aamen jnaab
such a nice sharring
Kuch lamhay NOVEMBER k
Hum ne youn guzaray hain
Mosam uski yadon k
Tasveer may utaray hain
Kapkapatay honton se
Dagmagati dharkan se
Hum ne apnay KHALIQ se
Bus dua ye mangi hay
Ab k bar sawan main
Jb b badal utrain to
Bus yehi tamana hay
Nafraton ki barish may
Dushmanon ki sazish may
Bus isi guzarish may
Zindagi ko jeenay ka
Ikhtiyar mil jaye
Aye meray KHUDA sb ko
Apna pyar mil jaye.
(Ameen)
Kyon Her Koi Chhor Jata Hay Tnha MujhkoMay Mazboot To Bohat Hoon Magar Pathar To Nahi
aamen jnaab
such a nice sharring
I am fine , it only hurts when i breathe
ameen
very nice sharing
thnx 4 it
Tujhey bhulaa diyaaa
Phir kyun teri yaadoun ney
Mujhey rula diyaa
nyc
Ù†Û Ø¬Ø§Ù†Û’ ÛÙ… Ú©Ûاں Ú¯Ù… ÛÙˆ Ú†Ú©Û’ Ûیں ....
جو ممکن ÛÙˆ -- تو ÛÙ… Ú©Ùˆ ڈهونڈ لاٶ ...
Thank u all friends
Kyon Her Koi Chhor Jata Hay Tnha MujhkoMay Mazboot To Bohat Hoon Magar Pathar To Nahi
achi sharing hay..lekin shyed poet bhol gae..agla mahina December ka hay.. isme shyed duaen poori nahi hoti..
Adab ki zaban men ager adbi words use karen to un ka apna alag hi rang hota hey,Kuch lamhay NOVEMBER k
Hum ne youn guzaray hain
Mosam uski yadon k
Tasveer may utaray hain
In sheron men November adbi word nhi hey, Kuch lamhon se murrad hey keh baaqi waqt u ne duneya dari men guzara hey, so u ki feelings strong nhi hen, ager u serdion ka pora mosam us ki yaad men guzarte to feelings bohat strongs hona thi,
Mosam us ki yadon ke mean keh ub u is ke sath nhi ho wo u se alag ho chuki hey, so ager mosam ki jagah Lamhe Beti yadon ke use hota to behter tha,
hahahaha sorry yaar me kuch zeyada hi bol giya,
Oh me ko kia pata tha keh me ke peeche aap hen, Nhi to me very nice sharing ker ke bhaag jata,yeh inho ne nahi likhi jo ap itna zaida bol gaye
or agar November Admi word nahi hai
tu December or September b adbi word nai hongia
in per b poetry likhi gaye hia or Dec per tu beshumar poetry hia..
me detail me nhi jaonga just itta hi kahonga keh jis qabeele se me belong kerta hon wahan hum mosmon ka ziker kerte hen, English month ka use nhi kerte.
Aap chahen to use karen, Aap ki apni pasand hey, mager jub me kisi ko samjhoanga to jo me ne study kiya us ke mutabiq hi samjhaonga na,
Aap bhi theek ur me bhi theek,
Thanks
sub tu phele tu yeh ke meri zimedari hia ke kuan kiya comments derhaa hai main dekhon...main sirf ap ko nahi dekh rahe sub ko dekh rahe hon jo mere Admin ke faraiz main shamil hia..
aik taraf ap kehrahe hian ke Detail main nahi jaye gai or aik taraf kafi lamba bhasan b diya hai...ap jis b qabley se belong karte hon...leken app ne shayd Urdu poetry parhi nahi hia ....beshumar barey barey SHair Hazrat ne apni poetry main english words use kiye hian tu zarorat jaha hti hai waha yeh chez use hoti hia..kisi ne fard-e-jurm aid tu nahi ki hue ke use he nahi hosakt...ap ne agar sahi tarah study kiya hota tu ap is masle ko issue he nahi banatey...December ki poetry ke bare mian app ka kiya khayal hai ?