Assalamu-Alekam WRWB .
Ummid hai aap sab kheriyat se hon gey, INSHAALLAH.
Mein maafi chahti hoon ke mujhe thread lagane mein kuch takheer ho gaye, asal mein mera computer theek nahi tha, ise liye mein waqt per thread nahi laga saki.
Ji tou is maheene hum safarnaame ka muqabla rakh rahay hein.
Aap mein se aksar is baat se waqif hon gey ke safarnaama kia hota hai.
Aik aise tehreer jis mein aap ne kise "SAFAR" ke bare mein likhna hai.
Woh safar kise gayon, shehar, mulk or kise bhi jagha ka ho sakta hai.
Us mein aap ne safar mein kiye gaye kaam, us jagha ki kuch cheezon ke bare mein, logon ke bare mein apnay ahsasat aur tajarbaat ke bare mein likhna hai.
Ummid hai aap samjh gaye hon gey, agar aap ko topic samjhnay mein mushkil ho rahi hai tou aap ise thread mein sawalat pouch saktay hein
Rules:
1. Safarnaama zati likha hua hona chaiye.
2. Aap ki tehreer safarnama lagna chiaye aur hona chiaye, yeh nahi ke aap kise bhi taran ki tehreer ko safarnama bana ker laga dein.
3. Safarnaama lazmi nahi ke aap us jagha ke bare mein likhein jahan aap pehlay se ja chukay hein, yeh bhi ho sakta hai ke aap us jagha ke bare mein bohat kuch jantay hon aur mustaqbil mein wahan jana chahtay ho, magar us jagha ke bare mein aap achi taran se apnay khiyalat ka izhar ker saktay hon.
4. Entries ki last date October 21 hai, kyon ke muqabla bhi late he lagya hai.
5. Baraye mehrbani apni posts edit na karein.
Rules ki pabandi karein aur apnay safarnamay zaroor share kijeay ga, INSHAALLAH