View Poll Results: ~~IS THIS FORUM USEFULL~

Voters
3. You may not vote on this poll
  • YES

    3 100.00%
  • NO

    0 0%
  • PARTIALLY

    0 0%
Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 10 of 26

Thread: ~All your questions about islam~

  1. #1
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    candel ~All your questions about islam~

    To all those brothers and sisters

    who want to knw about islam or have queries about any thing related to islam kindly ask here. We all toghether would like to get it answered for you inshallah.

    MAY ALLAH BLESS US WITH THE ABILITY TO UNDERSTAND ISLAM AS PRACTICED BY HIS PROPHET SALLALLAHU ALIHE WASALLAM AND HSI COMPANIONS.


    JAZKALLAH

  2. #2
    Join Date
    Jun 2008
    Location
    qatar
    Posts
    8,235
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: ~All your questions about islam~

    muje ye poochhna hai k aksar main sunty hun khas kar ramzan main k koi quran shareef parh kar dua karte hain k mene jo bhi parha wo falan falan k naam kia jo zinda hain kia aesa sahi hai aesa ho sakta hai ????????

  3. #3
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    jazakallah for the questions

    here is the answer.

    eesal e sawab karna yani key .....apney naik amal ka sawab kisi doosrey ko puhchana jaiz hai.. aur nabi paak sallallahu alihe wasallam ney iski talkeen bhi farmayee hia

    hazrat e aisha radhiyallah anha farmati hain:
    aik shakhs nabi pak sallallahu alihe wasallam key pas aya ur bola key mere maan achanak fout ho gayee hai aur mera gumaan hai key woh zinda hotee to sadka karti. agar meinunki taraf sey sadka karoan to kia unko ajar miley ga. aap alihe salam ney farmaya han ( unko ajar miley ga)

    hazrat ans aik hadith mein riwayat kartey hian :

    nabi kareem sallallahu alihe wasallam ney farmaya:
    jab ehle khana mein sey koi fout howey rishtidaar ke liye sadka o khairaat kar ke eesaal e sawab karta hai to uskey sawab ka tuhfa jibrail alih salam aik khubsurat thal mein rakh kar us kabar waley key sarhaney ja ker paish kartey hain key terey fulan rishtedaar ney yeh bheja hai . woh usey kubool karta hai aur doosree kabar waloan ko khushkhabree sunata hai . aur uskey perosiyun mein nsey jis ko is kisam ka tuhfa nai milta woh udaas ho jatey hain . (refrence. al mojam ul awsat li tibrani. volume 7: page 260)

    isi tarah eesal e sawab key liye nafal namaz parh ker karna bhi jaiz hia.

    suna e abi daod ke volur 2 ki page 244 mein aik rivayat nakal ki jate hia .ke nabi karim sallallahu alihe wasallam ney masjid bani ishaar ka farmaya key wahan sey Allah aik shahidoan ki jamat uthaye ga key un key sath siwaye badar key shahidoan key aur koi khara nai ho ga.

    aik jamat yeh sun ker wahan janey lagee. hazrat abu huraira wahan nai ja saktey they. so unhoan ney sihaba sey bola key tum mein ney koun hai jo wahan 4 nafal parh ker yeh bol dey key yeh nafal abu huraira key liey hian. ( sunan abi daud. 2:244)

    is sey sabit hota hia key nafal ka eesal e sawab zindoan aur murdoan donoan key liey jaiz hia


    rozy ka isaal e sawab bhi sabit hai

    hazrat aisha biyan karti hain key rasool sallallahu alieh wasallam ney farmaya key jo shaksh fout ho jaye aur us per rozey baki hoan to uska wali (beta ya uska kareebee waris) uskey hissey key rozey rakhey

    tilawat ka sawal aap ney kia.:

    abdullah bin umar rivayat kartey hain key ...mein ney rasool alihe salam sey suna key jab tum mein sey koi mar jaye to usey roak na rakho balkey usey kabar ki taraf jaldi ley jao

    aur uski kabar per us key sar ki janib soora e fatiha aur paon ki janib soora e bakara ki akhri ayaat parho.

    is sey sabit howa key us tilawat ka sawab us mayyat ko puhanchta hia

    shaikh abdul hak muhaddis dehlwi farmatey hain

    key is mein ulama ka ikhtilaaf hai key tilawat ka sawab puhanchta hai key nai lekin sahi koul yeh hai key puhanchta hia




    lekin esaal e sawab karney key kuch ..tareekey hotey hian

    un mein sey jo jaiz tarikey ahin

    woh mein agli post mein bayan karoan ga

    abhi khana kha lo

    jazakallah

  4. #4
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    Lucknow, Ontario, Canada
    Posts
    2,259
    Mentioned
    8 Post(s)
    Tagged
    411 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: ~All your questions about islam~

    maiN deenii masaa'il par guftugu meN mulawwis na hone kaa iraada e musammam kiyaa thaa magar yahaN aapke jawaabaat meN ek izaafa karna chaahuuNgaa aur vo yeh hai k:

    iisaal e sawaab ke liye Khowaah koii bhii 'amal ho vo sirf marHoomeen ke liye hii jaaiz hai...zinda logoN ke liye koi 'amal nahiiN kiyaa jaa saktaa. neez yeh bhi k, Hajj-e-badal to kiyaa jaa saktaa hai magar vafaat shuda insaan ke liye uskii baqaayaa namaazeN ada nahiiN kii jaa saktiiN. mazeed az aaN, sadqa e jaariya kaa bhii sawaab murde tak pahoNchtaa hai. agar kisi ne kuwaaN [well] khodaa apnii zindagii men yaa koii masjid banvaayii yaa koi madrasa kholaa yaa kuchh bhii kiyaa jo insaanii falaaH o bahbood ke liye kiyaa ho to jo jo banda qayaamat tak usse se mustafeed hogaa uskaa bhii sawaab murde ko pahoNchega. insha Allah.

    ek Hadees shareef emN aayaa hai k...mernewaalaa sab
    se qeemtii asaasa jo chhoR jaataa hai vo uskii aulaadeN haiN jo uske Haq men marne ke ba'd du'aa-e-maGhfirat aur sadqa o Khairaat bhejtii haiN. yehi nek aur swaaleH aulaad haiN.

    Allah ham sab ko aise hii sawaab ke zaraa'ye banaaye...aameen

  5. #5
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    jazakallah

    drust farmaya

    key eesaal e sawab zindoan key liye ...mumkin nai hia

    kiun key aik banda agar fisk o fujoor mein mubtala ho aur ..kudrat key bawujood namaz o ahkam e shariat kee pabandi na karta ho

    to its just not possible key banda us key liye naik kam kar key sawab puhnchata rahey.
    laisa lil insaan e illa ma sa. insaan key liye kuch nai hai magar woh key jis key liey woh koshish karey.

    yeh ayat e kurane kareem mein farma diya gaya hia .

    so ham jo kar saktey ahin .zindoan key liey woh talkeen hai key unhian naik kam karney ka hukam dein

    yeh hukam un logoan key liye hai jo ..amal salih per kadir hain lekin us key bawujood nai kartey ..to unki naik amal ka sawab nai diya ja sakta

    lekin us key baraks aik shakhs hai jo amal e salih karna chahta hai lekin us per kadir nai hai to us naik amal ka sawab us tak puhnchaya ja sakta hia

    is ki bht simple misaal mein .....umrah sey doan ga..key ...jo key hamarey han bht raij hai key aam musalmaan wahan janey ki jo isti ta,at na rakhta ho us key liye umrah ker key eesaal e sawab karna jaiz hia


    is ziman mein ..mein ney jo riwayat zikar ki thi ...us mein ....hazrat abu huraira ney ...jin key amal key barey mein ..nabi karim sallallahu alihe wasallam ney farmaya

    key alikum bi sunnati wa sunnatil khulafae alrashideen.

    tum per lazim hai key merey aur merey sihaba ki sunnat per chalo

    so abu huraiara jo key deen ko ham sey ziada samajhtey they unhoan ney sihaba ki jamat sey bola key

    tum mein sey koun ahi jo is baat ki zamanat de key woh us khas masjid mein 4 rakat nafal parh ker yeh keh dey

    key haza li abi huraira ( yeh abu huraira key liye hai)

    is sey pata chalta hai key abu huraira us wakt wahan janey per kadir nai they. lekin un key dil mein aik khahish machal rahi thi key us jaga jsi ke fazila nabi e karim sallallahu ailihe wasallam ney bayan farmayee

    wahan ja ker ..nfal parhein..to unhoan ney request ki sihaba sey ..key woh unki jaga nafal ada kar key un key liey dua karien.....

    amal e abu huraira sey pata chalta hai key nafal namaz parh ker esaal e sawab karna jaiz amal hai



    i hope i have explained it to my lever best.

    any queries ask please.

    Allah hamein deen ko wesey samajhney ki toufikue dey jesey usey nabi kareem ney samjhaya aur sihaba ney samjha
    ameen

  6. #6
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Nice
    boht zbrdst bilkul thek farmaya aap ne..
    Mera Eik Sawal Hai k kya Namaz-e-Janazah k Baad Dua Krni chahiye k nahi
    aap k answer ka wait rahe ga...!!

  7. #7
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Europe/NWFP
    Age
    32
    Posts
    8,270
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Kiya islam mein music sunna haraam hai?

  8. #8
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Quote Originally Posted by zoya khan View Post
    Kiya islam mein music sunna haraam hai?
    Islam MAi Mosiki Sunne Jaiz nahi is se Ear Ka zina HOta HAi Aage Is K MUtaliq Aap ko Cerage Batein ge
    Last edited by DaNgErOuS tEaRs; 13-08-2008 at 11:30 PM. Reason: Spelling Mistake

  9. #9
    Join Date
    Jun 2008
    Location
    qatar
    Posts
    8,235
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: ~All your questions about islam~

    jazak allah
    boht aumda tareeke se aapne samjhaya cerage
    boht boht shukariya

  10. #10
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    @ dangerous

    thanks for your question. abhi thora busy hoan kam mein junhi wakt miley reply karta hoan

    @mufliha

    jazkillah

    Allah ma ko properly samajhney kee toufeekue dey

Page 1 of 3 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •