Karachi, jO ki ek mash-hOor sheher hai... yahan k bazaar, galiYan, rOshniYan... duniYa bhar mein mash-hOor hai... aur in hi kuch baazaarOn aur galiyOn ki bheer mein kuch aise insaan bhi hainjo khud ko akela mehsoOs karte hain.
un hi kuch lOgo mEin se ek "HUMA" naami larki hai...jO ki har waqt khush rehna chahti thi... muskurana chahti thi... magar wOh khudto dhukhi hOti hi thi... saath hi saath apne aas paas k logo ko bhi pareshaan kar deti... uski baatOn mein behad karwahat... aur lehjaY mein rookhapan tha... kabhi maa se jhagra... to kabhi bhai se laraYi... kabhi baap ki baat na maanti thi... naa chahne par bhi sab kO dukh deti thi... kaYi baar Huma k ghar walaY bhi pareshaan ho jataY ki Ye aisi kYon hai ? magar kOi uss se wajah na poOchta !
ek raat Huma ki Maa kisi wajah se 3-4 baje k kareeb uthin..aur Huma kO jagti dekh... bht pareshaan hui... pOochne par pata chala k Huma kO andhere se darr lagta tha... aur woh rOzana subha Roshni hOnaY k baad hi soYa karti thi...aur 2 ghantay ki neend k baad college aur ghar k kaamO mein masroof hO jati thi...
us k chirchirapan ki wajah uski neend ka muqammal na hOna tha...
lEkin uske darr ki fiqr kisi kO aaj bhi nahi !.... aaj bhi uskO yahi sikhaYa jaa raha hai k andhere mein sOna seekhO... unhE kOi yE q nahi samjhata k darr kO khatam karne k liYe darr ki wajah se chipka nahi jata...
Aur wOh masoOm larki aaj bhi "RoshniYon k shehr" ki raat mein chuppaY tarOn kO ginn ginn kar Raatien guzaar rahi hai...