View Poll Results: ~~IS THIS FORUM USEFULL~

Voters
3. You may not vote on this poll
  • YES

    3 100.00%
  • NO

    0 0%
  • PARTIALLY

    0 0%
Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 11 to 20 of 26

Thread: ~All your questions about islam~

  1. #11
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Quote Originally Posted by dangerous tears View Post
    Nice
    boht zbrdst bilkul thek farmaya aap ne..
    Mera Eik Sawal Hai k kya Namaz-e-Janazah k Baad Dua Krni chahiye k nahi
    aap k answer ka wait rahe ga...!!

    @ dangerous

    good question..

    jazakallah.

    [red]

    namaz e janazah bazat e khud aik dua hai jsi mein hamd hotee hai .. sana hotee hia aur ..durood shareef hota hia aur dua hotee hia ..

    jinazah ki jo dua hotee hia woh mayyat ki maghfirat key liye hotee hia .

    so definilty poorey alam e islaam mein aik cheez raij hai aur definilty jaiz hia

    namaz e jinazah key baad bhi mayyat key liye dua e maghfirat karna jaiz hia. jitnee baar bhi du aki jaye utni baar mayyat ko faida hota hai. maghfirat ki du akarna quran e pak sey sabit hai

    jahan ibraheeem alihe salam ney farmaya

    " aye Allah mujhey bakhsh dey aur merey walidain ko bhi aur tamam mominoan ko us dina jab hisaab kaim hoga"

    so maghfirat ki dua karna kisi wakt bhi jaiz hia. aur ain us wakt jinaza key baad jab mayyat sey sawal o jawab hota hai kabar mein utarney key baad. us wakt karney ki ziyada fazeelat hia . jesa key pichli posts mein mein ney hawal diya tha key

    hazrat ans rivayat kartey hain key rasoolullah sallallahu alihe wasallam ney farmaya

    qabar mein mayyat ki misaal doobney waley aur faryaad karney waley ki tarah hai . jo apney man baap behn bhai ya kisi dost ki du aka muntazir rehta hai . jab usey dua puhanchtee hai to usey dunya jahan kee har cheez sey ziyada mehboob hotee hia . beshakh ehle dunya ki dua sey Allah tala ahle kuboor ko paharoan key barabar ajar ata farmata hai. murdoan ka behtareen tuhfa unkey liye astaghfaar aur sadaka hai"


    hadith e pak mein wazeh tour per farmaya gaya hai key astaghfaar .. sadaka aur dua karna amwaat key liye jaiz hia. aur aik naik aur sawab wala amal hai

    Allah hamein samajhney ki toufeekue ata farmaye

    ameen

  2. #12
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Bilkul Aap aram se jawab dijiye ga mjhe koi jaldi nahi or apna kaam bilkul aram se kijiye ga
    ok

    th 2flag1 - ~All your questions about islam~

  3. #13
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    hazrat jawab de diya hai


    parh len

  4. #14
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    KhI
    Posts
    2,023
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: ~All your questions about islam~

    MashAllah,mujhay bht kushi hay kay cerage nay yeh thread shru kya,
    Allah hum sab ko islam samhjne or us per amal kerne ki taufeeq ata fermaye,aamin

  5. #15
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Nice Aap ne Boht Ache Tareeke se boyan kiya.
    Thank You

    Next Qst InsahAllah Agli Post main puchun ga jb tak aap next qst ka answer dijiye.


    th HEART1 - ~All your questions about islam~

  6. #16
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    [b]

    @ mufliha

    sorry for late reply

    busy tha

    yes music aaj kal jisey ham kehtey hain us mein buht sey instruments waghera aur saaz o tarab shamil ho jatey hai n

    woh cheez islaam mein jaiz nai hai. aur is sey mana farmaya gaya hia

    qawali ki misaal di jatee hai key qawali aik roohnai silsila mein jaiz karar di gayee hai

    woh zaroor di gayee hai lekin us doar mein qawalee key sath ....insturments use nai hotey they

    mehz lahn key sath parhan aur ..sunna jaiz hai ..instruments mein bhi

    tabla allowed hai islaam mein

    kiun key tabla aisa intrument hai jis ko azaan .key raij honey sey pehley ...namaz key bulaney key liye istimaal kiya jata tha.

    tabla per hi qawali ki jatee thee pehley doar mein.

    so tabla jaiz hai. lekin aisey instruments ya aisa music

    jo insaan ko provoke karta ho woh jaiz nai hai kiun key us sey imaan kamzoar hota hai

    lekin on the other hand

    agar aap samajhtey hain key koi music aap key imaan ko damage nai karta

    balkey good music hai like islamic qawalis and naats with instruments to woh mera personla opinion hai key us mein koi haraj nai hai


    mein yeh is liye keh rah ahoan key aaj key zamaney mein music itna aaaaaaaam ho chuka hai key ......us key mukabley mein agar .....naat khani waghera ...begher music key ki jaye to woh kisi ko attract nai kartee

    aur new generation ...naats waghera per songs ko ..prefer karti hai ..isliye ..zaroori ho jata hia key naats waghere mein bhi instruments ka istimaal kiya jaye...

    zamaney key sath masail e shariyat bhi badal jateee hain.

    aaj key doar mein music ki amoomiat ko dekh ker is per ..mukammal ban nai lagay aja sakta

    har cheez usi had tak jaiz rehtee hai jab tak woh aap key imaan ko kharab na karey

    agar aap key imaan mein zara bhar fark bhi ata ho ..to .....na sirf music balkey ....har aisee cheez haram ho jatee hai jo ......imaan mein khalal andaaz ho

    woh music bhi ho sakta hai ......aap ka buisness bhi ho sakta hai ..aap ki masroofiyat bhi ho sakti hain. aur aap ke apni society bhi ho saktee hai

    i hope i have made my point clear

    may Allah give us ability to understand islam to the perfections

    ameen

  7. #17
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Naat With Intrument pe to fatwa lag chuka hai k naat k sath zikr nahi ho ga jahan tak rahi baat k aisa music jo imaan kamzoor nahi krta to aisa music aaj ke dor main hai hi nahi ye sb bakhubi jante hain...

  8. #18
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    oldham
    Posts
    121
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    17

    Default Re: ~All your questions about islam~

    [colour=red]
    yes you are right fatwa diya gaya hai us per ulama ki taraf sey

    i think mein ney clarify kiya ho ga ya nai bhi kiya to phir kar deta hoan key

    when i siad key naat waghera karna merey opinion mein wrong nai hai

    to mein ney apna personal opinion diya tha

    kiun key time ki zaroorat bhi dekhee jatee hai

    yeh aisa doar nai key islaam ki chotee chotee bareekee per bhi loag amal karein gey. so un per itni strictness karna i think ulta un ko a ur door karney walee baat hai

    naat waghera key saath music mein is liye jaiz samajhta haon key young generation usi ki waja sey naat sunti hai aur at least one reason sey to koi naikee ka kam karney ka moka milta hai unhien

    us per bhi ham pabandi laga dein to ulta unhoan ney songs sun ker apnee khahish ki taskeen karni ahi ....aur wapi smur ker nekee ki taraf kabhi ana hi nai []

    is liye mein ney guzarish kee key music key saath naat waghera sunna merey nazdik drust hai

  9. #19
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    manchester
    Age
    39
    Posts
    11,319
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    49 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default Re: ~All your questions about islam~

    ye ajeeb uljhan ho gai hai naat with music qataa'n durusat nahi hai

  10. #20
    Join Date
    Aug 2008
    Location
    ~Near to Heart~
    Age
    35
    Posts
    78,521
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    2881 Thread(s)
    Rep Power
    21474931

    Default Re: ~All your questions about islam~

    Dheko Aap ne jo opinion diya hai k music naat k sath woh ghalt hai k jaiz hai music ka mtlb hai k us main instrument use ho rahe hain jb k aap ne naatein suni hain us main instrument nahi belke zikr hota hai lakin phir bhi us pe pabandi laga di hai q is liye k jb Allah Allah bol rahe hote hain to sahi lafz wazah nahi hota or ye khena drust nahi k naujawan music ki waja se naatein suntein hai to phir music or naat mai kya farq rah gaya sirf shairi ka nahi dost aisa nahi hai islam jitna naram hai utna sakht bhi hai pabandi jo lagate hain woh hum se kahin ziada jante hain bewaja nahi lagate ok..........

Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •