RAIT KA GHARR
bacpan se jawani mein qadam rakhty hi
ye sapny jhat ankhoi mein ajate hain
ye ameer gareeb q nahi dekhty?
wo larki dekho
rait se apny sapno ka ghar bana rahi hai
q poochy jo
ye rait ka ghar q bana rahi hai larki??
to wo dheery se
apny bheegy
anchal k kony ko
mun mein daba
nazrein jhuka ye kehti hai
chahta hai dil mera bhi
banayu mein b ek ghar
jo ho merry sapno se bunna
or banau mein wahan ussy zameen per
wo dheeruy se hansi phir kaha
ye mery bas mein nahi
per ye ghar toot jaye ga
kisi leher k saath beh jaye ga
phir poocha kisi ne ussy
yak tak dekhti apny rait se bany ghar ko
kaha to bas itna
ye ghar chahye rait ka hi sahi
hai to MERA
tootTa hai to toot jaye
FANNA to mughy bhi hona hai
SaniYA