View Poll Results: Vote your choice!

Voters
11. You may not vote on this poll
  • naz

    1 9.09%
  • *resham*

    0 0%
  • Mishaal

    8 72.73%
  • Zealot

    2 18.18%
Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 13

Thread: Polling: Competition September, 2010!

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Polling: Competition September, 2010!

    Assalamu-Alekam!
    Ummid hai aap sab bakheriyat hon gey, INSHAALLAH.
    Ji tou hum hazir hein mahe-september ki polling ke sath, is muqable k liye hum ne aap ko aik shair diya tha jis ki munasbat se aap ne tehreer likhni thi, aap sab ki participation ka bohat bohat shukriya, ummid hai ainda bhi aap sath dete rahein gey, INSHAALLAH!

    Entries:
    naz
    MujhKoMujhMainLogo - Polling:  Competition September, 2010!

    *resham*

    bebasi ka ajab alam hai ye
    mujhko mujh main wo ab nahi milta...

    ajeeb bebasi tari hojati hai jab yaadon k jaziron main meri soch use talaash kerne ki nakaam koshishein kerti hai aur mujh se khti hai k kitni shidat se usne mohbbat ki thi diwano ki had se guzer gaya tha wo mujhy diwana kerke apni her baat ko wo mujh main dhoonta tha meri ankhon se mere dil k raaz parhta tha uski her baat main shairi thi uska lafz lafz ghzal ka mfhoom tha raton ko uth ker jo apni palkon se ghazal likh ker subha ki shabnam mai dheemi si romatic awaz main wo mujhe suna ker meri rooh ko apne jazbon main qaid kerke wo meri dherkano main shamil hojata tha k meri her saans main wo milta tha meri ye jhunki plakein sirf aur sirf uska intezar kerti thi meri her shai main wo shamil main wahi milta tha khood ko bhola chuki thi mera her jazba e khyaal per uski hukom rawayi thi main us ameeq jazbon k derya main ayese doob gayi thi k neend ka alam ho ya behoshi ka uski eak awaaz meri rooh main jaan bher deti thi jisne mujhye bilkul apne jaisa bana diya tha uske bina saans lena bhi dushwaar tha tu uske bina zindaghi maout lagti thi her khushi uske naam kerdi thi jo meri her baat main shamil tha kabhi aaj uska naam o nishaa tak mujh main nahi socha tha zindaghi k safer main wo mera hamsafer banega per aaj main bhut akeli aur tanha ho meri her saan kheti thi k akhri saan bhi uske naam hongi ajj yaesa koi ehsaas mujh main nahi aaj wo mujh main kahi nahi milta na meri hansi main na meri khushi main na mere gham main na meri udasi main zindaghi ne aaj bhut bebas kiya hai uske eak jhoot ne mujhey tour dala mere dil ki raoushi ko bujha dala meri hasraton ko jala ker khaak ker dala mujhe adhora ker gaya tha jo ab laout aya hai.......

    wo khoon kerke meri umeedon ka mujhey apnaye main kaise saho?
    wo tour k dil mera jab chaye laout aye kiya main koi khilona ho?
    wo rula ker mujh se kahe k ab rona mat tu main apne ansoon ko kaise rokoo? mere jazbo ko lahoolahaan kerke aaj mujh se wahi diwanghi mangta hai mujhe adhora kerke wo khud mukamal hona chata hai meri zaat ko reza reza kerke mere ujood ko pana banana chata hai bewafa hoker wo mujh main wafa dhoodta hai meri hasraton ko jab usne dao per laga diya mere pyaar ko baich ker khood ko khreed liya mera hoker wo mera na raha mangni kerli aur mujhey batane k qabil tak na samjha aouron se soonker kitna tooti thi main kiya batao apni kaifiyat kaise maara hai usne khood ko mere hi haathon se mera yaqeen mera bhrosa mere atmaad ko kayi maout di usne use kiya pata k bewafayi ka gham kiya hota hai kitni asani se usne haa kerdi mangni k liye kaise wo maan gaya use apne pyaar k liye lerna tha use eak adna si koshish tu kerni thi apni mohbbat k liye usne maout di hai mere armano ko aouron ki khushi ki khatir usne ek baar bhi mere bare main nahi socha sirf eak baar jo mera haq tha usne kitni asani se kisi aur k naam ker diya ab aah bherta hai mujhey pukarta hai tab mera khyaal nahi aya use? ab ana ki jang main bebas siskati hasraton ki eak zinda laash ho main aaj uski baton ka koi aser nahi hota mujh per wo mujh main nahi milta main ne dafan ker diya hai apne armano ko jala di saari hasratein jo use bukarti thi pehna diya kafan apni umeedon ko apni her soch ko jismain uski aks bhi ager nazer aaye......

    usne bhut chaha main laout aaon uske paas usne bhut koshishein k usne jo bhi kiya majbori main kiya apne ghar walon k liye per aaj chha ker bhi wo mujh main nahi milta tu main kiya karo ? main bebash ho kaise use apnao kaise us se kaho k aaj wo jab mujh main hai tu es bemaa'ni samjhotey se kiya hasil ? laakh kakoshioshon k bawajood aaj uski baatein be maani be aser hai meri soch main mere khyaal main mere hazir main tu kahi bhi mere maazi main wo mujhey nahi dikhta mera dil hi toot chuka hai main kiya karo? kaise apnao use jo mujh main kahi bhi nahi raha jab main adhi adhi raat ko uth ker roti siskti aur her kerwat main uska aks dekher larz jati thi tab wo kaha tha? jab meri shidat e mohbbat cheenkh cheenkh use awaaz de rahi thi tab tu wo apne eradon main kamiyaab tha kisi aur k saath tab mera khyaal na aya use? ab main ne badi mushkil se en jazbon ko sulaya hai main toot chuki ho mujhy jhoot se nafrat hai usne jhoot kaha tha k nahi meri mangni nahi howi hai main sirf tumhara ho ab main kaise uska yaqeen karo jisne mere aetimaad ko ronda hai ab koi khyaal uska mere dil ko nahi chota ab uski kisi baat per mujhey yaqeen nahi hota mere laakh chhane per bhi mera dil main aur mere ehsaas ab uski tarf nahi jate main majboor ho dard ki ashna main lamhoon ki bheerd main haseen yaadon k jaziron main kaha nahi dhonda main ne use k shayed wo ab mujh main mil jai per wo nahi mila ab ajnabi sa lagta hai ana ki but bane bebasi k ajab alam main thi beloos wafaon main bhi do pal sukoon ki khatir use dhonda tha main ne per aaj wo mujh main kahi nahi milta apne aap main apni soch main apni rooh main apni zaat main bhut dhondha main ne per bebasi ka ajab alam hai ye mujhko mujh main wo ab nahi milta.......

    Mishaal


    JugNo RasTa Bho0l GaYe Hain !!


    AbeeraH ..!!
    beta bas karo ..ab andar ajao bemaar par jao gi ! Ammi ne abeerah ko pukara !

    Abeerah jo dhuan dhaar hoti barish mein bheeg rahi thi..
    chehrey pe betahasha masoomiyat liye..bachon ki tarhan barish se jama ho janey waley paani mein chapar chapar kartey..woh khud bhi aik choti bachii lag rahi thi..

    Amii ki awaaz per us ne chonk ker dekha pal bhar mein uska chehra utar gaya..

    ''Ammi bas thori dair aur..dekhein mausam kitna acha horaha hai..aise mausam koi roz roz thori atey hain ..plz ammi plz plz !''usne rohansey hotey huye iltija ki !


    rehney do abeerah ki maa yehi tu umar hoti hai bachon ki phir tu inhoney agley des chaley hi jana hai..Abba jaan bhi uski madad ko aye !

    Master sahab.!.''Aap apni ladli ki adatein bigaar rahein hain...
    koi keh sakta hai ke yeh jawaan jehaan BSc ki student hai..Had hai...

    dekhiye ji..mein jo kehti hun Iskey bhaley ke liye kehti hun..yeh soch soch kar meri himmat jawaab de jati hai ke agley ghar ja ker Iska kya hoga??

    Zara bhi jo is mein ehsaas-e-zimeydaari ho !'' Ammi ne fikermand lehjey mein kaha !

    ''Samajh jaye gi..ahista ahista sab samajh jaye gi..
    apko yaad hai begum..jab aap yahan biyah kar ayi thein tu aap ko bhi karna werna kuch nahiin ata tha..sab uch apne amma jaan se hi tu seekha hai ''

    ''yeh tu apne theek kaha amma jaan Allah unko karwat karwat jannat ata karey..buhut hi achi thi''

    ''Dua karti hun abeerah ke naseeb mein bhi itni hi achi saas hon...'' unhoney abeerah ko kamrey mein jatey dekh kar kaha !


    ******************





    waqt ka kaam hai guzarna tu woh guarta jata hai.. abeerah bhi buhut se khawab liye apney tayazaad JABBAr ahmed ke ghar dulhan ban kar utri...

    Magar yahan akar uskey khawab aik aik kar ke toot gaye..
    jabbar ahmed ko usney pehli baar dekha tha tu pehla khayaal yehi aya tha ke sanjeeda mizaaj ke hain..magar shadai ke baad inko badal lon gi..

    magar woh tu muskuratey bhi mushkil hi se they..abeerah ke armaano per ous per gayi..
    unhein uski shayri ki kitabon se chir thi...usney parhna chor dein..
    unhein uska bewaja muskurana pasand nahiin tha.us ne ..muskurana bhi buhut kam ker diya !..woh larki jo yeh azam kar ke ayi thi ke sab ko apney jaisa bana lun gi..khud unkey rang mein rangti chali gayi..woh jugno khusbouon ki batein karney wali larki tu kahiin peechay hi reh gayi...



    ******************



    Wow Barish ! Uski nand areeba ne shor machaya....
    haye maza aye ga..chalo outing per chaltey hain...jabbar ke phopi zaad behen bhai bhi aye huye they..
    sab ne minton mein program bana liya..

    Bhabhi..!! aap bhi chalein sach bara maza aye ga..apko barish pasand hain na..
    aur wes bhi ap kafi din se kahiin nahiin gayi...Areeba ki baat per usne muskura kar haami bhar li..

    Abeerah ! beta tum kahan ja rahi ho?? uski saas kitchen se baramad hui..
    ''Beta mehmaan aye huye hain kitchen mein itna kaam para hai khali naukaron per tu nahiin chor sakti..
    tumhari phopi kya sochein gi..??
    tum phir kabhi chali jana ! woh mohabbat se goya huyin..

    Aur abeerah ko laga aaj sahii maani mein uske andar rehney wali albeli abeerah mar gaYi hai..kitchen mein kam kartey kartey usey lag raha tha k jaisey aj woh khud se bichar gayi hai...
    Aj aik aur abeerah ka janam hua hai..
    Jo aik zimeydaar bahoo ,biwi aur bhabhi hai...
    uski zimeydaariyaan waqt ke saath barhti gayi..sarey khawab sarey shoq practical life mein atey hi khatam ho gaye..

    ''Aisa hi hota hai..shaadi ke baad zindagi kitni badal jaati hai??
    jis tarhan piya chahta hai usi rang mein rangti chali jaati hain hum larkiyaan...''

    aaj abeerah buhut achii maa hai..uskey shohar mekay sasural sab jaga uskey saleeqay ki tareef hoti hai..aur woh muskura muskura ker sab ki tareefein samet'ti rehti hain..

    Magar jab raat ko soney let'ti hai..
    tu beikhtiyaar hi ansoo takiye ko bhigoney lagtey hain..

    usy lagta hai jaise uske anchal ke sarey jugno ur gaye hain..aik ajeeb sa dard dil mein uthta hai tesain barhata hai..aur woh khud ko buhut bebas mehsoos karti hai rishton ki dori mein bandhe huye..
    usey be ikhtiyaar woh abeerah yaad ati hai..is se miley usey barson ho gaye hain ..aur jisey us ne..Yadon ki kitaab mein Humesha ke liye band kar diya hai..
    kabhi na kholney ke liye !!



    "Be-basi ka ajeeb alam hai!
    "Mujh ko mujh mein woh ab nahi milta!!"

    Zealot
    بے بسی کا عجیب عالم ہے !!!!!!!
    مجھ کو مجھ میں اب وہ نہیں دکھتا
    میں اب جب بھی اُس ذات کو خود میں تلاش کرتا ہوں تو کتنی اُلجھن، پریشانی اور بے بسی میں خود کو پاتا ہوں جو ذات بندے کی شہ رگ سے بھی زیادہ قریب ہے میں اسی کو تلاش کرتا ہوں۔ کتنا بے بس ، بے حال اور بے چین ہو جاتا ہوں جب خود کو دیکھتا ہوں اپنی ذات میں اُس ذات کی صفٌات نہ پا کر خود سے خودی کی پشیمانی چھپاتا ہوں مگر اس پشیمانی اور ندامت کا کیا فائدہ کیونکہ میں نے تو خود اس ذات کی ہر صفت کو اِک اِک کر کے اپنی ذات سے علیحدہ کر دیا اور خود کو خودی درندہ صفت بنا دیا دوسروں کو غموں ،دکھوں ، پریشانیوں میں مبتلا کر کے، ان پہ اتنے ستم کر کے پھر بھی اس غفور اور رحیم کی ذات کو خود میں ڈھونڈتا میری کم عقلی ہے جب خود کو خودی اس ذات سے دور کر لیا تو یہ بے بسی خود میں کون نہ پاؤں؟


    Rules:
    1. Aap sirf aik tehreer ko vote ker saktay hein.
    2. Aap apni tehreer ko vote nahi ker saktay.
    3. Voting ki akhri tareekha sept. 28 hai.
    4. Fake ids se kiye gaye votes ko count nahi kia jaye ga.



  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    Mishaal ka likha mjhe sub se zaida pasand aya ...
    waqie yeh shair lag raha tha fit hota jaraha hai..
    baki sub ka b lkha acha hai leken vote ki waja se main
    Mishaal ko he Vote dena pasand karongi ...
    Best of Luck

  3. #3
    Join Date
    Apr 2010
    Location
    A, A
    Age
    32
    Posts
    10,119
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    176 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    samE as naz said...
    198343 196670793697111 5932486 n - Polling:  Competition September, 2010!


    like karlo
    kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
    jismEin mEre tU hOta nahi.

  4. #4
    Join Date
    Jun 2010
    Location
    pakistan
    Age
    31
    Posts
    2,505
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    Voted...
    254311 151251481613107 100001847683469 313672 3952200 n - Polling:  Competition September, 2010!

    I am so lonely, broken angel
    I am so lonely, listen to my heart

    One and only, broken angel
    Come and save me, before I fall apart

  5. #5
    Join Date
    Nov 2009
    Location
    karachi
    Posts
    13,250
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    Voted
    rain?t1311176404 - Polling:  Competition September, 2010!


    Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
    Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad

    Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
    Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad




  6. #6
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    Pakistan
    Posts
    1,934
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474852

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    kya hal ho gya mairi urdu typing ka ...... koi perh suky ga to vote kry ga na
    tt7172356fltt - Polling:  Competition September, 2010!
    tt7172365fltt - Polling:  Competition September, 2010!
    tt7172371fltt - Polling:  Competition September, 2010!

    tt7510588fltt - Polling:  Competition September, 2010!

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    Quote Originally Posted by Zealot View Post
    kya hal ho gya mairi urdu typing ka ...... koi perh suky ga to vote kry ga na
    ab sahi hia ? maine thek krdiya.

  8. #8
    Join Date
    Feb 2010
    Location
    iss dunya me
    Posts
    1,398
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474852

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    voted.....

  9. #9
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    Pakistan
    Posts
    1,934
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474852

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    @naz
    thanx sis
    tt7172356fltt - Polling:  Competition September, 2010!
    tt7172365fltt - Polling:  Competition September, 2010!
    tt7172371fltt - Polling:  Competition September, 2010!

    tt7510588fltt - Polling:  Competition September, 2010!

  10. #10
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Polling: Competition September, 2010!

    voted............

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •