Lo ho gae numaya asaar e Qayaamat
Be pardagi ka alam main kya batoan haye
Zehrila sanp hai ye Ummat ko das na jaye
Har simt dekhlo ab uryani, behayai
Gheron se hai muhabbat apne se hai bewafai
Behnon k mashghaloon se bhai b bekhabar hain
Pochain to kis tarhan se jb wo khud idhar udhar hain
Beti b ladli hai parda kare to kaise
Angan main apne ghar k jee ko bharay to kaise
Yeh aqal hai maghrib ki aur kam himaqat k
Lo ho gae numaya asaar e Qayaamat