Azab e qabr ki suratain
Hadees 64:
Riwayat hai Hazrat Usman say k
Hazrat Usman jab kisi qabr per kharay hotay to itna rotay k aap ki darhi ter ho jati, arz kiya gaya k aap jannat dozakh ka zikr kertay hain to nahi rotay is say rotay hain [1] , fermaya k Hazoor (SalAllaho Aliehe Waslam) nay fermaya k:
Qabr akhirat ki manzilon main pehli manzil hai, agar is say nijat pa gaya to baad wali manzilain is se asan ter hain [2]. Aur agar is say he nijat na payi to baad wali manzilain is se sakht hain. [3]
Fermaya Rasool Allah (SalAllaho Aliehe Waslam) nay k:
Main nay koi manzar na dekha magar qabr is say zyada wehshat naak hai. [4]
(Tirmizi, Ibn e Maja)
Sharah:
Murday ki yaad main nahi balke qabr ki haibat main aur azab e qabr kay khof say, agarcha aap her qism kay azab say mahfooz thay aur zuban e Mustafa (SalAllaho Aliehe Waslam) say jannat ki basharat pa chuke the, laiken haibat dil main mojud thi jo iman ka taqaza hai.
Yani mernay k baad qabr, hashar, meezan, pul sirat waghira, bohut si manzilon say humain guzerna hai, laiken tamam manzilon ka pata qabr say chal jata hai. Yahan bach gaya to INSHALLAH agay bhi mahfooz rahay ga, balkay gunnah gar momin kay liye qabr ka arzi azab us k gunnahon ka kaffara ho ga.
Yani qabr ka dayemi azab kuffar kay liye hai, is kay liye hashar o pul sirat qabr say zyada khaternaak hain.
Yani duniya ki bari bari museebatain qabr kay mamooli azab say bhi asaan hain. Aish main rehne walay kafir ko qabr main aik garm hawa de ker puchain gay k kya tu nay kabhi aish dekha tha? woh kahay ga, main janta bhi nahi tha k aish kya cheez hai, museebat-zada apne maal aulad ko dekh ker tasalli pata hai, qabr main kisay dekha ge.
Hadees 65:
Riwayat hai Hazrat Usman say, fermatay hain k:
Jab Nabi (SalAllaho Aliehe Waslam) mayyet kay dafn say farigh hotay to wahan kuch dair thehrtay aur fermatay, apnay bhai kay liye dua e maghfirat karo [1] , phir is kay liye sabit qadm rehnay ki dua karo, k is say ab sawalaat ho rahay hain [2].
(Abu Daud)
Sharah:
Humaray han riwaj hai k dafnanay kay baad foran wapis nahi hotay, balkay qabr kay aas paas halqa bana ker kharay hotay hain, kuch perh ker bakhshtay hain, aur mayyet kay liye dua kertay hain, in sab ka makhaz ye hadees hai, ye tamam amaal sunnat hain.
Yani honay walay hai kyun kay hisab e qabr logon kay lotnay kay baad shiru hota hai, is say maloom hua k zindon ki dua say murdon ko faida hota hai, aise he in k sadqaat o khairat mayyet ko mufeed hotay hain. Abu Amama ki riwayat main hai k Hazoor (SalAllaho Aliehe Waslam) irshad fermtay hain k dafn kay baad qabr kay serhanay kharay ho ker ye keho aye falan ibn falan woh kalma yaad ker jisay tu dunya main perhta tha, tera rab Allah hai, tera deen islam hai, teray Nabi Muhammad Mustafa (SalAllaho Aliehe Waslam) hain. Hazrat Abdullah ibn Umar ki riwayat hai k dafn kay baad serhana e qabr per surah baqra ka pehla ruku aur paienti (paon ki taraf) akhri ruku perhna mustahib hai. Sheikh ibn Hamam fermatay hain k qabr per Quran perhna bohut aala hai.
Hadees 66:
Riwayat hai Hazrat Abu Saeed say, fermtay hain fermaya Rasool Allah (SalAllaho Aliehe Waslam) nay:
Kafir per us ki qabr main ninyanway (99) sanp musallat kiye jatay hain [1]. Jo usay qayamat tek nochtay aur dastay rehain gay [2] . Agar in main se aik sanp zameen per phoonk maar de to kabhi sabza na ugay [3].
[Darmi, Tirmizi]
Sharah:
Kyun kay kafir Allah kay 99 namon ka munkir hai, is liye us per 99 sanp muqarar huye. Allah ki 100 rehmatain hain, aik duniya main aur 99 momin per akhirat main, kafir in naymaton ki jagha sanp pata hai.
Yani koi nochay ga, koi dasay ga.
Is terhan k is ki germi aur zehr ki wajha say mitti pak jaye aur sabzay kay qabil na rahay, jahan atom bomb perta hai woh jagha naqabil e kasht ho jati hai.
Hadees 67:
Riwayat hai Hazrat Jabir say, fermtay hain fermaya Rasool Allah (SalAllaho Aliehe Waslam) nay k:
Jab mayyet qabr main dakhil ki jati hai to usay suraj doobta hua maloom hota hai [1], to woh ankhain malta hua baithta hai aur kehta hai mujhe choro main namaz perh lon [2].
(Ibn e Maja)
Sharah:
Ye ehsaas munkar nakeer (Nakeerain) k jaganay per hota hai, chahay dafn kisi bhi waqt ho. Kyun kay namaz e asar ki zyada takeed hai aur aftab ka doobna namaz e asar jatay rehne ki daleel hai, is liye ye waqt dikhaya jata hai.
Yani aye farishton sawalat baad main kerna, asar ka waqt ja reha hai, mujhe namaz perh lainay do. Ye wohi kehay ga jo dunya main asar ka paband tha, Allah naseeb karay. Isi liye Allah fermta hai k tamam namazon ki khasusan beech wali namaz ki bohut negehbani (take care) kero. Sufiya karam fermatay hain, jaisay jiyo gay waisay he maro gay, aur jaisay maro gay waisay he utho gay. Mumkin hai k is arz per sawal jawab he na hon aur hon to nihayat asaan, kyun kay is ki yehi guftagu tamam sawalon ka jawab ho gi.