Woh Janti Thi Mager Phir Bhi "
Woh Janti Thi Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi
Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
Jehan Serab Si Khushyan Hain
Aur Azaab Say Ghum
Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
Woh Janti Thi
Muhabat Khiraj Mangti Hay
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho
Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay
Woh Janti Thi
Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan
Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar
Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per
Tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota
Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan
Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota
Woh Janti Thi Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi
Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi
Woh Janti Thi Magr Phir Bhi.