Quote Originally Posted by dangerous tears View Post
Nice
boht zbrdst bilkul thek farmaya aap ne..
Mera Eik Sawal Hai k kya Namaz-e-Janazah k Baad Dua Krni chahiye k nahi
aap k answer ka wait rahe ga...!!

@ dangerous

good question..

jazakallah.

[red]

namaz e janazah bazat e khud aik dua hai jsi mein hamd hotee hai .. sana hotee hia aur ..durood shareef hota hia aur dua hotee hia ..

jinazah ki jo dua hotee hia woh mayyat ki maghfirat key liye hotee hia .

so definilty poorey alam e islaam mein aik cheez raij hai aur definilty jaiz hia

namaz e jinazah key baad bhi mayyat key liye dua e maghfirat karna jaiz hia. jitnee baar bhi du aki jaye utni baar mayyat ko faida hota hai. maghfirat ki du akarna quran e pak sey sabit hai

jahan ibraheeem alihe salam ney farmaya

" aye Allah mujhey bakhsh dey aur merey walidain ko bhi aur tamam mominoan ko us dina jab hisaab kaim hoga"

so maghfirat ki dua karna kisi wakt bhi jaiz hia. aur ain us wakt jinaza key baad jab mayyat sey sawal o jawab hota hai kabar mein utarney key baad. us wakt karney ki ziyada fazeelat hia . jesa key pichli posts mein mein ney hawal diya tha key

hazrat ans rivayat kartey hain key rasoolullah sallallahu alihe wasallam ney farmaya

qabar mein mayyat ki misaal doobney waley aur faryaad karney waley ki tarah hai . jo apney man baap behn bhai ya kisi dost ki du aka muntazir rehta hai . jab usey dua puhanchtee hai to usey dunya jahan kee har cheez sey ziyada mehboob hotee hia . beshakh ehle dunya ki dua sey Allah tala ahle kuboor ko paharoan key barabar ajar ata farmata hai. murdoan ka behtareen tuhfa unkey liye astaghfaar aur sadaka hai"


hadith e pak mein wazeh tour per farmaya gaya hai key astaghfaar .. sadaka aur dua karna amwaat key liye jaiz hia. aur aik naik aur sawab wala amal hai

Allah hamein samajhney ki toufeekue ata farmaye

ameen