barish par ek aur qissa sunaataa huN...maiN jab gaaoN men rahtaa thaa to gosht lene ke liye mujhe ek dusre gaaoN emn jaanaa paRtaa thaa. ek roz kaa qissa hai k maiN gosht le kar ghar ke liye ravaana huaa hii thaa k baarish shuru ho gaii...maiN nahiiN chaahtaa thaa k amiN baarish emn bheeg jaauuN is liye maiN ne apni cycle tez tez dauRaayii. merii qameez kaa daman hawaa meN kisii Haseena mahjabeena kii zulfoN kii taraHlahraa rahaa thaa. baarish kii abhi do ek boond hii paRii thiiN mere daaman par k maiN ne apnii raftaar aur baRhaa dii...ab janaab...aage aage maiN aur peechhe peechhe baarish...10 meel kaa yeh safar maiN ne 10 minute emN tai kiyaa aur jab ghar pahoNchaa to ba-Khuda yaqeen kijye k meraa daaman abhi Khushk thaa kia tez-raftaarii dikhaayii maiN ne k baarish ko maat de di