"Kis le'ay ab udas bethi ho"
Jab wo ik shakhs dastras mein tha
us say milna tumharay bus mein tha
us ki aankhain tumhari aankhain thin
us ki baatain tumhari baatain thin
us ka chehra tumhara chehra tha
us k dil per tumhara pehra tha
us ki her sans mein basi thin tum
us k her lafz mein khili thin tum
us k sapnoon mein bhi rachi thin tum
us ki neendoon mein jagti thin tum
wo jo kehta tha bay-qarari hai
meri sari wafa tumhari hai
sirf tum say mujhay muhabbat hai
sirf tum say meri haqiqat hai
kitni baatain mein keh naheen sakta
door tum say mein reh naheen sakta
tab tum us k her aik jumlay ko
tab tum us k her aik jazbay ko
ik hansi mein urraya karti thin
sun k tum bhool jaya kerti thin
us ki aankhoon dekhti jab wo
bay-niyazi k dard sehta tha
bhool jana tumhari a'adat thi
phir bhi kitna malol rehta tha
apni tanha'i k galay lag ker
sary aansoo wo ro gaya ik din
aik pathar say dil lagi ker k
khud bhi pathar ka ho gaya ik din
ab wo tum say tou kuchh naheen kehta
bay-nayazi k dukh naheen sehta
us ki aankhain abus ki aankhain hain
us ki baatain ab us ki baatain hain
bhool gana tumhari a'adat hai
us ki baatoon ko bhool jaoo na!!
ab wo ik shakhs dastras mein naheen
us say milna tumharay bus mein naheen
kis leay ab udas bethi ho?
(Atif Saeed)