Titliyon k mausam main nochna gulabon ka
reet iss nagar ki hai aur janay kab se hai

sheher k ye bashinde nafraton ko bo ker bhi
intazar kerte hain fasl ho mohabbat ki

bhool ker haqeeqat ko dhoondna sarabon ka
reet is nagar ki hai aur jane kab se hai

abhi tum naye ho na isi liye pereshan ho
aasman ki jaanib iss tarha se mat dekho

aafatain jab aani hoon tootna sitaroon ka
reet iss nagar ki hai aur jane kab se hai

khamshi mera sheva guftagoo hunar uss ka
meri begunahi ko loag kese manain **

baat baat per jab k maangna hawalon ka
reet iss nagar ki hai aur jane kab se hai

ajnabi fizaoon main ajnabi musaafir se
apne har ta'aluq ko daayemi samajh lena

aur jab bichar jana...mangna duaaoon ka
reet is nagar ki hai aur jane kab se hai