Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 11 to 20 of 26

Thread: ***dil Ki Aik Yaad***

  1. #11
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    United Arab Emirates
    Age
    38
    Posts
    674
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by munda_sialkoty View Post
    mere response ka shukriya kyoon nahi ada kia gaya
    q k aaap chips kha rahay thay aur un se poocha bhi nahin is ilye

  2. #12
    Join Date
    Mar 2008
    Posts
    347
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by baqarkashmiri View Post
    q k aaap chips kha rahay thay aur un se poocha bhi nahin is ilye
    Tum se kis ne poocha
    In three words, I can sum up everything I have learned about life!

    IT GOES ON

  3. #13
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    United Arab Emirates
    Age
    38
    Posts
    674
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by munda_sialkoty View Post
    Tum se kis ne poocha
    mein tu apni marzi ka malik hon janab

  4. #14
    Join Date
    Mar 2008
    Posts
    347
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by baqarkashmiri View Post
    mein tu apni marzi ka malik hon janab
    kahin tu jhoot to nahi bool raha
    In three words, I can sum up everything I have learned about life!

    IT GOES ON

  5. #15
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    United Arab Emirates
    Age
    38
    Posts
    674
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by munda_sialkoty View Post
    kahin tu jhoot to nahi bool raha
    tujhe kesay pata

  6. #16
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Salam Friends



    Friends Hamara Ek Dost Mohsin Jo Hamesha Bari Bari Baatein Karta Tha


    Itni Lambi Lambi Chorta Tha Ke Abhi Kiya Bataaoun


    Mohsin Ko Cricket Khelne Ka Bohot Shoq Tha


    Un Dino Mere Ghar Main Bhi Koyi Na Tha Aur Sub Lahore Gaye Huye Thay


    Ye Waaqiya Aaj Se 3 Saal Pehle Ka Hai


    Phir Ek Din Shaam Ko Hum Dost Snooker Club Main Baithe Huye Thay


    Ke Achanak Mohsin Aaa Gaya Aur Kehne Laga Yaar Sajid Aaj Mera


    Ayub Stadium Main Match Tha 205 Pe Out Ho Gaya Aur 20 / 20 Overz


    Thay Main Opner Hi Raha Har Bol Pe 6 Maara


    Maine Kaha Wah Yaar Teri To Baat Hi Kiya Hai Baaki Dost


    Hansne Lag Gaye Maine Unhein Chup Karaaya Ke Achanak Mohsin


    Ko Josh Char Gaya Aur Kehne Laga Aaao Snooker Main Kaun


    Muqaabla Kare Ga Snooker Club Dost Ka Tha Aur 12 Tables Pare Thay


    Maine Apne Dost Zahir Khan Jis Ka Snooker Tha Maine Kaha


    Yaar Tu Ek Table Khaali Kara Phir Maine Mohsin Ko Kaha


    Yaar Snooker Khelein Ge Lekin Ek Shart Hai Agar Main Haara To Club Main


    Jitne Bhi Dost Hain Sub Ko Burger + Cock Ok Aur Agar Tu Haara To Sub


    Doston Ko Burger + Cock Us Bchaare Ke Ye Sunte Hi Hosh Urr Gaye


    Lekin Bechaara Challange Kar Chuka Tha Aur Usay Apni Izzat Bhi


    Bachaani Thi Is Liye Ab Usay Khelna Para Maine Kaha Mohsin Tu 20


    Scorez Chance Lele Us Ne Kaha Nahin Khair Hum Khel Rahe Thay


    Maine 30 Ka Brack Maar Diya Aur Bechaara Mohsin Hahahahaha


    Shakal Dekhne Waali Thi Achanak Us Ne Mobile Nikaal Ke Kaha


    Yaar Snoocker Ke Baahir Dost Aaya Hai Mujhe Jaana Pare Ga


    Maine Kaha Tu Tension Nahin Le Tere Dost Ko Yahin Bula Lete Hain


    Maine Ek Dost Ko Baahir Bheja Aur Mohsin Ke Dost Ke Saath 8 Larke


    Aur Bhi Thay Jo Meri Salam Dua Waale Thay Maine Unhein Bhi Bata Diya


    Unhaun Ne Kaha Haan Yaar Aaj Is Ki Showbaazi Band Kara De


    Muqaabla To Khair Chal Raha Tha To Mohsin Mujhe Ishaare Kar Raha


    Hai Ke Plz Haar Jaa Lekin Maine Usay Maza Chakhaana Tha


    Is Liye Maine Usay Chance Nahin Diya Aur Aakhir Kaar Main Jeet Gaya


    To Mohsin Kehne Laga Tum Laug Baitho Main Order De Kar Aata Hoon


    Lekin Maine Apne Ek Dost Ko Keh Diya Tha Ke Mohsin Ke Naam Ka Order


    De De Ab Hum Kull Mila Kar Total 23 Dost Baithe Thay Mujhe Man Hi Man


    Hansi Bhi Aaa Rahi Thi Aur Mohsin Bechaare Par Tars Bhi


    Jub Us Ne Dekha Total 23 Dost Hain Uff ALLAH Kiya Bataaoun


    Us Ki Shakal Dekhne Waali Thi HAHAHAHAHAHAHAHAHAHA


    Mohsin To Wahan Se Chaplein Utha Kar Aise Bhaaga Ke Aaj


    Tak Kabhi Snooker Club Ka Naam Nahin Liya Lekin Sunein


    Us Ke Baad Huya Kiya Saare Burger + Cock Ka Bill Mujhe Bharna


    Para Mere Ghar Main Bhi Koyi Na Tha Jis Se Main Doobara Paise Leta


    Aur Mujhe Bhi Apna Kharcha Chalaana Tha Khair Maine


    Saare Paise De Diye Phir Us Ke Baad Meri Shakal Dekhne Waali Thi


    Dil Chah Raha Tha Mohsin Ke Ghar Jaaoun Aur Khoob Baizzat Karoon


    Lekin Bardaasht Karna Para Aur Main Khaamosh Ho Gaya


    Jis Ki 1 Maheene Ki Pocket Money Ek Din Main Khatam Ho Jaaye Us Ka


    Haal Kiya Hoga Man Hi Man Mohsin Ke Uper Gussa Bhi Bohot Aaa Raha


    Tha Lekin Kuch Kar Bhi Nahin Sakta Tha


    Us Ke Baad Mere Paas Total 300 Rupe Reh Gaye Thay


    Maine Socha Mohsin Ko Maza Chakkhana Chahiye


    Theek 3 Din Baad Main Mohsin Ke Ghar Pohoncha Byc Pe


    Aur Us Ke Ghar Ki Ghanti Bajaayi To Us Ki Ammi Ne Darwaaza Khola


    Maine Aunti Ko Salam Kiya Aur Aunti Se Kaha Aunti Plz Mohsin


    Ko Bula Dain Bohot Zaroori Kaam Hai Mohsin Soya Huya Tha


    Aur Sakht Garmi Thi Aur Mere Khayaal Se Dupehar Ke 3 Baj Rahe Thay


    Mohsin Ne Kaha Yaar Sorry Us Din Emergency Ho Gayi Thi Is Liye


    Mujhe Jaana Para Maine Mohsin Ko Kaha Us Ko Bhool Jaa


    Jaldi Aaa Match Hai 5000 Rupe Ka Us Ko To Cricket Ka Shoq Tha


    Us Ne Kaha Ruk Mujhe Paise Uthaane De Aur Moo Haath Dhone De


    Maine Kaha Us Ki Zaroorat Nahin Hai Bus Tu Chal Us Ne Bhi Ammi Ki


    Chappal Pehni Huyi Thi Us Ne Kaha Yaar Mujhe Chappal Change Karne De


    Maine Kaha Wahan Sub Kuch Hai Dair Ho Gayi Hai Bus Jaldi Chal


    Un Dino Quetta Main Byc Pe Double Sawaari Pe Pabandi Thi


    Lekin Mera Mohsin Ke Uper Gussa Bhi Tha Aakhir Kaar Police Se


    Bachte Bachaate Hum Ayub Stadium Pohonche Shayad Aap Laugon


    Ne Ayub Stadium Ka Naam Suna Ho Ek Hi To Stadium Hai Quetta Main


    Khair Hum Stadium Pohonche Maine Mohsin Ko Kaha Mohsin


    Tu Ground Main Jaa Main Byc Stande Pe Laga Ke Aata Hoon


    Us Ne Kaha Theek Hai Wahin Se Main Ghar Pohoncha Ghar Waale


    Waise Bhi Lahore Gaye Huye Thay Maine Bhi Ghar Ko Taala Lagaaya


    Aur Aunti Ke Ghar Chala Gaya Lekin Wo Mohsin Bechaara Us Ke


    Paas To Waapsi Ke Karaaya Bhi Nahin Tha Aur Paidal 1 Ghante Se Bhi


    Zyaada Ka Raasta Tha Aur Us Ne Chappal Bhi Ammi Ki Pehni Thi


    Maine Jaa Kar Saara Kissa Apne Coison Ko Bataaya Jis Ka Aap Se Zikar Kiya


    Tha Jo Mera Coison Agwa Huya Tha Shahbaz Jo ALLAH TAALA Ke


    Rehm_O_Karam Se 3 Din Pehle Hi Kher Kheriyat Se Aaa Gaya


    Us Ko Maine Saari Baat Bataayi Aur Phir Hansi Ke Baagon Main


    Aise Gum Huye Ke Pata Na Chala Ke Hamari Aankhon Main Aansoo Aaa Gaye


    Hans Hans Ke Aur Bechaara Mohsin Pe Tars Bhi Aaa Raha Tha


    Lekin Hansi Us Se Zyaada Aaa Rahi Thi


    Saare Doston Ko Maine Bata Diya Tha Ke Mohsin Ko Na Bataaye Ke Main


    Kahan Hoon Warna Aaa Kar Jo Hungama Kare Ga Phir Hamara ALLAH Hi


    MAALIK Lekin Jub Main Ek Hafte Baad Ghar Aaya To Sun Ke Ye Bohot


    Afsos Huya Doston Se Ke Mohsin Hospital Main Hai Ek Chota Sa Mazaq


    Mujhe Bohot Bhaari Par Gaya Maine Doston Se Kaha Koyi To Mujhe


    Bataata Tum Laugon Main Se Kisi Ne Bhi Bataaya Jub Main Hospital


    Pohoncha To Pata Chala Ke Mohsin Sakht Garmi Bardaasht Nahin Kar Sakta


    Aur Musalsal Paidal Chalne Se Usay Bemaari Ho Gayi ( Doctar Ne Bemaari Ka Naam )


    Pata Nahin Kiya Bataaya Tha Yaad Nahin Aaa Raha Hai ( Lekin Mujhe Apne Uper


    Afsos Ho Raha Tha Kaash Main Ye Mazaq Nahin Karta Kaash Mohsin


    Us Din Mere Saath Nahin Chalta Man Hi Man Ajeeb Ajeeb Khayaal Aaa Rahe Thay


    Ke Achanak Mohsin Ki 8 Saala Bahan Mere Paas Aayi Wo Mujhe ( Pyaare Bhaya )


    Kehti Thi . Us Ne Mujh Se Kaha ( Pyaare Bhaya ) Mohsin Bhai Ko Kiya Huya Hai


    Wo Hum Se Baat Kyun Nahin Karte Dekho Kab Se Bistar Pe Lete Huye Hain


    Us Ka Ye Kehna Tha Ke Meri Aankhein Aansoo Se Bhar Gayi


    Us Din Mujhe Uper Itna Gussa Tha Ke Dil Chah Raha Tha Jaa Kar Kahin


    Mar Jaaoun Pahaar Se Chalaang Laga Doon Aur Pata Nahin Kiya Kiya


    Lekin Ye Sub Main Kar Bhi Nahin Sakta Tha Lekin KHUDA Ka Shukar Hai


    Ke Us Waqt Mohsin Ko Hosh Aaya Main Us Ke Paas Gaya Ke Meri Aankhon


    Main Phir Aansoo Aaa Gaye Maine Mohsin Se Tah_E_Dil Se Maafi Maangi


    Aur Mohsin Ko Bhi Samjhaaya Ke Bhai Aayinda Ke Baad KHUDA Ke Liye


    Bari Baatein Mat Karna Mohsin Ne Bhi Mujh Se Vaada Kar Liya KHUDA Ka


    Laakh Laakh Shukar Tha Ke Mohsin Ab Sahi Salaamat Tha Us Waaqiye Ke


    Taqrebann 4 Din Baad Ghar Waale Aaa Gaye Aur Maine Ghar Waalon Ko


    Saara Haal Bata Diya Ghar Waale Gussa Bhi Huye Lekin Ghar Waalon Ne Kaha


    Ke Teri Ek Ghalati Ne Mohsin Ko Sudhaar Diya Us Ke Ek Hafte Baad


    Hum Laugon Ne Wo Ghar Baich Kar Doosri Jaga Par Ghar Le Liya


    Wahan Se Hamara Puraana Moholla 15 ( Mint ) Ke Raaste Par Tha


    Lekin Wahan Ab Aana Jaana Kam Ho Gaya Lekin Jub Bhi


    Us Waaqiye Ko Yaad Karta Hoon To Saare Dost Yaad Aaa Jaate Hain


    Jin Ke Saath Mera Saara Bachpan Guzra Aur Qudrat Ne Ek Pal Main


    Humein Alag Kar Diya Aana Jaana To Ab Bhi Hota Hai Lekin Bohot Kam


    Doston Maine To Is Se Ye Sabaq Seekha Hai


    Ke Insan Kare To Kiya Kare Dost Ko Agar Sabaq Seekhaana Chaahe


    To Kaun Sa Raasta Ikhtiyaar Kare


    Lekin Sub Se Acha Raasta Yehi Hai Ke Us Dost Ko Ghar Main Bula


    Kar Pyar Se Samjhaaye Ke Bari Baatein Mat Kiya Karo Sub Hanste Hain


    Tum Par Aur Tumhari Apni Bhi Baizti Hain Is Main Shayad Wo Samajh Jaaye


    Aur Bari Baatein Karna Chor De


    Doston Ab Jub Bhi Mohsin Waali Baat Yaad Aati Hai To Hansi Aaa Jaati Hai


    Lekin Jub Mohsin Ki Haalat Pe Nazar Jaati Hai To Tarap Jaata Hoon


    Is Liye Aap Sub Se Guzaarish Hai Ke Agar Aap Kisi Se Bhi Mazaq Karein


    To Soch Samajh Kar Mazaq Karein Mazaq Aisa Ho Ke Doosre Ka Dil Bhi


    Na Toote Aur Hamari Baat Bhi Reh Jaaye Na Aisa Ke Mazaq Se Dost


    Ki Jaan Pe Ban Aaye


    Ab Doston Mujh Ko Ijaazat Dijiye Aaj 14 Feb Hai Time 6 : 40 AM Ho Rahe Hain


    Mujhe Neend Aaa Rahi Hai Is Tarah Zindagi Main Bohot Hansi Mazaq


    Waale Kisse Main INSHALLAH Zindagi Rahi To Aap Sub Ke Saath Zaroor


    Share Karoon Ga


    Aur Haan Ek Baat Kisi Dost Ke Saath Sangeen Mazaq Karne Se Pehle


    100 Baar Soch Lijiye Ga


    Ab Mujhe Ijaazat Dain


    Aap Sub Ka Dost


    Silent Tears ( Sajid )

  7. #17
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    hmm tumhari post parhe ss ...waqie mazak soch samj kar karna chahye.
    bus kisi ko nuqsan na pochnhe agar mohsin ko kuch hojata tu kiya hota ?
    Allah ka sukur hai wo thek hogaya.

  8. #18
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by naz View Post
    hmm tumhari post parhe ss ...waqie mazak soch samj kar karna chahye.
    bus kisi ko nuqsan na pochnhe agar mohsin ko kuch hojata tu kiya hota ?
    Allah ka sukur hai wo thek hogaya.

    Ye To Hai Lekin Main SS Nahin Balke ST Hoon

  9. #19
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    sorry yaar same lagte hain

  10. #20
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: ***dil Ki Aik Yaad***

    Quote Originally Posted by naz View Post
    sorry yaar same lagte hain

    Lolz

    Aap Bhi Kisi Se Sangeen Mazaq Karne Se Pehle 100 Dafa Soch Lijiye Ga

    Kyun Ke Kuch Laug Kamzor Dil Ke Hote Hain Meri Tarah

    Hehehehehehe Lolz

    Duaon Main Yaad Rakhiye Ga

Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •