tujhe dhoondti rahi chashm-e tar,
tera naam wird-e zubaan raha
na haram ka mujh ko khayal tha
na sanam kaday ka gumaan raha

teri chashm-e naaz ka mehkada
mujhe be-nyaz sa kar gya

na sha'oor-e kon-o makaan raha
na khayal-e sod-o zyan raha

karhay waqt mein jo main ghir gaya
teri yaad hi bani mojza

shab-hijr mein bhi aye jaan-e jan
teri qurbaton ka samaa raha

mujhe zindagi say bhi pyar tha
mujhe ishq say bhi thein aqeedatein

go bohat katthin thay ye raaste
tera sath tha main rawaan raha