adhe do kisam ke hote hein , do taango,n wale or chaar tango,n wale . aaj tak humare haan gadhe se koi kaam nahi liya gaya . sirf doosro,n ko gaaliyaa,n dene ke kaam aata hay. shaadi per bhi hum ghodo,n per baithte hein . gadhe per iss liay nahi baithte ke ladki waalo.n ko dollha pehchanne mein dushwaari na ho .
aik mashoor sahaafi ke ghar jo tasveer lugi hay iss mein mosoof gadhe per baithe huay hein or unn ki bachiyaa,n her aane jane wale ko batati hein ke , inn mein jo ooper baithe huay hein wo humaare abbu hein.
gadhe ki aik khobi ye bhi hay ke bees saal badh bhi bolein to dhanchu dhanchu hi kerein gaye or ye wo duniyaa,n ki kisi zuban mein bhi ker sakte hein.