Walaikum Asalam
kya zaroori hai k sard mosam ka zikr aye bas december kafi hai na:soch:
Assalam-o-Alaikum
kya haal hain sab ke?
Poet club ki comp ke saath mein hazir hoon
Sardiyaan agayi hain razayiaan wagera bahar agayi hain..mausam mein kuch udaasi si ghulti mehsoos hoti hai pata nahiin kyun..shayad sard hawayein jazbaat ko bhi barf kar deti hain..kuch samajh nahiin ati apni dil ki kaifiat bhi..aise mein shayri ka sahara liya jata hai..
Bilkul iS baar apne ''December aur sard mausam'' ke hawale se ''Nazam'' likhni hai..
Rules:
Poetry apki apni likhi hui honi chahiye
otherwise entry cancel kar di jaye gi
last date of submit is 21s dec 2010
Aap sirf nazam hi likh sakte hain
ghazal or shair allowed nahiin hain
all the best !
reGardS:Mishaal
Walaikum Asalam
kya zaroori hai k sard mosam ka zikr aye bas december kafi hai na:soch:
nice competitioN:Rosee:
waalikum salam
boht acha topic hai
mai koshish kron gi
hmm ok
"DECEMBER AB BHI TANHA HAI"
December Kal Bhi Tanha Tha
December Ab Bhi Tanha Hai
Tumharey Bin Merey Humdum
Har ek Lamha Adhora HaI
Ye Thandey Din...
Haseen Raaten...
December Ki Ye Barsatain
Sabhi Tumko Pukarey hain
Kahan ho Tum ..?? Suno Jana
K Ab K Lout Aao na...
Bohat Hum Reh Liye Tanha
Tumhari yaad ka Mousam
December Main Satata Hai
Hawain Chair Jati Hain
Hamara Dil Jalati Hain
Ajab si ye Udasi Hai
Ajab sa Ye December Hai
Ajab si Hai Meri Hasti
Ajab sa Ab k Manzar Hai
Tumhey itna he Likhna Hai
Faqat itna he Kehna Hai
December Ab Bhi Tanha Hai
"December Ab Bhi Tanha Hai"
zabardast Naz Appo n ruba bht khoobsurat likha hai:Rose:
achi sahrings hain...
I'll also try 2 share my post.....