salaam dosto,
maiN aaj is laRii meN un moHaavaraat aur zarb-ul-imsaal ba-ma'nii kaa indiraaj karuuNgaa insha Allah jo ab zad-e-zabaan-e-'aam nahiiN rahe yaa jo taqreeban matrook ho chuke haiN. ummeed hai aap in moHaavaraat ko jaan kar maHzooz hoNge aur shaayad aap ise jilaa kar zindagii-e-saanii o jaavidaanii 'ataa kar sakeN.
_______Hashmat
1. aab aab kar mar gaye, sarhaane dharaa rahaa paanii:
maadrii zabaan par duusrii zabaan ko tarjeeH dene kii KHaraabii [is maraz ke shikaar ham Hind o Pak ke rahne-waale haiN!]
2. aab aamad, taimum barKhaast:
asl cheez aane ke ba'd mutaabaadil cheez kii zaroorat nahiiN rahtii jaise paanii milne ke ba'd taimum kii ijaazat nahiiN
3. aab chuuN az sar guzasht cheh yak neza cheh yak dast:
jab paanii sar se ooNchaa ho gayaa ya'nii musiibat yaa bad-naamii jab Had se guzar jaaye to uskaa aHsaas Khatm ho jaataa hai
4. aab-e-Khijlat yaa aab-e-Khijaalat
vo paseena jo sharm se aaye
5. aa bay soNTay terii baarii, kaan chhoR kanpaTii maarii
kisii kaam meN naa kaam rah kar aaKhirii tadbeer karnaa
6. aab bay lauNDe, jaa bay lauNDe karnaa
phirnaa phiraanaa...dauRaanaa...heraa pherii karnaa...waqt guzaarnaa
7. aa paRosan mujh sii ho
apne saath duusroN ko bhii barbaad karnaa
aaj ke liye itnaa hii kaafii hai...baaqii kal insha Allah
aap log chaaheN to in moHaavaraat/zarb-ul-imsaal ko apne jumloN meN must'amil kar ke yahaN chaspaaN kareN to dil-chaspii baRhegii, insha Allah