-----------------------GHAZAL-------------------------------

Be samar ham tere dar se gaey

Hein zida magar dil jigar se gaey

Ishq ki maey kar gaee kaam apna

Ek ghont mein behr-o-barr se gaey

Chaman mein baney ga aab ashiana

Aarzo ley kar ye ghar se gaey

Talash-e-jana mein katee umar saree

Tujhe he paya ham jidhar se gaey

Guzar tera tha ya jhonka saba ka

Deewane howey rah guzar se gaey

Utar jaey dil mein shokhi-e-nazar

Tujhe dekh kar us nazar se gaey

Ek rona he tha faqtt kaam apna

Bahe aanso itne deeda varr se gaey

Dil aakhir dil hey sang-e-rah nahein

Ek thokar mein udhar idhar se gaey

Too he mila na Kaabey ka rasta

Ho ke nashad tere shahar se gaey

Baaz raho ATHAR ishq ke safar se

Pukarein gey logg Majno jidhar se gaey


-------------(KALAAM ,ATHAR NARVI )
-----(DR ATHAR HUSSAIN SIDDIQUI AL MAROOF IBNE SULTAN NARVI)

----(YA ELLAHI MUJHE ACHHI BAT KEHNEY KA ACHHA SALIQA DEDEY AAMEEN)
-----E-mail:- atharnarvi++++++.com