SanWaL
Written By: Mishaal Ahmed
''Amma jee ! Sanwal kab aye ga ???''
Amma ji thi tu sanwal ki maa laiken sohni aur baqi bache bhi unko amma ji kehtey the..
''bhala kitney din ho gaye usey gaye??''sohni ke sawaal per amma ji ne kisi khayaal se chonktey huye poocha !
poorey 2 saal ho gaye usey gaye ! sohni ne ungliyon per hisaab kartey udaaasi bharey lehjey mein kaha !
''kitna waqt beet gaya usey dekhey.''.Amma ji ne apni geeli ankhein saaf kartey huye kaha !
Amma ji ki baat per usk dil bhar aya..woh ansouon ko parey dhakelti pichley sehan mein chali ayi..yeh wahid
pursukoon Gosha tha ja woh apney oper charhey sarey khol utar diya karti thi...Woh bargad ke pair ke neechay
beth gayi..usney apna sar ghutno per rakh liya..aur phoot phoot kar roney lagi...
sanwal uskey liye kya tha yeh us se behtar koi nahiin jaan sakta tha..
uski har khushi har ghum humesha sanwal se hi tu juda hua tha..jo door kahiin sarhad par apne mulk ki hifazat ko datta hua tha !
......................................
Sanwal ko bachpan se hi apney watan se buhut mohabbat thi..woh chahta tha..ke apney pyare watan ka chapa chapa dekh le
us mitti ko apney room room mein utar ley..bachpan mein jashn-e-azaadi ke moqey per sab se oucha jhanda uska hua kart tha..amma ji se zid kar ke
usney apney liye werdi silwa li thi..us werdi ko pehn kar ankhon mein mohabbat ke jehaan liye..Jhandey ko galiyon galiyon lehrata phrta..
Aur usney apney shoq ki takmeel bhi ki...
aj woh mulk ka bahadur sipahi tha..
uski hubul watni ki sab misaalein dete the..
...........................................
Sanwal aya hai !! sanwal ke chotey bhai ne narah lagaya..
Un awazon ko sun kar ghar ke baqi afraad bhi bahar nikal aye..
sehen ke beechon beech muskurata hua sanwal..werdi mein maloos muskura raha tha..
Bachee..tu maa ko kitna tarsata hai..tera koi khat bhi nahiin mila teri soorat dekhney ko meri borhi ankhein taras gayi thein ! Amma ji ne uski peshaani ko choomtey huye kaha !
Amma ji ! Apka beta aik bahadur sipahi hai..yahan se zyada uski wahan zarorat hai..pata hai amma ji mein apney watan ke liye buht kuch karna chahta hun..
uski ankhon mein khawab jhilmilaney lagey.
Per putar tu yeh kyun bh00l jata hai ke tere faraiz mein kuch aur log bhi shamil hain ..
kia hum sab tujhey pyarey nahiin hain?
aur ab tu aya hai tu teri shaadi ka bandobast kerti hun aise nahiin janey dun gi ! amma ji ne dhamki dene waley andaaz mein kaha
Arey amma ji naraz kyun ho rahi hai.apko pata hai na apka beta aap se kitna pyaar karta hain ! usne muskura kar unkey burhey wajood ko apni bahon mein le liya..
Aur rahi bata shaadi ki tu mujhey koi aiteraaz nahiin..han sohni se poochlein usne karni hai ke nahiin ! uska lehja shararti ho gaya !
sohni uski baat sun ker garbara kar wahan se hat gayi..
...............................................
Sohni aur sanwal ki baat bachpan se hi tey thi..sanwal sohni ka chacha zaad tha ayr waqt ke saath saath
un dono ko yeh ehsaas ho gaya tha ke dono aik durey ke liye kitney eham kitne khaas hain..
dono hi mohabbat ke us ehsaas ko samajhney lagey they..
magar sohni ko ney waley waqt se buhut darr lagta tha..usey sanwal ki baton se khaof ata tha..
sanwal aksar usey apney khawabon se agahi deta rehta tha..
pata hai sohni ! mera dil chahta hai Is watan ke liye qurban ho jao mein Is watan ke liye kuch aisa kar jaon jisey kar ke
Meri maa mere watan ka sar fakhar se ouncha ho jaye....aur tab hi mere dil ko woh qaraar woh sukoon miley ga..jiska mein barson se matlaashi hun ! woh dheere se muskuraya
Sohni ki suitu bas uskey qurbaan honey wali baat per atak ker reh gayi thi..uske poorey jism mein jaise current ki leher dor gayi..
Sanwal tu yeh kaisi baatein karta rehta hai aur mujhe darata rehta hai..jo ghazi hotey hain tu kia woh fakhar kiye janey ke bais nahiin hotey.tu itni bari khawahish na kar .
.mein tere bina kuch nahiin hun sanwal ! tu aisa na bola kar ! usney buhut dukh se kaha tha !
Pagli..tu bhi na !! mein tujhe itni jaldi chor ke jane wala nahiin hun..yeh wada hai mera ! uski rohansi surat dekh kar
usney baat palat di..
sohni bhi khud ko sambhaal kar muskurane lagi..
..................
sohni aur sanwal ki shaadi buhut dhoom dhaam se hui poorey pind mein laddo bantey the amma ji ne..
sab buhut khush they..
sohni ke sarey sapney sach ho gaye they..tu sanwal bhi usey pa kar buhu masroor tha..
magar saath saath usey kuch pareshaani andar hi anadr khaye ja rahi thi..usey khabrein milti rahi thein ke..parosi mulk ke saath kasheedgi barhti ja rahi hai.
hallaat sudharney ke bajaye bigartey hi ja rahey hain.
aur ho sakta hai ke sanwal ko bhi wapsi ke order ajayein..
Us ne amma ji ke saath kitchen mein masroof sohni ko zara ki zara dekha..
''pata nahiin halaat kya hon''
''najaney phir yeh khushiyaan kab dastak dein..mujhe sohni ko apney saath nahiin bandhna chahiye tha..mein ab na usey chor sakta hun aur na hi apney azam se peechay hat sakta hun..
kya karon...uskey chehrey mein fikermandi ke jaal bunnay lagey
...............
Sanwal ki pareshaani be waja nahiin thi..jis din parosi mulk se jang ki dhamkiyaan mili sanwal ko foran hi call kar liya gaya !
Amma ji sohni sab ghar waley uskey Is tarhaan achanak janey aur jang ki khabar sun kar buhut khauf zadah the..
''Putar mera dil nahiin maan raha tu na jaa ''
''phir janey kab tera chehra dekhna naseeb ho..mera dil ghabra raha hai..beta tu mana kar de ane se..sohni ka hi soch ley..Unhoney sohni ki taraf ishara kia..
jo holey holey laraz rahi thi..ankhon mein be tahasha ansoo bharey..anhoney khudshaat se uska dil kanp raha tha...
Sohni ko mujh per Fakhar hai amma ji aur apko bhi apney betay per fakhar hona chahiye..ke woh
Is mitti ke liye larney ja raha hai..Is pyare watan ke liye..
Amma ji phir mein Ghazi ban ker loton ya shaheed ho ker mein apney apko khush naseeb hi samjhon ga ! woh muskraney laga 1
Amma Ji ne uski peshani choomtey huye dheron duayein uskey saath kar dein..
Usney jatey hun mur kar sohni ko buhut ghor se dekha tha..aur phir woh uskey paas aya tha..
Suno sohni !
hmm?? sohni ne nazrein jhukaye jhukaye kaha ke mubada woh uski ankhon mein ati nami ko na dekh le
uski thori pakar ker uska sar ouncha kartey huye woh tanbiha lehje mein bola
''chahey kuch bhi ho jab mein wapas aon tu tum mujhe humesha ki tarhan muskurate huye milo gi..theek hai??''
au usney Is baat mein sar hila diya..
............
phir woh chalaa gaya..sohni mah-o-saal ke hisaab kitaab mein ulajh kar reh gayi..
aik aik din us per bhari tha..
koi lamha koi pal aisa nahiin tha jab usey sanwal ki yaad na ayi ho..
wahi kya ghar ka har fard sanwal ko yaad karta rehta..
Sanwal ka chota bhai manzar..kitni baar hi be dehaani mein sanwal agaya sanwal agaya ka shor macha deta !
uske Is shor ko sun ker kitni hi baar sohni tarap kar dehleez ke darwazey tak ayi thi..kitni baar ..kitni baar uski nazron ne sanwal ko
dhoonda tha..magar har baar nigahein nakaam lot atein..
Usney khat likhna band kar diya tha !
.....................
Ammma ji amma ji sanwal....manzar saans lene ko ruka !
kya hua sanwal ko woh theek tu hai??Amma ji ne ghabra kar poocha
arey amma ji sab theek hai sanwal ka khat aya hai..woh araha hai buhut jald shayad agley mahiney...Usney khushi ka izhar kartey huye besakhta kaha !
kya?? aye mere maula ! tera Laakh laakh shuker hai.. mera beta sahi salamat hai..
Sohni ke liye bhi usney khat likha tha alag se..
sohni e kitne din woh khat seeney se laga kar rakha tha..
''sohni..hum sipahiyon ki zindagi bhi ajeeb hoti hai asal mein baat pata hai kya ahi..humein watan ki mohabbat kuch sochney nahiin deti..
us mitti ki hifazat karna humari pehli terjeh hoti hai na..
magar iska matlab yeh bhi anhiin sohni ke hum apney se wabsta logon ko bh00l jatey hain??
mujhey bhi tum pal pal yaad ati ho..koi lamha koi din aisa nahiin ke mjhe tum yaad na ayi hu..amma ji ki duaayein unkey bossey sab ke liye taras gaya hun mein..
magar suno aik khush khabri hai..mein buhut jald wapas aonga..mujhey isharey tu miley hain ke hlaat buhut jald sudhar jaye ge..Tum bhi dua kro.
Wasalam ..Sanwal''
Sanwal tumhein nahiin pata tumharey khat ne mujhey kitna sukon diya hai.
Aik khushkhabri mere paas bhi ahi sanwal tu ao ge tu tumhein bataon gi..woh dheere se muskurayi thi.mein tumhara intezaar karon gi jald wapas ajao..
us ne dil hi dil mein sanwal ko mukhatib karte huye kaha
.........................
woh shaam ke khaney ki tayyari kar rahi thi..amma ji subha se kamra band kiye leti thein unke sar mein subha se dard tha..
manzar kahiin bahar gaya hua tha...Maghrib ki azan ki awaaz sun ker..baqi kaam maltawi kar ke woh wazoo karne ke iraey se kitchen se nikli hi thi..
ke gate khula manzar ki rohansi soorat samney ayi...
kya hua manzar khair tu hai??
kya phir se kisi ke saath jhagra kiiya hai tum ne?
manzar tum..uskey baqi alfaaz moun mein hi reh gaye..
woh sanwal tha..haan woh sanwal hi tha..per..yeh kia hua??woh is tarhan kesay??
usney saharey ke liye deeaar ka sahara liya..
woh sanwal hi tha faraq sirf itna tha..ke aj woh..apney pairon ke bajaye dusron ke kandhey par lad ker aya tha..
uski siskiyaan andar buhut andar ghut kar reh gayi ..
pal bhar mein fiza kesi sugawaar hogayi hai..amma ji ke ain sanwal ki siskiyaan uske amma abba ke bain..kuch bhi tu usey sunyi nahiin de raha tha..
woh tu bas..aik tik sanwal ko takey ja rahi thi...Jis ke chehrey per aik pursukon muskurahat thi..
janey aisa tha bhi ya nahiin per..sohni ko aisa hi mehsoos hua tha..
''tu tumney akhir pni manzil paa hi li sanwal..mera tu khayaal hi nahiin kiya na???
yehi chahtey the na tum watan ke liye qurbaan ho jana..haan tab hi tu tum aj itney pursukon ho e tumharey labon per mein woh muskurahat dekh sakti hun..
aj tumhari bechani ko qaraaraa agaya na sanwal??
tum khush ho an sanwal??..buhut khush ho na??woh tarap tarap kar ro di..
usey yaad araha tha..uski baatein ..uske woh sarey armaan..aur uski akhri baar ki kahichand batein woh kesay bhool sakti thi???
usney kaha tha !
''chahey kuch bhi ho sohni jab mein laut kar aon tu tum mujhe muskuratey huye milo gi'' !!
magar tum yeh kesay wapas aye ho sanwal kaise??woh sab se begana ho ker sanwal se batein kiye ja rahi thi..
uske muskuratey lab dekh kar usey laga
jaisey woh keh raha ho...''
mujhe muskura kar vidaa karo sohni Is tarhan anoo na bahao..mein buhut khush hun sohni..mujhey muskura ker milo aur muskura kar vidaa karo..bolo sohni aisa kero gi na???''
sohni ne be dardi se apney ansoo ragrey the..
''sanwal mein ro thori rahi hun..mein tu buhut kush hon..
mujhey tum per fakhar hai sanwal..tum jahan raho khush raho..
mujhey fakhar hai ke mein shaheed ki bewah hun..
tumhari qurbaniyaan rayegaan nahiin jayein gi sanwal..humara watan humesha isi tarhan shaad-o-abaad rahey ga..''
yeh mitti sanwal ko marney nahiin de gi.Is mitti se sekron sanwal janam lein ge jo watan ke liye apni jaan dene se bhi dareeg na karein gey..
aur mein akeli nahiin hun sanwal tum mere saath hi tu ho..haan..sanwal mujhey tumhein khushkhabri dena thi..
tumhein batana tha
ke tumhara aks is dunia mein aney wala hai..ein wada karti hun sanwal !
ke mein usey aik bahadur sipahi banaongi..bilkul tumhari tarhan...''
woh aik azam ke saath keh rahi thi..
Najaney kitney hi sanwal hongey jinhoney mulk ke liye itni qurbaniyaan dein hain..sab kuch bhula kar din raat
ka farq mita kar mulk ki jaan tor hifazat ki hogi..sarey maqsad Mulk ke gey heech hongey unke liye..
Aisey bahadur naujawano ko Watan khabhi nahiin bhuley ga..us watan ki mitti gawah hai is baat ki.
aur humesha gawah rahey gi !
aye watan tu shaad rahe abad rahey
ho tujh per yeh jaan Qurbaan !
tu shaad rahey
Abaad rahey !