Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 21 to 28 of 28

Thread: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

  1. #1
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    candel Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Assalamu-Alekam WRWB .
    Ummid hai aap sab kheriyat se hon gey, INSHAALLAH.
    Mein maafi chahti hoon ke mujhe thread lagane mein kuch takheer ho gaye, asal mein mera computer theek nahi tha, ise liye mein waqt per thread nahi laga saki.
    Ji tou is maheene hum safarnaame ka muqabla rakh rahay hein.
    Aap mein se aksar is baat se waqif hon gey ke safarnaama kia hota hai.
    Aik aise tehreer jis mein aap ne kise "SAFAR" ke bare mein likhna hai.
    Woh safar kise gayon, shehar, mulk or kise bhi jagha ka ho sakta hai.
    Us mein aap ne safar mein kiye gaye kaam, us jagha ki kuch cheezon ke bare mein, logon ke bare mein apnay ahsasat aur tajarbaat ke bare mein likhna hai.
    Ummid hai aap samjh gaye hon gey, agar aap ko topic samjhnay mein mushkil ho rahi hai tou aap ise thread mein sawalat pouch saktay hein
    Rules:
    1. Safarnaama zati likha hua hona chaiye.
    2. Aap ki tehreer safarnama lagna chiaye aur hona chiaye, yeh nahi ke aap kise bhi taran ki tehreer ko safarnama bana ker laga dein.
    3. Safarnaama lazmi nahi ke aap us jagha ke bare mein likhein jahan aap pehlay se ja chukay hein, yeh bhi ho sakta hai ke aap us jagha ke bare mein bohat kuch jantay hon aur mustaqbil mein wahan jana chahtay ho, magar us jagha ke bare mein aap achi taran se apnay khiyalat ka izhar ker saktay hon.
    4. Entries ki last date October 21 hai, kyon ke muqabla bhi late he lagya hai.
    5. Baraye mehrbani apni posts edit na karein.

    Rules ki pabandi karein aur apnay safarnamay zaroor share kijeay ga, INSHAALLAH

  2. #21
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Bach Pan Ka Aik yaadgaar Safar !!!/happo
    Written By Mishaal Ahmed


    Assalam-o-Alaikum

    Zindagi Mein buhut Se safar kiye hain jo sahi maani mein yaadgaar bantey gaye..magar kabhi us royedaad ko likhney ka ka khaayaal hi nahiin aya..shayad Is liye ke woh sab humarey zeheno mein Taaza tha tu kisi kagaz ke tukrey ki zarorat nahiin pari

    Yahan mein apne rwalpindi murre aur lahore ke safar ka ziker karney ja rahi hon...Is safar ki khaas baat yeh thi ke Bashaoor honey ke baad yeh mera rawalpindi murre Lahore ka pehla safar tha (werna tu mamma papa ke saath mein in jaghon per tab gayi thi jab nannhi munnhi si thi tab ka yaad nahiin)

    Is safar ki dusri baat yeh thi ke yeh safar lahore se start hua magar Train mein!
    yeh alag kahani hai:auo: hua yeh ke hum humesha kahiin bhi jatey the tu plane ke zariye hi se jatey the papa ko humarey araam ka kuch humarey chotey chotey sizon ka khayaal tha Is liye:auo:
    Magar Is baar mama ne nahiin mani unki bata aur kaha ke Is baar train ka hi safar karna hai kitney arsey se nahiin kara! Papa aur mamma ki roz ki discussion ke baad jeet mama ki hi huyi !

    Hum bachon se taruf tu le li jiye

    Mere barey bhai Zameer ki age us waqt 14yrs thi magar shiataan mashoor ho gaya tha:au:
    mein masoom 12 years ki thi/sharam
    mujhse choti sis 8 yrs ki aur sab se chota bro 6 years ka tha..
    hum sab ki summer vacation chal rahi thein aur hum barey mazey mein they/tali aur yeh gh0o0mney ke din they so program ban gaya jhatpat rawalpindi aur murre ka..kyunke buhut hi garmiyon ke din they..

    Magar bhala ho zameer sahab ka unko lahore janey ki lag gayi ..arey bhalaa..itni garmi mein...dimag kharaab ho gaya hai tumhara??

    meine aur phir papa ne bhi uski khabar li..

    Magar woh phel gaya ke mujhey Shahi qilla dekhna hai Shalimaar baagh dekhna hai sab kitabon mein parha hai wagera wagera/polish(hum sab bachon ka kabhi wahan jana nahiin hua tha bcoz our schooling aur yeh ke mamma busy rehti thi bachon ke saath tu kabhi moqa nahiin mila bachon ko le janey ka wahan kafi relative hain magar mamma wahan khaas khaas moqon per jati thein hum sab bachoon ko Khala ke paas chor''wahan se school jo qareeb tha/girly017'')

    Chalein ji chutti huyi mamma ko apne masoom,pyarey (dramybaaz,mota saroo huh aur janey kia kia:jwhbete ki baton per pyaar agaya aur jhatpat papa ko raazi kar liya ke mera bhi azeezon se milna nahiin hua is bahaney wahan bhi ho aye gey ufffffffffff
    mujhey tu bara ghussa aya in baton per..

    phir maine bhi aik shart rakh di
    pehley zameer bhaiyaa ko lahore dikha dein phir hum rawalpindi side per jaye ge..kyunke lahore ki garmi ke baad thandi jaga janey mein faida hi faida tha...

    Baqi sab ne bhi ittefaaq kar liya !

    phir humrey safar ka din aa hi gaya..

    mein thori excited thi tu thora darr bhi lag raha tha:0039:
    because first time train mein bethe the na:0039:

    Sab se mushkil tu pehla din tha:auo:

    hum subha sawaar huye aur agle din ki shaam tak humein lahore pohanch jana tha
    bhut sarey dramay huye us beech
    mein darr rahi thi tu is chakkar mein jitney nimko biscuits wagera saath laye they sab se insaaf karney lagi:auo:

    Zameer baqaida mere khaney per mer record laga raha tha

    ''Moti moti kitna kaho gi phat jao gi''

    meine koi notice hi nahiin liya us baat ka.../polish
    yeh aur baat ke cheezon se insaaf tu woh khud bhi usi tezi se kar raha tha...

    mamma ne khoob danta hum dono ko..
    baqi mere dono behen bhai barey hi shareef hain
    behen so gayi thi aur bhai wwindow ke paas papa ki goud mein betha hua thayeh aik vip private room tha..6 beds the uper neechay aur lkafi chorey chorey they digital bana hua tha..train mein dakhil honey se ab tak meine bari hairani se dekha tha train ko kyunke tv dramaas wagera wali buhut hi bakwaas trains dikhatey hain..
    yahan bhi papa ne humare araam ke khayaal se itni achi saaf suthri aur araam deh train mein seats book karwayi thein(Love u papa....
    ..............................

    Jab train start huyi tu uskey horn ne kano ke pardey phar diye pooooooooooooooooooN

    train pehle slow slow raingna shru huyi phir uski riftaar ahista ahista tez hona shru huyi mein saath layi books se mustafeed honey lagi..zameer barth par chala gaya mama papa khandaan wlaon ki koi baat le kar bethey they..bachey so rahey the..

    mein thori dair hi main books se ikta gayi...

    Samney window ke paar nazar pari tu mabhoot si reh gayi/happo/happo

    itna pyara samaa tha khet khaliyaan mujhey aisa laga jaise dadooo ke ghar janey wale rastey agaye hon..hehe
    aur mamam papa se us bata ka ziker kiya tu unhoney kaha

    '' beta yeh tu karachi aurr haiderabaad ke beech ke raston se guzar rahi hain train''(i dont know ke ab un raston per kiya kiya baad ho chuka hai kyunke buhut arsey se mera train ka safar nahiin hua)

    phir yun hi bahar ke nizare dekhtey..atey jatey stationo ko taktey wahan ki mazeydaar cheezein le kar khatey dopahar ho gayi aik station par gari ruki thi yaad nahiin sahi se kaunsa station tha shayad sukkur tha..wahan se berein(mithayi) kahi wahan ki berein buhut hi lazeez hoti hain aisi ke banda khata chala jaye...

    Khana agaya khaney ke menu zaberdast tha..karhayi gosht polao zerda kabab mamma ghar se hi bana ker layi thi..mama ko hum sab ki pasand ka khayaal tha..

    khana kha kar jo hum onghey tu phir shaam ko 5 pm hi ankh khuli(dopahar ka khana humarey hain 12pm kha liya jata hai/happo)

    sab hi fresh the batein kar rahey the movies ban rahi thi bahar ke nazaron ki maine itni pics khenchi hai ke poora album para hai..Nasirf is safar ki balkey worldwide jahan jahan mein gayi har jagey maine pics li hain/sharam

    sab aik dusrey ka interview kar rahey the ke apko safar kesa lag raha hai

    ''Ji Mishaal begum i mean Mishaal Khaton aaapka pehla safar hai yeh kesa lg raha hai aur kiya kehna chahein gi??''

    zameer ne mujhse ban ban kar sawaal kiya

    ''Ji mujhey bas itna kehna hai experience tu bara acha hai magar yahan kuch bor karney waley log mujood hain''

    Mera ishara usi ki taraf tha/polish

    ''Kya matlab hai tumhara mishi ki bachi !''

    ''mein bor karta hun tum logon ko haaa mein apney handicam se banayi aik movie bhi u ko nahiin dunga doston ko dikhaney ke liye:jwh:''woh tap hi tu gaya tha meri baat pe:auo:''

    ''Na do bhaley mere handicam se tumse zyada achi movies bani hai:0033:''meine usey no lift kara di..

    phir tu tu mein mein shru ho jati agar pap hum dono ko warn na kartey...

    woh aflatoon ka nana hitlor ka jaanasheen bhi sirf papa ke khayaal se chup ker gaya tha werna usey kaun rok sakta tha bolney se

    ..........................


    raat ko masla tha oney ka..mujhey barth per yaqeen nahiin tha:0039:

    gir gayi tu??

    chot agayi tu???
    sab hansey ge??:0039:

    is liye barth se neechay wala bed le liya..
    uper ki jo 2 barth thein aik par papa aur aik par zameer ne kabza tha..
    papa neechay wale bed per chote bhai ke saath aur unke samney waley bed per behen thi..

    chalein ji soney ka masla hal hua..:au:

    magar ma badolat sari raat na so sakeein
    aik tu train ki chuk chuk jhatkey dusrey hum aneezah syed ka ''dil man musafir man''parhney mein lagey huye the...
    itni achi story chal rahi thi hum us mein gark..

    neend hi na ayi..qareeb qareeb 4am neend ki devi ne meherbaan ho ker soney ki ijazat di../happo/happo/happo
    .......................

    Subha aankh khuli tu neck mein pain ho raha tha pait bhi dard kar raha tha..

    ''aaaaaaaaaaaaaaaaa mamma pait dard kar raha hai/girly017''


    ''aur kaho itney zyada nimco mana kiya tha na maine ap dono ko''mamma ki pyar bhari daant

    mujhey tu khoob moshion huye behaal ho gayi thi mein
    same haal zameer dada ka bhi tha:auo:
    apni takleef bhool kar mujhey uskey face ke expression per hansi ajati thi..:auo: tauba hai zameer bhi na:auo:


    magar phir bhi nashta humney dat kar kiya.. phir shaam k tak khoobsurat jheleon ka nazara kartey rahey haye sab yaad araha ab kahongi mama se mujhey phir janaa hai train mein/sharam

    ...............


    ji phir akhir theek 4pm hum lahore ke station per pohanch hi gaye...train ko maine alvidaayi nazron se dekha..jaisey keh rahi hon bari meherbaani humein bardasht kiya apney/happo

    station se mamma ne humein murgh choley bhi le kar diye..wahan ke murg choley intehayi mazeydaar hotey ahin..kabhi aap bhi try ki jiye ga/happo
    aur jin jinhoney khaye hain wo tu zaror taeed karein ge meri baat ki.../happo

    ..........................

    humari rehayish ka intezaam ''ambassador hotel'' mein tha...
    papa ko relative ke ghar rukna pasand nahiin ke aik waja tu yeh ke phir sab khatirdaari mein lag jatey hain aur dusra unka privacy system gbhi mutasir hota ahi...papa ko relative ko zymat dena ya un per baar banna acha nahiin lagta.../happo
    ............................
    Lahore pehli baar ayi thi magar hotel ki shaan mere liye new nahiin thi net per dekh rakhi thi pics jab zameer ne hotel mein stay ka bataya tha...hehe

    wall per lagi khoobsurat paintings hotel ke intezamiya ke zoq ki amli tasweer lag rahi thein khana bhi buhut hi acha tha...

    Agli subha se Hum sab ne safar ka aghaaz karna tha so sab thakey huye they ........lahore ka pehla din tu aaam ki nazar ho gaya/happo

    ................

    Subha tazadam hoker sab nikalney ..papa ka kehna tha chounkey lahore mein garmi urooj mein hai jisey bache nahiin seh paye ge aur woh bhi aise halaat mein ke ac ke aadi hain..kher ab aisa bhi nahiin tha ke hum bilkul hi ac per depend kartey hon..humari jadon mein bhi dadi jesi sakht jaan khatoon jo kari dhoop mein bhi paley huye janwaron ke dney paani ka intezaam karti hein...ka khoon dor raha hai
    magar woh waqi sahir keh rahey..bahar bala ki garmi the humein subha hi suraj ki tapish nagwaaar guzar rahi thi tu dopahar ka tu Allah hafiz hua na..../happo

    .........................


    LAAL QILLA !

    lal qilla ki wasse-o-areez imarat humareyy samney thi.sekron ki taddad mein logon ka jam gafeer tha....ounchi ouchi rah-e-dariyaan special uskey jo dono minar they na me ko buhut hi attractive lagtey hain aj bhi...
    humney un rah-e-dariyon mein beth kar kitni hi pic li kitni hi batein ki aisa dil chah raha tha wahiin reh jao/happo

    Shahjehaan bhi kya kaam kar gaye hain isey bana kar/sharam
    ....................


    BAdShahi Masjid

    Shaam mein hum badshahi masjid aur meenar-e-Pakistan gaye...Badshahi masjid bahar se jitni old lagti hai andar se utni hi jadeed style mein bani huyi hai/4u
    maghrib ka waqt tha tu bahar ki pics hi capture kar sakey.. roshniyon mein doobi buhut hi achi lag rahi thi..mein hairaan thi wahan namaziyon ki taddaad per..werna tu jitni masjidein dekhi hai maine un mein kabhi logon ka itna jam-e-gafeer nahiin dekha...

    ..........................

    Minaar-e-Pakistan

    Meenar-e- Pakistan ko dekh kar us per jo sign boards lagey the usey dekh kar mein buhut dair tak sochti rahi.yeh woh minar-e-pakistaan hai jahan Humari pak sar zameen ke wajood mein aney ka faisla hua tha jahan per aik nayi qaum nai jado jehad karney ka faisla hua tha..
    pata nahiin log yeh sochtey hongey ya nahiin unkey andar yeh jazba bedaar hota hoga ya nahiin jo is waqt meri ankhon mein tha/girly017

    kyunke wahan log hans rahey the batein kar rahey they khana peena ho raha tha wrappers idhar udhar ur rahe the...safayi ka kisi ko khayaal nahiin tha aur....kisi ne us imarat ko aik nazar qadrey ther kar dekhney ki shayad zarorat hi mehsoos nahiin ki thi..

    shayad aisa na ho per mujhey zaror aisa laga/girly017

    phi janaab wahi photo session hua..pics kafi achi ayi aur thakey harey hotel aye khana kha kar so gaye..kal lahore mein humara akhiri din hona tha.........

    Us akhir din humney subha se subha se shaam ghooma(ghomney se zyada garmi ko bardasht kia aik sitam:jwh: )

    jin jaghon per gaye the woh buhut dhundli dhundli yaad hain..book library gaye the name yaad nahiin ...

    barey barey rakes mein nifasat se saji mukhtalif mozoaat per
    kitabein rakhi thein..........mein muntassir husaain ke safarnamey aur bano qudsia ki raj gidh utha layi kuch apne subjects se related books bhi lelein..baqi sab ne bhi kuch na kuch liya..mein Is shopping se thori khush nazar arahi thi..ke chalo kuch kama ki shoping kar li...

    ........................


    Shaam mein Bachon ko le kar tafreehi mukamaat ki taraf bhi gaye the.....garz 2 buhut ache aur yaadgaar din guzaar kar hum raat 8pm Rawalpindi rawana huye....
    Is baar ''Diewoo'' Bus mein safar ka agaaz hua !

    Bus ki khaas al khaas khusiyaat jis per mujhey hansi ayi ke us mein har seat right side per aik music system nasab tha...
    hasney ki baat uskey wahan honey pe nahiin thi
    balkey jo caseette unlogon ne laga rakhi thi woh dono side se khatam honey ke baad again repeat ho jati thi sakht bore huyi aur Is per hansi bhi buhut ayi

    Dinner hum hotel se kar key aye tu ab sab hi ko neend arahi thi..aur sab hi oongh rahey they siwaye mamma papa aur mere....bataya tha na mujhey safar mein neend zara mushkil se ati hai

    bus lahore ko peechay chorti pindi ke raston ki taraf gamzan thi..bahar tareeki aur khamoshi thi..kabhi kabhi aisa lagta jaise yeh khamoshi sarey mahool per galib ajaye gi..bahar kabhi kabhi koi darakht ya koi dukaan ko rasta roshni mein nazar jata tha...meine aik nazar bas ke soye soye se mahool par daali phir khud bhi kano mein earphone laga ker fm sunney lagi..phir janey kab mein sogayi....

    mujhey subha namaaz ke waqt uthney ki adat hai..so fajr ke qareeb meri ankh khuli..ujala phelney hi laga tha..main road par dorti bas ird gird harey bharey darakht ....kuch shop khuli adh khuli thi kuch khul chuki thein tu kuch band thein..parindey rizq kei talaash mein niley huye the..mujhey yeh manzar buhut khoobsurat laga is liye cameray ki aankh ne us manzar ko humesha ke liye mehfooz kar liya..Allah ki is qudrat ko mehsoos kartey aur uski hamd-o-sana kartey mujhey be intehaa sukon mila/happo

    pindi mein jo 4 din guzarey bilshuba buhut hi yaadgara they mausam acha ho aur czn wagera ka saath ho tu waqi maza ata hai..gou yahan bhi humara qayam hotel mein hi tha magar czns log sab hi milney atey aur hum unkey ghar jatey rahey unke saath hi ghoomna phirna hua.. actually pindi mein papa aur mamma ke mushtariqa czns rehtey hain tu unkey kids bhi humarey czns huye aur un sab se achi baat cheet aur dosti thi sab ne picnic bhi manayi thi wahiin kahiin koi jheel thi ab name kaha yaad hai mujhey/shy magar maza buhut aya tha/happo
    aunty ke haath ke banaye huye kabab aur ferni aj tak yaad hai buhut hi acha khana banati hain main tu ab bhi jab kbhi phone ata hai unko karachi aney ki dawat deti hun aur saath unkey hath ke baney khaney ki farmaish bhi


    ..........................................

    Murre janey ke liye papa ne land cruiser book karwayi thi...
    kyunke saath mein samaan buhut ho gaya tha aur kuch hum sab barey phelu waqi huye hain

    Murre mein jab car chooti per charhney ja rahi thi tab pahar buhut door aur door nazar arahey they... mujhey tu dekh kar hi thand lagney lagi/sharam

    magar adha safar bhi nahiin hua tha chote bhai ko vomitting ho gayi...mutli tu humein bhi buhut ho rahi thi magar hum pareshaan nahiin they ke sab itni ounchayi aur round lagney ki waja se tha...hum pahari log hai tu yeh sab seh saktey hain haan magar bachey jo ke pehla safar kar rahey hon shayad seh nahiin patey..../happo

    Car side mein rok di gayi...usey mazeed vomitting ho rahi thi..
    mein ne ik nazar paharon ko dekha ..us waqt dil ne yeh khawahish ki thi ke kuch dair yahan bethon bilkul khamoshi se koi na ho aur ankhein band kiye mein kho jaon..hota hai na kabhi kabhi koi pur sukon gosha nazar aye tu bas wahiin ke ho janey ko dil karta hai shayad qudrat ke manazar hotey hi aisey hainjahan bhi hon humein buhut attract kartey hain phir chahey woh switzerland ki pahariyaan ho paktoon khua ho ya murre kaghan wagera:z

    ..........................

    humari manzil 3sri choti per akar khatam huyi...
    lahore ke garam mausam se nikal aney ke baad murree aur pindi ki thans mujhey buhut takweet baksh gayi gou mausam zyda thanda nahiin tha k yeh june july ke din they magar phir bhi lahore ki garam fizaon se tu better hi hua/happo

    yahan ki aik baat mujhey pasand nahiin hotel beshak achey hotey hain par khana .................

    Inko sirf karhayi gosht acha banana ata hai

    ab mujhey biryani buhut pasand hai meine uska order note karwaya...woh log sadhey chawal utha kar le aye jis mein gosht naam ko nahiintha..actually yahan log sadha polao ko biryani kehtey hain:mr4:

    tu phir yahi chawal karhayi gosht daal kar khaye aur dino zameer mujhey yeh sab yaad dila kar chirata raha/sharam
    hum murre ke jis restaurent bhi gaye wahan karhayi gosht hi mila
    .........................

    murre shopping ke liye buhut hi zaberdast jagey hai..yahan janwaron ki khaal se bana samaan buhut sasta mil jata hai..aur jo kapra aap pindi karachi wagera se karidte hain woh wahan apko itni kam qeemat mein miley ga ke aap karachi ki shopping bhool jaye gey/happo

    meine wahan aur mamma ne wahan se dheron shopping ki specially meine bhalo ki khaas se bana woh special purse liya brown colour ka jo aj bhi aik achi yaad ki terhaan mere cupboard mein mehfooz hai yahan klarhayi ke bhi ache ache design the/sharam

    papa ne wahan se sab ke liye garam jackets sock mufler topey aur galfs liye..ke thand tu thi na/4u

    Shaam mein hum sab dobara bazaar ki ronaqein dekhney neechay gaye ..

    bazaar ki ronaq pehley se zyada thi jin mein raat ko lagney waley ofee ice creame aur gol gappo ke stalls shamil they...

    mein yeh teeno cheezein khayi:auo: aur chotey bhai ke hissay ki ice creame bhi kha gayi..cofee bilashuba wahan ki buhut achi thi ..
    imagine karein dhalti shaam ho sard mausam mein garam garam cofee ke chaskey lena aur parkk mein bethey hon kesay laga karta hai? /sharam

    sab kuch buhut haseen lag raha tha..apney mulk ki har cheez har jagey hi haseen hai bas apne masroof aur qeemti waqt mein se time nikal kar uski sair kar lein aap tu apko maloom ho/4u

    paharon par baraf ke todey nahiin they matlab abhi baraf bari ka season nahiin tha....mene room ki window se barhaa mausam ka jaiza liya..

    aik baat maine note ki jab hum safar mein they tu chotiyon per dher sari umbrellas lagi huyi thein..magar unka malik kahan tha buy kartey tu kesay?

    wahan doobtey suraj ka manzar dekhna buhut acha laga doobti shamon ki saari udaasi ayaan ho rahi thi.......
    me thori dair ko udaas huyi tu room mein akar let gayi thi...

    sab poochney lagey kia hua etc magar meraa mood ajeeb honey laga tha meine tabiyat theek nahiin ka bahanabana dia..

    magar raat ke khaney per mujhey uthna hi para neechay wali choti per sardi se hawon mein shiddat agayi thi.. magar jaise teesay neechay utre khana wagera khayaa..zameer kab se mere pholey huye chehrey ko dekh raha tha..

    ''aye miss ab tu tumharey thande thande murre agaye ab kyun chain nahin hai moun kyun bana rakha hai:au: kya khayaal hai wapas lahore chalney ka kahoon papa ko:mr4:??''
    usney mujhey chiratey huye kaha

    aur waqi lahore ka name suntey mujhey patingey lag gaye
    ''huh lahore janey ka itna hi shoq hai tu whaiin reh jatey ''
    ''papa ! Isko tu lahore hi chor aye iska dil wahiin kahiin reh gaya hai''

    sab hi hasney lagey aur zameer ka moun papa ki ghooriyon se nikal aya tha !
    uski yeh halat dekh kar meri bhi hansi nikal gayi/biglol

    Bas aise hi hain hum /happo aik dusrey se judey huye..yeh tu kher bachpan ka safar tha magar ab tak ke jitney safar guzrey hain woh buhuuut hi zyada memorable hain jinhein mein kabhi nahiin bhoolon gi Humesha ayaad rahega sab kuch ! INSHALLAH

    ....................
    Alhamdullilah

  3. #22
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    ufffffffffffffffff Mish kinna bada likha hai or wo b
    kinni khoobsurati se/up
    wese mene half Parha hai Pura Parhu gi zaroor

    zabardast likha u ne/up


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


  4. #23
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Asalamu-Alekam
    Mishall sister hisay lenay ke liye

  5. #24
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Quote Originally Posted by SanoriTa View Post
    ufffffffffffffffff Mish kinna bada likha hai or wo b
    kinni khoobsurati se/up
    wese mene half Parha hai Pura Parhu gi zaroor

    zabardast likha u ne/up
    buhuuuuuuuuuuuuuuuuuut shukriya:auo:

    taubah uff tu aise kar rahi ho jaise tumhein nanga parbat ka safarnama parh liya hai:auo:

    yaar meine tu isey bhi buhut jaghon se cut kiya hai werna kaafi sari baatein thein..per length zyada hojati mazeed to short kar diya.....

    ab inna bhi khoobsurat nahiin bongiyaan zyada thi safar mein

    hmm yeah sure araam se perhna jaldi kya hai

    Thanks for liking
    Alhamdullilah

  6. #25
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    Asalamu-Alekam
    Mishall sister hisay lenay ke liye
    Walaikum Assalam..Jazak ALLAh khair...

    jee ur most welcome.../4u
    Alhamdullilah

  7. #26
    Join Date
    Jul 2010
    Location
    Karachi....
    Posts
    31,280
    Mentioned
    41 Post(s)
    Tagged
    6917 Thread(s)
    Rep Power
    21474882

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Quote Originally Posted by Mishaal View Post


    buhuuuuuuuuuuuuuuuuuut shukriya:auo:

    taubah uff tu aise kar rahi ho jaise tumhein nanga parbat ka safarnama parh liya hai:auo:

    yaar meine tu isey bhi buhut jaghon se cut kiya hai werna kaafi sari baatein thein..per length zyada hojati mazeed to short kar diya.....

    ab inna bhi khoobsurat nahiin bongiyaan zyada thi safar mein

    hmm yeah sure araam se perhna jaldi kya hai

    Thanks for liking
    nahi me ne kabhi nahi parha safar nama waqera
    u ka hi parh k dimag thikana aagayakar

    really me accha tha


    Ik Muhabbat ko amar karna tha.....

    to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!


  8. #27
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!

    Quote Originally Posted by SanoriTa View Post


    nahi me ne kabhi nahi parha safar nama waqera
    u ka hi parh k dimag thikana aagayakar

    really me accha tha
    Chalo u keh rahi tu maan leti hoon@Really acha tha

    thankyou sano
    Alhamdullilah

  9. #28
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Muqabla Mahe October: Safarnaama!


Page 3 of 3 FirstFirst 123

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •