salam dosto,
maiN ne hii kia aap meN se bahot se aHbaab ne yeh Ghaur farmaayaa hogaa k kam o besh urdu ke har taKhtii-e-paiGhaamaat [messageboards] par kam o besh har koii urdu/faarsii/arabii/angrezii/Hindi alfaaz ke saHeeH talaffuz se ruKhsat lete huye nazar aate haiN. yeh laGhzish kabhii sahvan to kabhii adam-'ilmii ke baa'is sarzad hotii hai. kabhi kabhii kia aksar o beshtar dekhaa gayaa hai k hamaare naye sho'araa apnii shaa'irii meN talaffuz kii Ghalatii ke sabab baHr aur qawaafii meN jhaTkaa khaa jaate haiN.
is laRii meN ham chaaheNge k aap un alfaaz kaa saHeeH talaffuz poochheN jis meN aapko iHtimaal ho k uskii talaffuz kii seHat mashkook hai. shukria. ham men se koii bhii madad ke liye aage baRh saktaa hai agar use saHeeH talaffuz kaa 'ilm ho. shukria.
_______Hashmat