Jaein gay door tak jo khiyalon ke silselay ,
Khud un se aa milein gay ujalon ke silselay,
Kuch iss liye bhi ho gaye gosha nasheen hum,
Had se hi barr chalay thay sawalon ke silselay,
Fursat nahin ke pursish-e-ehwal ker sakein,
Hum jantein hain bhoolney walon ke silselay,
Rah-e-wafa kathan hai sambhal ke chalo yahan,
Lamhon mein toot jatey hain saalon ke silselay,
Muddat ke baad aayein hain ghar ko jo loat ke,
Paayein hain muntazir wohi jaalon ke silselay ,
Taey jab talak na ho yeh biyabaan-e-zindagi,
Pairon ke sath sath hain chaalon ke silselay.