Arslan
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna
aisa lagta hai jo yeh haath dua ko uthein
khud farishtay chale aate hon zameen ki janib
saunp kar mar-marein hathon ki hathaili ko hina
jo bhi maanga ho woh chup chap diye jate hon
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna
inn ki khushboo se mua'tar hai mera sara wajood
inhein haathon mein mere khwaab chupe hein mola
ungliyaan mujh ko mohabbat mein bhigo daiti hein
inhein pooron ne mere dard chune hein mola
inn ki rag rag mein mohabbat hi mohabbat rakhna
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna
inhein haathoN ki lakeeron mein muqadar hai mera
yeh jo kone mein sitara hai sikandar hai mera
khwaab se narm khayaloN ki tarah nazuk hein
in k her lams mein mere liye chahat rakhna
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna
~ WASI SHAH
Saraah
مجھے سہل ہو گئیں منزلیں، وہ ہوا کے رخ بھی بدل گئے
تیرا ہاتھ ہاتھ میں آگیا کہ چراغ راہ میں جل گئے
وہ لجائے میرے سوال پر، کہ اٹھا سکے نہ جھکا کے سر
اڑی زلف چہرے پہ اس طرح کہ سبوں کے راز مچل گئے
وہی بات جو وہ نہ کر سکے میرے شعر و نغمے میں آ گئی
وہی لب نہ میں جنہیں چھو سکا قدحِ شراب میں +ڈھل گئے
انہیں کب کے راس بھی آ چکے تیری بزمِ ناز کے حادثے
اب اٹھے کہ تیری نظر پھرے جو گرے تھے گر کے سنبھل گئے
میرے کام آ گئی آخرش یہی خواہشیں، یہی گردشیں
بڑھیں اس قدر میری منزلیں کے قدم کے خار نکل گئے
O.o Ashi o.O
Hathon Mein Hath Le Kar Tera Sath Nibhaana Hai
Tujhko Apni Mohabbat Ka Jazbah Dikhaana Hai
Teri Baahon Mein Aakar Sukoon Mil Jaaye Mujhe
Teri Zulfon Ko Apne Kaandhon Pe Bichaana Hai
Tu Azeez Hai Mujhe Itni Main Keh Nahi Sakta
Tera Deewaana Hoon Main Bas Itna Bataana Hai
Haseen Nazaaron Mein, Ab Mera Mann Lagta Nahi
Tere Chehre Ko Nigaahon Ke Saamne Laana Hai
Main Kahin Baith Jaaun Tanha, Duniya Ki Fikr Mein
Tujhe Apne Paas Bitha Kar, Sabko Bhulaana Hai
Jab Dekhe Tu Mujhko Tau Chehra Khil Jaye Mera
Har Takleef Ko Apne Dil Se Mujhe, Mitaana Hai
Main Dua’a Mein Maangta Hoon, Khuda Se Tujhko
Apna Sab Kuch Kho Kar Bas Tujhe Hi Paana Hai
Khwaabinda Ho Kar Aksar Yeh Sochta Hai
Kya Tujhe Bhi Kuch Iss Tarha Mujhe Sunaana Hai
seven tiles
Kab yaad main tera saath nahi kab hath main tera hath nahi
Sud shukur k apni raaton mai ab hijr ki koi raat nahi
Mushkil hain agar halaat wahan, Dil baich Aain, Jaan de aain
Dil walo Koochai-e-Janan mai Kya aisey bhi haalaat nahi
Jis dhaj sey koi MAQTAL main gaya Wo SHAAN Salamat Rehtii Hai
Ye jaan to aani janii hai,,Iss jaan kii to koi Baat nahi
Maidan-e-wafa DARBAAR nahi,yahan Nam'o' Nasab ki pooch kahan
Aashiq to kissi ka naam nahi,Ye Ishq kisi ki Zaat nahi
Gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho lagalo Darr kaisa
Gar JEET gay to kya kehna Haray bhi to BAAZI maat nahi
Paras
Dua Karna
Mere Haq Main Dua Karna
Bicharte Waqt Us Ne Aik Hi Fiqra Kaha Tha
Usay Kya Ilm
Mere Harf Se Taseer Kab Ki Uth Chuki Hai
Dua Ka Phool
Mere Lab Pe Khilta Hi Nahi
Achanak Toot Jaata Hai
Main Kis Khushboo Ko Us K Haath Pe Baandhon
k
Mujhe Khushboo Se Dar Lagne Laga Hai
Killer
Naz
Hamza khan
Tera Hath Alag Mera Hath Alag..by ahmad faraz
Na chahat k jazbaat alag,
Na khushiyon k lamhaat alag,
Na phool se thi mehk alag,
Na guzri koi bahaar alag,
Na honton ki muskaan alag,
Na dil k ehd-o-paiman alag,
Na deen alag,
Na emaan alag,
Na sur, sangeet, naghmaat alag,
Thi sari baat lakeeron ki,
Tere hath alag…
Mere hath alag…!
Sheem
Hath ki lakeeron mein
Kya talash kartey ho?
In fazool baaton mein
Kis liye ulajhtey ho?
Jisko milna hota hey
Bin lakeer dekhey hi
Zindagy key raston per
Saath saath chaltay hein
Phir kahan bichhartay hein
Jo nahi mukaddar mein
Kab hamein wo milta hey
Kab wo saath chalta hey
Hath ki lakeeron mein
Kya talash karty ho?…
Hijab
Shah Bano
Aryan
SanoriTa
Mujhse Ziyada Tumhein… agar koi
chahe to
Mere hathon se apna hath chudha lena
Mere Sajdon se apna sar utha lena
Tod dena Pyar ki zanjeerein
Mita Lena apne hathon se Lakeerein
Mere ankhon se apna Khwab …..
Khwabon se mere Tasveer mita Lena
Magar shart yeh Hai Ke
MUJHSE ZIYADA TUMHIEN …. AGAR KOI CHAHE to....
Suhaney_Khawab
Main Tere Hath Pe Rach Jaonga Rangoon Ki
Tarhan
Tu Mera Nam Kabhi Hathon pe Saja Kay To Dekh
Main Tere Jism Main Mehkoonga Gulabon Ki
Tarhan
Aa Kabhi Mujh Ko Dil Main Basa Kay To
Dekh
Main Tere Lab Pay Chah Jaonga Muskurahat
Ki Tarhan
Apnay Honton Say Mera Naam Bula Kay To
Dekh
Main Teri Ankh Main Bas Jaonga Kajal Ki
Tarhan
Tu Meri Yaad Ka Ek Khowab Saja Kay To
Dekh
Main Bikhar Jaonga Char Su Khushiyun Ki
Tarhan
Apnay Naam Say Mera Naam Mila Kay To
Dekhhhh....
Mishaal
Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi k her soorat tumhein banaon gi
nichawar khwaab ker don gi tumharay her ishaaray per
kabhi peepal ki chaaon men kabhi nadya kinaray per
tumhein thandak ata ker don gi ik barsaat ki maanand
bikhartay chaand jharnon men ujalti raat ki maanand
mujhay tum se muhabbat he men logon ko bataon gi
woh kehti thi k her soorat tumhein banaon gi
men chahon gi tumhein jaana umangon se ujaalon tak
khudi k dasht se lay ker naye janmoon k saalon tak
meri thandi si tanhaai sulagti raat jaisi ho
mujhay bas saath lay jaao bhalay baraat jesi ho
tumharay surkh jooray main hi dulhan ban k aaon gi
woh kehti thi k her soorat tumhein banaon gi...!
LoViNg IrFaN
Tariq Raheel
ہاتھ میرا اے میری پرچھائی تو ہی تھام لے
ایک مدت سے مجھے تو سوجھتا کچھ بھی نہیں
شہرِ شب میں کون سا گھر تھا نہ دی جس پر صدا
نیند کے اندھے مسافر کو ملا کچھ بھی نہیں
عمر بھر عمر گریزاں سے نہ میری بن سکی
جو کرے کرتی رہے میں پوچھتا کچھ بھی نہیں
وہ بھی شاید رو پڑے ویران کاغذ دیکھ کر
میں نے اُس کو آخری خط میں لکھا کچھ بھی نہیں