kar meri himmat jawaab de jati hai ke agley ghar ja ker Iska kya hoga??
Zara bhi jo is mein ehsaas-e-zimeydaari ho !'' Ammi ne fikermand lehjey mein kaha !
''Samajh jaye gi..ahista ahista sab samajh jaye gi..
apko yaad hai begum..jab aap yahan biyah kar ayi thein tu aap ko bhi karna werna kuch nahiin ata tha..sab uch apne amma jaan se hi tu seekha hai ''
''yeh tu apne theek kaha amma jaan Allah unko karwat karwat jannat ata karey..buhut hi achi thi''
''Dua karti hun abeerah ke naseeb mein bhi itni hi achi saas hon...'' unhoney abeerah ko kamrey mein jatey dekh kar kaha !
******************
waqt ka kaam hai guzarna tu woh guarta jata hai.. abeerah bhi buhut se khawab liye apney tayazaad JABBAr ahmed ke ghar dulhan ban kar utri...
Magar yahan akar uskey khawab aik aik kar ke toot gaye..
jabbar ahmed ko usney pehli baar dekha tha tu pehla khayaal yehi aya tha ke sanjeeda mizaaj ke hain..magar shadai ke baad inko badal lon gi..
magar woh tu muskuratey bhi mushkil hi se they..abeerah ke armaano per ous per gayi..
unhein uski shayri ki kitabon se chir thi...usney parhna chor dein..
unhein uska bewaja muskurana pasand nahiin tha.us ne ..muskurana bhi buhut kam ker diya !..woh larki jo yeh azam kar ke ayi thi ke sab ko apney jaisa bana lun gi..khud unkey rang mein rangti chali gayi..woh jugno khusbouon ki batein karney wali larki tu kahiin peechay hi reh gayi...
******************
Wow Barish ! Uski nand areeba ne shor machaya....
haye maza aye ga..chalo outing per chaltey hain...jabbar ke phopi zaad behen bhai bhi aye huye they..
sab ne minton mein program bana liya..
Bhabhi..!! aap bhi chalein sach bara maza aye ga..apko barish pasand hain na..
aur wes bhi ap kafi din se kahiin nahiin gayi...Areeba ki baat per usne muskura kar haami bhar li..
Abeerah ! beta tum kahan ja rahi ho?? uski saas kitchen se baramad hui..
''Beta mehmaan aye huye hain kitchen mein itna kaam para hai khali naukaron per tu nahiin chor sakti..
tumhari phopi kya sochein gi..??
tum phir kabhi chali jana ! woh mohabbat se goya huyin..
Aur abeerah ko laga aaj sahii maani mein uske andar rehney wali albeli abeerah mar gaYi hai..kitchen mein kam kartey kartey usey lag raha tha k jaisey aj woh khud se bichar gayi hai...
Aj aik aur abeerah ka janam hua hai..
Jo aik zimeydaar bahoo ,biwi aur bhabhi hai...
uski zimeydaariyaan waqt ke saath barhti gayi..sarey khawab sarey shoq practical life mein atey hi khatam ho gaye..
''Aisa hi hota hai..shaadi ke baad zindagi kitni badal jaati hai??
jis tarhan piya chahta hai usi rang mein rangti chali jaati hain hum larkiyaan...''
aaj abeerah buhut achii maa hai..uskey shohar mekay sasural sab jaga uskey saleeqay ki tareef hoti hai..aur woh muskura muskura ker sab ki tareefein samet'ti rehti hain..
Magar jab raat ko soney let'ti hai..
tu beikhtiyaar hi ansoo takiye ko bhigoney lagtey hain..
usy lagta hai jaise uske anchal ke sarey jugno ur gaye hain..aik ajeeb sa dard dil mein uthta hai tesain barhata hai..aur woh khud ko buhut bebas mehsoos karti hai rishton ki dori mein bandhe huye..
usey be ikhtiyaar woh abeerah yaad ati hai..jis se miley usey barson ho gaye hain ..aur jisey us ne..Yadon ki kitaab mein Humesha ke liye band kar diya hai..
kabhi na kholney ke liye !!
"Be-basi ka ajeeb alam hai!
"Mujh ko mujh mein woh ab nahi milta!!"