kartaa huN jamaa maiN to bikhartii hai zaat aur
baaqii hai kitnii ai mere maulaa, ye raat aur !

letii hai jaltii shamaa bhii bujhne meN kuch to vaqt
hai aadmii saa koii kahaaN be-sabaat aur

sailaab jaise letaa hai diivaar ke qadam
kartaa hai Gham bhii dil se koii vaardaat aur

yuN to huzuur-e-paak (saw) ke laakhoN haiN maddakhvaaN
taaib sii likh rahaa hai magar kaun naat aur

mazhar, azl ke husn ke Amjad haiN be-shumaar
lekin jo dekhiye to hai baarish kii baat aur