Ek din shararatan us k kamre mn ja kr,

deewar pe likhe kuch haruf parrhna chahe,,

har jagah hath se bani tasveeron ko samjhna chaha,

kahin sookhe gulab ki pattiyan thin,

kahin takiya aansoun se num tha,

phr kitabon se aisi kitab mere hath lagi,

jis k safha-e-awal pe mera naam tha,

kuch lafaz chape the,mera hath laraz utha,

chehra paseene se tar tha,

meri sada mere kaanon mn goonjne lagi,

"MUJHE KHABAR BHI NAHI

K WOH KHAMOSH SA SHAKSH,

MUJHE IS QADAR CHAHTA HE"