Udaasi Ka Kinara Abhi
Kaha Tak Sath Chalta Hai
Jahan Tak Umar Jati Hai
Wahan Tak Sath Chalta Hai
Yeh Shayad Ishq He Hai Jo
Ziyah Tak Sath Chalta Hai...!!!
Farhat Abbas Shah
Hi .......
Friends.........
Is Month Kay Comp Kay Sath Hazir Hon
Is Month App Ko Word
****Udass(Udassi)****
sirf aik shair mat share kijeye ga
nazm ya ghazal ho...
shair count nahi hoga.
Pay Poetry Share Karni Hay
App Sub Ki Sharing Ka Intizar Rahay Ga
**Rules**
1-Ek member ek hi Poetry share kar sakta hai
2-Edit ki hoi post accept nahi ki jayegi
3-Poetry share karne ki last date 21 Dec hay.
4. Aik jaise sharing allowed nahi hia.
Udaasi Ka Kinara Abhi
Kaha Tak Sath Chalta Hai
Jahan Tak Umar Jati Hai
Wahan Tak Sath Chalta Hai
Yeh Shayad Ishq He Hai Jo
Ziyah Tak Sath Chalta Hai...!!!
Farhat Abbas Shah
Sham ki khamoshi mieN
Jab diya Udaasi ka ..
Hum'klaam hota hai ..
Koi Zard'gooN pata ..
Shaakh ki Bulandii se ..
laR'khaRa k girta hai ..
Shaam k Andherey mieN ..
Koi Maangney Wala ..
Jab Sdaa Lagata hai ..
Koi Jab Ghareebi mieN ..
beTiyooN ka Mustaqbil ..
dekh kar larazta hai ..
Koi Bey'Nwaa BeTa ..
Ehl-e-Zar k BeyTooN ko ..
Bey'kassi se takta hai ..
Koi Paalshee laRka ..
Baabu'yooN k BooT'TooN par ..
Bursh Jab ragaRta hai ..
dard Jaag uThta hai ..
Ik Mareez-e-Bey'Waaris ..
Bey'Bassi k Aalam mieN ..
eRiyaaN ragaRta hai ..
door deyss ka raahii ..
Jab Safar k Aalam mieN ..
Iss jahaaN se Jata hai . .
Koi Sheyr Jiss Lamhey ..
Shaakh-e-chashm par Puk kr ..
Masl-e-Ashk girta hai ..
dard Ik Samandar hai ..
dil ka chaand reh reh kar ..
Iss mieN Doob Jata hai ..
dard Jaag uThta hai ..
sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
k hay mazeed udasi dawa udasi ki
amoor-e-dil mein kisi tesry ka dakhal nahi
yahan faqat teri chalti hy ya udasi ki
bahut sharer tha main aur hansta phirta tha
phir ek faqeer ne de di dua udasi ki
chiragh-e-dil ko zara ehtiat se rakhna
k aaj raat chaly gi hawa udasi ki
bahut dinon se mulaqat hi nahi MOHSIN
kahein se khair khabar le k aa udasi ki...!!!
ai dil-e-raayegaaN udaas udaas
phir rahe ho kahaaN udaas udaas
chaaNd ek umr se safar meN hai
aasmaaN aasmaaN udaas udaas
jab bhii dekhaa hai jhaaNk kar dil meN
ho gayaa sab jahaaN udaas udaas
zindagii khel hai udaasii kaa
ham yahaaN, tum vahaaN udaas udaas
kyaa udaasii sivaa nahiiN kuch bhii
ai mere laa-makaaN udaas udaas
raat phir kyuuN jaagte ho aaKhir
is tarah merii jaaN udaas udaas
ek taraf Gham haiN ek taraf KhushiyaaN
aur maiN darmiyaaN udaas udaas
Udas Larki
jo ban pary tou...
ye khud sy kehna kabhi tou Janan!
k tum ko ati hai yad ab bhi
wo ek sundar udas larki
wo khoe khoe si ankho wali
wo uljhi uljhi si socho wali
wo jhoti muskaan ko laboo per sajany wali
wo bat by bat roth kr man jany wali
satany wali.......manany wali
wo ek sundar udas larki!!!!!!!!
"Kis le'ay ab udas bethi ho"
Jab wo ik shakhs dastras mein tha
us say milna tumharay bus mein tha
us ki aankhain tumhari aankhain thin
us ki baatain tumhari baatain thin
us ka chehra tumhara chehra tha
us k dil per tumhara pehra tha
us ki her sans mein basi thin tum
us k her lafz mein khili thin tum
us k sapnoon mein bhi rachi thin tum
us ki neendoon mein jagti thin tum
wo jo kehta tha bay-qarari hai
meri sari wafa tumhari hai
sirf tum say mujhay muhabbat hai
sirf tum say meri haqiqat hai
kitni baatain mein keh naheen sakta
door tum say mein reh naheen sakta
tab tum us k her aik jumlay ko
tab tum us k her aik jazbay ko
ik hansi mein urraya karti thin
sun k tum bhool jaya kerti thin
us ki aankhoon dekhti jab wo
bay-niyazi k dard sehta tha
bhool jana tumhari a'adat thi
phir bhi kitna malol rehta tha
apni tanha'i k galay lag ker
sary aansoo wo ro gaya ik din
aik pathar say dil lagi ker k
khud bhi pathar ka ho gaya ik din
ab wo tum say tou kuchh naheen kehta
bay-nayazi k dukh naheen sehta
us ki aankhain abus ki aankhain hain
us ki baatain ab us ki baatain hain
bhool gana tumhari a'adat hai
us ki baatoon ko bhool jaoo na!!
ab wo ik shakhs dastras mein naheen
us say milna tumharay bus mein naheen
kis leay ab udas bethi ho?
(Atif Saeed)
killer uncle ap ki sharing tanhai se match hai samee:soch: