v.nice sharing sheem thank u
Last edited by Arslan; 07-08-2012 at 01:18 AM.
v.nice sharing sheem thank u
Yahi Dastoor-E-ulfat Hai,Nammi Ankhon,
Mein Le Kar Bhi,
Sabhi Se Kehna Parta Hai,K Mera Haal,
Behter Hai...!!
baat tu sach hia...
Very true .. Aur LAdies ..isme ziada involve hain.. to be honest mai yaha men women ki so old aur boring larai create nahi karna chahta..but its Fact.. Poore Pakistan ki Ladies.. chahe larkiyan hon ya aunty.. Startplus ke wo intehaai ghatya aur rubber band drame dekhti hain aur sach kahun to mujhe hairat hoti hay k mukhtalif forums par Discuss tak hota hay k aage kia hoga... ye soche bina ke already recorded hay...guess lagane se badal nahi jaega.. . common sense zara b use karen to samjh ajata hy ke ye soaps..sirf indian culture ki promotion ka easiest way hain.. jaha mai teach karta hun, waha maine apne student ko (9 years) ye kehte suna " ammi rasooi me ja kar mera sancvich ready kredei,mera kam hogea"
of course ammi sara din hindi "parhaengi" soaps dekhte hoe to yei khaega har bacha.. khir.
on a serious note.. and practically..Ekta kapoor ne apna wada poora kardia.. aur Ham apne Allah se kiy wadon ko bhool gaye...
very nice sharing :Rosee:
bilkul sahii baat hai ye:
Ik Muhabbat ko amar karna tha.....
to ye socha k ..... ab bichar jaye..!!!!
bilkul theek kaha
Allah hamain hidayat dey...aur hamaray dilo'n ko palat dey...Aameen
nice sharing sheem...
Sach Hai, Baja Hai ,Mujhsey Shikayat Janab KiSeh Seh K Mainey Zulm,Hai Adat Kharab Ki
mein sare se indian programs wagera dekhti hi nahiin..
aur yeh jo big boss dekhna shru kia tu woh bhi ary se aaraha tha magar us mein bhi kuch khaas nahiin..
sahi maani mein mein kahon ke indian serials dekhne se qoum kharaab ho rahi hai.. pabandi lag jani chahiye in per
Alhamdullilah
Islamabad mei tou Indian Drama channels ban ho chukay hain. But I think the damage has already been done.Abb Pakistani dramas mei bhi wohi kuch hai bas mandir ki ghanti ki kammi hai
hmmm mein karachi n lahore aur deger ki bata kar rahi hon jahan chori chupe bhi chal rahe hain ..
and yeah..mera nahiin khayaal ke pakistani channels ab kuch aisa dikha rahe hon..
bcoz ary digital geo tv aur hum tv dekhein hain maine wahan ab novels per stories ban rahi hain jo saaf suthri hain..
soup ka dour ahista ahista khatam ho raha hai aur fashion type dramey bhi bannay kam ho gaye hain in 3 channels ke barey mein tu mein yahi kahongi..baqi channels kya kar rahe hain mujhe nahiin pata..
but im sure Pakistani seriously jald mayaar ki taraf ajaye ge aur saaf suthri indian touch se paak serials hi miley gi..
Alhamdullilah
haqeeqat tu ye hai k ab se kuchh arsa pehle main bhi bohat shauq se ye saray fazool tareen dramas dekhti thi aor main ne bohat si aisi ladies dekhi hain jo in mai interest leti hain but this is all temporary, kuchh din baad in Baseless and Meaningless channels se dill bhar jata hai.....Qalb-e-Muslim hai tu insaaan ka he na, behekta tu zrur hai laikin is se itni mayusi achhi nahi.Kalma Goi mai barri taqat hai....laakhon ekta paida hon gi aor aisi qasmen kha kar mar jaain gi.......ISLAM AND MUSLIMS ARE FOREVER INSHALLAH.....\
aisi he aik qasam sonia gandhi jee ne bhi khai thi k hum Pakistan par Cultural attack karen gay, aor Qudrat dekhiye aaj unhi ka beta rahul gandhi kehta hai k hindu inteha pasand Muslims shiddat pasandon se kahin ziada dangerous hain.........Sach aik na aik din sab pe khulta hai.
Thanks Sheem for giving a chance to write all dis but haqeeqat hai k star plus k maddahon ki aik Barrrrriiiiiiii tedaad Jahil, un parrh auraton par mushtamil hai, including Cleaning Ladies, whose biggest entertainment after a cruel tiring day is the imaginary world of parwati and tulsi........
Best Regards.