View Poll Results: Cast Ur Votes

Voters
17. You may not vote on this poll
  • naz

    2 11.76%
  • Paras

    4 23.53%
  • SanoriTa

    2 11.76%
  • sam001

    0 0%
  • Mishaal

    1 5.88%
  • ~*jia*~

    1 5.88%
  • InNoCenT GiRl

    5 29.41%
  • cute ruba

    1 5.88%
  • ~*Rano*~

    1 5.88%
  • Hijab

    0 0%
Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 10 of 22

Thread: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010



    is barrr 10 Members ne comp main hissa liya
    sub ki Poetry bhot achi hia
    ab waqt hia polling ka.

    Rules :


    1: Eik member eik hi vote cast kr skta hai
    2: Apni sharing ko vote cast nahi kr skte
    3: Polling ki last date 28 OCT hai.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    naz

    Shair

    qs6uma - Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010


    Nazm


    s - Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010




    Paras



    Shair


    Mujh Se Jab Kissi Ne Poocha k Kon Hai Woh
    Main Ne Hans K Keh Dya Muhabbat Ki Tafseer Hai Woh


    =====================================

    Nazm

    Main Nahi Janti K Tanhai Ka Dukh
    Kisay Kehte Hain
    Kyon K Main Ne Hamesh
    Tanhai Main Sukh Hi Paaya Hai
    Teri Zaat Ko Apne Wajood Se
    Qareeb Paaya Hai

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    SanoriTa



    ShaiR

    Mehfooz hun ap ki bahon mein khass ye ek ehsas hai
    Mera Chand ho ap Maa or meri EID ap ka saath hai

    Nazm

    Meri Maa mugh se aesi Mohabbat karti hai
    me jo neend se jaag jau andhrey se dar jau to aese mein
    do meherban haath
    meri orr barhte hain
    mughy bahaon mein bharty hain
    or ek Manoos si awaz
    meri kaano mein parti hai
    ek Loori si sunati hain
    mein neend ki wadio me
    kho si jati hun
    jab ankh meri khulti hai
    meri pass mere hoti hai
    bas mughy dekh rahi hoti hai
    janny kya parh k phukti rehti hai
    phir
    mere wajood k apni aankho mein
    bharti hai
    or phir apne kaamo me lag jati hai
    me jo zara dier kahin chali jau
    wo chupky se roti hai
    meri salamati ki duayein mangti hai
    apny sir ko sajdy mein Jhukati hai
    or jab me samne aau,
    mughy choom choom rakhti hai
    apny Rab ka shukar karti hai
    jo zara si jo mughy chot lagy
    to annkho se ashkoo ko bahati hai
    mere zakhm per marham lagti
    or apne ashko se mugy choomti hai
    or raat ko jab me soti hun meri MAa mughy bahon mein bharti hai
    meri Maa mugh se aesi Mohabbat karti
    han.!
    meri Maa mugh se aesi Mohabbat karti hai.






    sam001



    ShaIR

    Wo Shakhs Bhala Sahib-e-Kirdar Kahan ho ga???
    Jo Dar Dar Phira Mohabbaton k Shehr Mein...

    Nazm



    jfkb4x - Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010



  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    Mishaal



    Shair

    dryakeisshormainsachi - Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010




    ~Nazam~

    Meri Aik buhut Pyari CLose Friend Kay liye Jo Ab janay kahan Hai
    Shayad zindagi Kay melay main kahiin Kho Gayi Hai.......

    Udaas dhalti Shamon Main
    Ujaar-o-Verraan Raston pe
    salagti hui un yadon main
    andheron main ujaalon main
    woh din buhut yaad aatay hain

    jab zindagi kay rang saray
    apnay haath main hua kartay the
    jab titliyon ko pakarnay hum
    Ghar se buhut door nikal jatay the
    jab haste hanste aankhon main
    Achanak aanso aa jatay the
    Woh din buhut yaad atay hain

    Aik doosray se khafa hona
    Humari roz ki adat thi
    Yeh baat thi achi nahiin
    Magar is adat ki humein adat thi

    Woh shaam dhalay baagh main
    Bhaiya se chup ker
    darakhton per charha kartay the
    Woh zamanay kitnay achay the
    Woh Chehray kitnay bholay the
    Ab peechay mur kay dekhon tu
    Janay kyun dil Kat'ta hai
    Woh din buhut yaad atay hain

    jab daadi jaan kay kamray main
    Hum roz kahani suntay the
    sunte sunte so jaatay the
    Jab aankh main aansoo atay the
    Ik Doojey ko samjhatay the
    Aik doojey kay aansouon ko
    Baray pyaar se poncha karta the
    Woh ponchnay walay hath ab kahaan?
    Woh din buhut yaad atay hain

    Yeh dil tu bilkul pagal hai
    Samajhta hi nahiin kuch hai
    Yeh chahta hai koi louta de
    Woh pyaray din woh pyare kal

    Woh chahton ki nagri main
    Jo Jugnoo the buhut saaray
    Kuch tere kuch mere jugnoo
    Suno ab kho gaye hain sab
    Woh jugnoo sab tere mere

    Kabhi jab jaati hon un galiyon main
    Zindagi ik film ban kar
    Ankhon main mere chakrati hai
    Ankhein jab ashak bahati hain
    Yeh ghutan barh si jaati hai
    Aur aisay udaas lamhon main
    Woh Din buhut yaad aatay hain.





    ~*jia*~




    My Fav Nazam

    cfhjy - Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010


    Fav Shair


    shair - Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    InNoCenT GiRl


    دشوار راستے اور کٹھن منزلیں
    نہ کوئی رہبر نہ کوئی ہمسفر
    کتنا تنہا زندگی کا سفر
    مسافتوں میں ڈوب کر
    ہر پل لگتا ہے ڈر
    مختصر سی یہ رہ گزر
    مانگے ہے عمر بھر کا سفر
    آبلہ پا دربدر
    بھٹکتی رہی شام و سحر
    اے میرے چارہ گر
    کیوں نہ مانگوں پھر میں اجر
    ہر اس خواب کا
    ہوا جو بربادیوں کی نظر
    ہر اس رات کا
    کانٹوں پہ ہوئی جو بسر
    اے مرے عظیم طلسم گر
    زندگی کی قید سے
    اب تو آزاد کر

    Shair

    محفل میں بظاہر جو پُر سکوں نظر آتے ہیں
    تنہائی میں کس قدر وہ آنسو بہاتے ہیں

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    cute ruba

    Nazm


    Suno Ae Mehvar-e-Hasti
    Suno ae hum sukhan mere
    Tumhari is Mohabbat ney
    hamen Mazboot kar dala
    Dukhon k Mousamon main Zabt ka Aadi bana dala
    Suno Ae mehvar-e-hasti
    Zara dekho k is Shehr-e-Mohabbat main
    Tumhari bey panah chahat si chahat mil nahi sakti
    Mere dil k nihan khano main jo bey naam jazbey hain
    Suna hai us Mohabbat si Mohabbat mil nahi sakti
    K aisa main nahi kehti
    Mere Jazbaat kehtey hain
    Jo in Anjaan rahoon main
    Hamarey saath rehtey hain
    Suno ae mehwar-e-hasti
    Suno Ae hum sukhan mere
    Yahi meri kahani hai
    Tumhari is Mohabbat sey
    rawan ye Zindagani hai


    (NOSH)


    Shair

    Beybasi ka Ajeeb Aalam Hai
    Mujhko Mujh main wo Ab Nahi Milta



    ~*Rano*~

    Nazm

    Kash..!
    Ab k Eid Per Kch Younh Ho
    Chand Raat Ho
    Aur Main Dua K Liye Haath Uthaon
    Dil Main Chupkay Se Tujay Yaad Karon
    Aur Tum Chand Ki Seerhiyan Utar Ker
    Mere Angan Main Aao
    Phir Dheeray Se Mere
    Maathay Per Boosa Do
    Aur Kaho...!
    Jana..! " Eid Mubarak"

    Shair

    ~ Dewangi Ki Hadon ko Chooti Yeh Chahat Tumhare Liye Hai
    Meri Jaan! Meri Yeh Zindagi Tumhare liye Hai...~



    Hijab

    Nazm


    "Ae Khuda,
    Bus itni se hai iltija,
    Cha-hay routh jaye,
    Mujh se her khushi,
    Kabhi rothay na,
    Mujhe se meri ma'an!!"

    Shair:


    "MUJHE JIS QADAR "INKAR" MOHABBAT SE HAI,
    USAY US QADAR "AITBAAR" MOHABBAT PE HAI!"




  7. #7
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    City Of Lights
    Age
    32
    Posts
    519
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474851

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    Walaikum Assalam
    Voted

  8. #8
    Join Date
    Oct 2009
    Location
    Failed State
    Posts
    50,102
    Mentioned
    2 Post(s)
    Tagged
    34 Thread(s)
    Rep Power
    21474902

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    voted

  9. #9
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    Karachi,Pakistan
    Posts
    11,802
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    16 Thread(s)
    Rep Power
    21474862

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    voted......
    Alhamdullilah

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling 4 Poet Club Competition OCT 2010

    Cute ruba

    Rules mian likha hua hai..

    2: Apni sharing ko vote cast nahi kr skte

    ap ne krdiya ....Vote CANCEL..

Page 1 of 3 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •