Khizaaon ki udasi hai jo ab tak dil pe chayee hai
Baharon ka haseen mosam kahin say sath lana tum
Yeh mana aur bhi tum ko jahan main hain bohat say ghum
Magar duniya k melon main humay mat bhool jana tum
Meray ashaar hain jitney, tumharay naam karta hun
Ghazal meri suno jab bhi ghazal main doob jana tum
Agar tum say kabhi koi meray baray main poochay to
Faqat itni si khuwahish hai, mujhe apna batana tum
Koi jab alwidayee mosamon ka zikr chairay to
Nami ankhon main mat rakhna, hamesha muskurana tum
Udaasi
Tum Usay Kehna
Hawa Kay Haath Mein
Kuch Bhi Nahi Hai
Aur Sadaa veeran Phirti Hai
Khalaa Jo Zaat Ki
Har Chaar Dewari Kay Ander Hai
Kabhi Bhi Khul Kay Roo Paya Nahi Hai
Tum Usay Kehna
Tera Bichra Hoa
Ujray Huye Shehro’n Mein
Akser Bhagta Phirta Hai
Akser Jagta Phirta Hai
Soo Paya Nahi Hai
Aur…. Udaasi
Usay Kehna
Tumhi Dukh Mein Nahi Ho
Hum Bhi Apni Raakh
Haatho Mein Liye
Aur Siskiyaa Leti Hui
Tanhaiyon Kay Baal Kholay
Bain Kertay Hain
Udasi Tum Usay Kehna
Tumhi Dukh Mein Nahi Tanha
Yaha Per Bhi Hawa ke
Haath Mein Kuch Nahi Hai
Khalaa Jo Zaat Ki
Har Chaar Deewari Kay Ander Hai
Kabhi Bhi Bhar Na Paye Ga
Yaha Bhi
Har Sadaa Weeran Phirti Hai
Yaha Bhi
Chahnay Walo Ka Nadeeda Khuda
Judai Kay Kisi Ban Mein
Bhatakta Phir Raha Hai
تھکا گیا ہے مسلسل سفر اداسی کا
اور اب بھی ہے میرے شانے پہ سر اداسی کا
وہ کون کیمیا گر تھا کہ جو بکھیر گیا
تیرے گلاب سے چہرے پہ زر اداسی کا
میرے وجود کے خلوت کدے میں کوئی نہ تھا
جو رکھ گیا ہے دیا طاق پر اداسی کا
میں تجھ سے کیسے کہوں یار مہربان میرے
کہ تو علاج نہیں میری ہر اداسی کا
یہ اب جو آگ کا دریا مرے وجود میں ہے
یہی تو پہلے پہل تھا شرر اداسی کا
نہ جانے آج کہاں کھو گیا ستارہِ شام
وہ میرا دوست میرا ہمسفر اداسی کا
فراز دیدہ پر آب میں نہ ڈھونڈ اسے
کہ دل کی تہہ میں کہیں ہے گہر اداسی کا
روز و شب کے میلے میں
غÙلتوں Ú©Û’ مارے ÛÙ…
بس ÛŒÛÛŒ سمجھتے Ûیں
ÛÙ… Ù†Û’ جس Ú©Ùˆ دÙنایا
بس اسی کو مرنا تھا
HAMA WAKT RNJO MALAL KYA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
USAY YADD KER K NA DIL DUKHA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
NA GILA KIYA NA KHAFA HOY YOUNHE RASTY MEI JUDA HOY
NA TU BEWFA NA MEIN BEWAFA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
WO GHAZAL KI AIK KITAB THA WO GULON MEIN AIK GULAB THA
ZARA DER KA KOI KHAWAB THA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
WO UDDAS DHOUP SAMEET KR KAHEN WADION MEIN UTER CHUKA
USY AB NA DY MERY DIL SADA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
YE SAFAR B KITNA TAWEEL HY YAHAN WAKT KITNA KALEEL HY
KAHAN LOT KAR KOI AY GA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
MUJHY PAT JHARON KI KANIYA NA SUNA SUNA K UDAS KAR
TU KHIZAN KA PHOOL HY MUSKURA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
WO WAFAIN THE K JAFAIN THE YE NA SOCH KIS KI KHATAIN THE
WO TERA HY USKO GLAY LAGA JO GUZERGYA SO GUZER GYA
TUJHY ITBARO YAKEEN NAHI NAHI DUNYA ITNE BURI NAHI
NA MALAL KAR MERY SATH AA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
shm
Udas ruut, intizar mausam
Hawa ki yakh basta ahato'n se parey
Khamoshi ki zard chaddar badan par orhay
Khazan raseedashajar ki tehni pe jhoolta chand keh rha hai
K so bhi jao!
K So bhi jao udas logo!
Wo anjuman jis ki jhilmilati tamam shamein
Tamam ratein
Tamam batein
Kabhi tumhari mohabato'n se bhare zamano ki turjuman thee
Kabhi tumhare tamam lamhon pe meharban thee
Wo anjuman ab tumhari sochon se door
Khawabon ki dastakon se parey sajey gi
Wahan ye naubat nahi bajey gi
Kabhi tumhare badan ki khushboo se khelti thi Jo raat rani
Wo hijr k adh khuley dareechay mein hanptey hoe
Akhri sans le rhi hai
Udas logo!
Ujjar ankhon k aine tor do k in mein
Na koi aks nigar e hasti
Na koi basti he bsa sako ge
Bas ik matae e hayat baki hai ab jise tum
Gawa sako ge
To is se pehle k sans ki dorrii toot jaye
Hawa ki hatheli se
Khushbuon ka har aik rishta he toot jaye
Kiran kawaron ko band kur k
Ujjar khawabon ki rehguzar ka ghubar ankhon mein bhar k
Har su hawa k hathon bikhar bikhar k
Khud apne andar k dukh ki mitti mein kho bhi jao!
Hawa ye kehti hai so bhi jao
Udas ruut
Intizar mausam
Kabhi kisi k na ho sakein ge
Udas logo!
Chand k saath meri baat na thi pehli si
Raat aati thi mager raat na thi pehli si
Hum teri yaad se kal shab bhi miley thay laikin
Yeh mulaqat mulaqat na thi pehli si
Abb k kuch aur tarah ki thi udaasi inn mein
Chand taaro'on ki yeh baat na thi pehli si
Ishq ne pal mein badal di meri saari duniya
Main ne daikha k meri zaat na thi pehli si
~ Parveen Shakir ~
Thaki Thaki Si Aas Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Koi To Dard Ras Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy Nidhal
Yon Hoy K Sab Zaruratain Hee Marr Gai
Na Bhook Hy, Na Pyas Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Ajeeb Tarah K Waswason Main Girr Gai Hy Zindagi
Umeed Hy Na Aas Hy , Yeh Dil Baht Udaas Hy
Yeh Tu Hy Ya Lutta Putta Hoa Koi Khayal Hy
Koi To Aas Pass Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Har Aik Ko Pakar Pakar K Poochtay Rahy
Kahan Wo Gham Shnash Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Kabi Kabi To Sochtay Hain, Bass Yahi Kehtay Chalain
Yeh Dil Baht Udaas Hy, Yeh Dil Baht Udaas Hy
Last edited by Zindagi; 12-12-2010 at 02:04 AM.