Bohat khobsorat ...
Ye chiraag benazar hai ye sitaara bezubaan hai
abhi tujhse milta julta koi doosra kahaan hai
wahi shakhs jispe apne dil-o-jaan nisaar kar doon
wo agar khafa nahi'n hai to zaroor badgumaaa'n hai
kabhi paa ke tujhko khona kabhi kho ke tujhko paana
ye janam-janam ka rishta tere mere darmiyaa'n hai
mere saath chalanewaale tujhe kya mila safar mein
wahi dukh bhari zamee'n hai wahi ghum ka asmaan hai
main isi gumaan mein barso'n bada mutma'een raha hoon
tera jism betagaiyyur hai mera pyaar javedaa'n hai
unhi raasto'n ne jin par kabhi tum thhey saath mere
mujhe rok-rok poochha tera humsafar kahaan hai.
Bohat khobsorat ...
Janay na kahan woh duniya hai ... Janay na woh hai bhi ya nahiJahan meri Zindagi mujhse ... Itni khafa nahii
Itni khafa nahiiii
Itni khafa nahiiiiiiii
bht khoob moto
tnx patli ..............
Nice One
salaam Zaib saaHiba,
ummeed hai k aapke mizaaj-e-giraamii ba-Khair hoNge
aapkii pesh kardah yeh Ghazal go k hai to bahot achchhi par is meN kitaabat kii aGhlaat haiN. beshtar ash'aar Khaarij az bahr haiN. mujeh yeh to ilm nahiiN k yeh kalaam kis kaa hai par aapko agar ilm ho to plz bataaiyegaa. aap in aGhlaat kii tasHeeH farmaa lijiyegaa. shukria. tikniki liHaaz se kahiiN kahiiN kuchh jhol nazar aaye.
_______Hashmat
one quartet of [1 of 4 wings]
The FIRST & ONLY School that i ever attended
Syedna Saifuddin Taahir High School
Aligarh Muslim University
ALIGARH, India
zaburdast
salaam Zaib,
kaisi haiN?
yeh Ghazal kis kii hai? what i said is that there are typos and since its not in urdu script lots of words i can not figure out its exact variations. behr [meter] kii bhi kami hai...some ash'aars and some misr'a are out of meter...pahle yeh bataiye k yeh Ghazal hai kiskii. ho saktaa hai maiN use talaash kar luuN kahiiN aur to see the original.
_______hashmat
one quartet of [1 of 4 wings]
The FIRST & ONLY School that i ever attended
Syedna Saifuddin Taahir High School
Aligarh Muslim University
ALIGARH, India