Aitebaar

Aitibar k alfaz ne aaj fir waqat k zahen main ghair ker mujhey ehsaas ki musalas jang main shamil kerdiya apni yaadon main kho gayi jisne aitibar ka sahi maanion main aitibar ka mafoom batya aur eak risala detey howe kangan phena gaya tha ye kangan phen lo hina ye meri ammi ne apni honey wali baho k liye diya hai aur ese hamesha phenye rehna main tumhey bhut kuch kehna chata ho per es khat main likh diya hai es threer main mere ehsaas hai khamoshi meri awaz ka libas phen ker es threer main samayi hai ese parhtey rehna aur aaj bhi wahi risala mere haat main hai aur jab bhi main ne ese parhna chaha tu ajeeb qisam k ehsasaat ka hujoom jari hogaya ajeeb kafiyat ki shikar hogayi ye kuch adhora kuch mukamal ehsaas mujhey fir se aitibar ki talash main tanha kerkey guzer gaya aur main es threer k tulkh haqeeqat ki karwahat ka zaher pi ker bhi es main fir se aitibar ki sachayi ko samjhney ki koshish ker rahi ho us khat ki threer ab bhi ankh ki putilion mai qaid hoker tham gayi ho jab meri bheegin palkein aasouon se use parh rahi ho jis main likha tha main Aetbar kerta hu hina tum per k tum sirf meri ho aur jab tum saans leti hu tu sirf mere liye main aitibar kerta ho tumhari en pyaari ankhon per k es main jo khuwab sajey gey sirf mere hongey ye mera sacha pyaar hi tu hai jo badey guma se tumharey sachey payar ka aitibar kerta hai meri mohbbat sirf tumharey liye hai mera pyaar ka her aitibar sirf tumhrey liye hai main us din ka intezar karonga jab tum dulahn banker meri zindagi main aaongi hina ye kangan phen lo ye meri aami ne apni honey wali baho ko diya hai ye aitibar hamrey pyaar ko pakiza rishtey ki bunyaad denga tumhari zindagi ko main khushion se bher donga mera yaqeen karo main apna her wada nibhaonga tumhara yaqeen hi mere aitebar ko aur mazboot kareyga kaho tumhye mujhey per aitibaar hai na?

hina tum meri zindaghi ho aur main tumhey her khushi dena chhata ho tum mujh per kabhi shaq nahi kerna mera aitibar karo ham dono k beech koi tisra na aye ham dono eak dosrey k bina na mukammal hai mujhey yaqeen hai tum per tum mera saath dongi dongi na hina?
hina main jab bhi apni infiradi zarorton ko dekhta ho tu sochta ho kash mere paas bhi aayesh o araam ka sab saman hota takey waha tumhye kisi cheez ki kami na ho aur mere paas bhi apney doston ki tarh car apna ghar aur bank balenc ho mujhye mera carrer bana hai mohbbat k liye tu pori zindaghi pari hai
hina main ne faisla ker liya hai main baher out of country jaonga aur waha apna career banaoga dekho mujhey galat nahi samjhna ye sab main ham dono k liye hi ker raha ho mera future sanwar jai bas fir tum bhi yehi ho aur main bhi yehi ho ham kaha bhaagey ja rahye hai tum dua kerna main apney maqsad main kamiyab hojao aur jald hi laot k tumharey paas wapas ajao mera aitibar kerna waqat aur halaat ki jang main tum himmat mat harna mera saath dena main zaroor aaonga mera wada hai aur khood ko sab se bachai rakhna mera pyaar aur mera aitibar amant hai tumhrey pas aur tumhara yaqeen hi mera aitibar hai ....
sirf tumhara hamsafer...

ese parh ker main apni be awaz siskion se hayeran thi mere ansoo tair rahey thy meri ankhon main mera dil es tulkh haqeeqat k aitibar ko tasleem nahi ker raha ho jo eak tufaan banker meri rooh ko zakhmi ker raha hai jaise dard ka ye tulkh lamha meri jaan le lenga kaya socha tha es dil ne aur kaya hogaya
waqat ki be rehmi ne aaj jo aitibar ka jo mafoom batya uski sachayi ka bayan main kaise karo kaise samjhao es dil ko k nadeem ne janey k baad mujhy chand mah bas khat bhejey phone bhi kiye aur hamesha en faaslon ko aitibaar bhari baaton se kam ker diya aur mere haouslon ko aur mazboot kerdiya tha k meri pakiza aur sachi mohbbat baher ki hawa lagney per bhi mehfooz hai mere pyaar ka ye paak rishta bewafayi k daag se mehfooz hai...

fir jo howa mere saath khuda dushman ko bhi na dikhai kabhi nadeem ko kaya hogaya k achnak na woh khat ersaal kerta aur na hi phone ata kabhi main paglon ki tarh phones ki ring per daori chali jati daakiye se pooch pooch k bezaar kerdeti thi use, main duwaaein mangti uski salamti ki jo mujhye bhool gaya tha meri zaat toot k bikhar gayi meri hayeraan ankhon main her waqat ansouon k sailaab qaid rehtey meri samjh main kuch nahi ata main be thsha roo deti aur royi jati jaise mera apna koi mar gaya ho main soogh manati jaise main zindon main ho hi nahi hazaar baar use khta likh likh ker bhejti mager jawab nahi ata phone kerti mager phone band ata mujhye kuch hosh nahi rehta uski ammi bhi preshan rehti akhir majra kaya hai mere saath kaya howa hai main udasi ka kafan phney uskey aitibar ki aag main jalti rahi k achnak uski ammi apna wada aur diya howa kangan bhool ker mithayi leker ayi meri ammi ko detey howe kheney lagi arey hina ki ammi aaj berson baad mujhye mere betey ka khat aur ye photon miley hai main daori chali ayi jaise kisi ne meri bejaan rooh main jaan bher di ho aur kaha khala nadeem ka khat aya hai zara mujhye dona main bhi parho woh theek tu hai na...

arey hina main tu us se badi naraaz thi per ye tasweerein dekh ker main bhut khush ho zara dekh tu sahi nadeem ki dulhan kitini payaari lag rahi hai aur uske beta pora angreez lag raha hai arey hina mujhye zara ye khat parh de beta mujh anparh k samjh main ye threer na aaye
main ne lerzti howi bechaini ko cheer ker roti howi ankhon se wo risala thami aur parhna shoron kiya tu.... kash main woh nahi parhti

Payari aami jaan

adaab

aami kaisi ho aap aami mujhye maaf kerdena mudaton k baad main ne ye khat likha darasal yaha kaam main bhut busy rehta ho aur ha aami main ne yaha kisi angreezi se shadi kerli meri awaaz main therao aur mere haath kaanp rahye thy fir bhi main himmat jota ker age parhi ammi jan aap gussa na karey kerkey main khat bhej nahi paya lekin ab jab tumhara pota howa tu mujhse eahey nahi gaya aur main ne socha aami ese dekh ker sara gussa bhool jaigi
ammi mere boss ki beti hai usi ka bara karobaar hai aur bhut daolat mand hai ye log aur kuch ropye bhi bhejey hai aap apna khyaal rakhna rukhsat chata ho aapka beta nadeem

uski ammi ne kaha hina beta likh dey k tuney rupiya paisa bhut kamaya ab wapas laot aa teri burhi bewa maa k tu hi eklota sahara hai hina beta wo roo pari.....
aur main ne das baar apna naam us khat main talash kiya k shayed likha ho hina kaisi hai ? per nahi tha main us khat ko detey howe apni nakaam mohbbat k aitibar toota dekh ker sah nahi payi mera ujood behis aur bejaan hoker main asmaan ki tarf rotey howe dekhti rahi aami mujhye awaaz de deker thak gayi mager main apney khuda se mukhatib thi khamoosh zubaan se mere ansso ALLAH T. ko jaise dikha rahye ho meri kafiyat aur mera Aqida mere rab per aaj bhi hai asmaan ki tarf dekh ker rona es baat ki daleel hai bas mujhey kuch waqat hosh nahi raha ab mere ansoo us per azaab banye ya badua ya use meri aah lagey usne mere aitebar ko tora hai aur use toota dekh ker main pori tarh toot chuki thi shayd us waqat main hosh kho bethi bas khamosh zuban se dil ki threer ger us waqat samjh sakta tha tu wo mera ALLAH tha mujhye ammi ki baatein yaad aney lagi sach kehti hai ammi k jo hota hai achey k liye hota hai ALLAH se jo mohbbat kerta hai uski azmayish aur uski hikmat per aitibar kerta hai ALLAH bhi us se mohbbat kerta hai aur wo apne bandon ko mayoosh nahi chorta mere saath ayesa kiuyn howa shayd es main bhi khuda ki merzi hongi beshak uski merzi k bigair pata nahi hilta tu uski masiyat wahi janey shayed mere liye es se behter kuch likha ho ALLAH ne her mushkil main mera saath diya hai aur es mushkil ko bhi wahi asaan banaiga ab mere es aitibar per jis tarh khuda hai aur use bina dekhey aqida hai usi tarh meri ammi ki baatein bhi sachi hai k kisi ka dil na dukhao warna kaya pata kis waqat kiski aah lag jai aitibar aur mohbbat karo tu sirf khuda se tu ALLAH hamesha tumhrey her aitibar ko mehfooz rakheyga ....

aaj main ne aitibar k do chairey dekhey hai eak sacha aitibar aur eak jhoota aur mere ALLAH k aitibar mujhye fir jina sikha diya hai aur nadeem k saath jo howa woh bhi mere ALLAH ko use sahi raah aur sachi emaan ki daolat ka mofoom samjhna tha ALLAH se dua hai bas meri koi aah use na lagi ho woh ALLAH use sahi rasta dikhai .....Ameen