Results 1 to 4 of 4

Thread: Mera Naam Hai Mohbbat

  1. #1
    *resham*'s Avatar
    *resham* is offline بابا کی گڑیا
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Mera Naam Hai Mohbbat

    Mera Naam Hai Mohbbat


    barha jab chaandni raat ki shab main mai chandni libas phen ker tera intezar sitaron ki mehfil main mohbbat ka chirag jala ker rahi thi tu chand mujh per muskora ker khaney laga main kitni mudat se tujhy dekh raha ho tu bite howe lamhon ki fizaaon main adna si yaad leker abhi tak uska intezaar ker rahi hai kuch tu khyal ker apna eak mudat hogayi tu unhi chandni libas main saj sawar k bina shikwa aur shikyat kiye kiyn uska intezar kerti hai? zara si bhi shikanj nahi ayi tere charey per zara si bhi thakan nahi howi teri justojo ko zara sa bhi sukoon nahi mila tere wojood ko fir bhi tu kis mitti ki bnai hai ?
    Sadion se Mohbbat shazishon ka shikar bani hai sadion se log ese kuchlatey aye hai kabhi samaj ne tu kabhi dunya walon ne do pyaar kerney walon ko kabhi milney nahi diye kabhi ese manzil na mili ye ruswa thi aur rahey gi tu kis daor ki mohbbat hai ajke daour main aas lagyi bethi hai aajke daour main ye mohbbat eak khail hai freb hai dhoka hai aaj mohbbat libas ki tarh badlty hai aaj na koi laila milegi aur na hi koi majnu milega tu bhool ja use aur jee le apni zindaghi ye waqat ger guzer gaya tu tujhy koun apnaiga? abhi bhi waqat hai tu use bhool ja tu her chandni raat main es tarh na khood ko jala teri ankh k shoulon main jo surkhiyan hai intezaar ki es shmma e wafa ko bujha dey tu kab tak jalaigi es shamma ko bhool ja use ab bas ker mainthak chuka ho tere saath uski raah takty takty ab wo nahi ayega main ne chand ki aour tanz se muskorya aur kaha

    Aye Chand zara Safa-e-ziist ko palt ker tu dekho tumhey yaad yaega jab ham esi chandni shab main miley thy tu wo tum hi hona jo badlon se nikla ker hamrey pyaar ko raoushan kerty thy aur ham esi chandni raat k ahed wafa main do baat kerlety thy wo wada kerty thy k jab tak meri rooh main akhri saans bhi baqi rahegi ham eak dosrey ka intezar kareygey aur wade ki shaadat tum khood diya kerty thy aye chand hamrey pyaar ko teri panah mili hai barish ki dhimi bondon main do qadam jab ham saat saath chalty tu tum bhi hamarey hamrah chalta tha ab tu mujh se waqalat na kar mohbbat ki bas eak bar zara mere dil se pocho k kaya cheez hai ye mohbbat?

    Meri rooh main basai thy jo main ne pyaar k do pal bas uski naam apni zindaghi kerdi wo aaye ya na aaye meri rooh ko uska intezaar sukoon deta hai main usky hijer ki raaton main kab akeli thi wo chand banker mere saath hota hai kabhi mere es dard se tu na u muqabla ker main suraj ki raoushni ko cheer ker nikal jaongi mera farz hai mohbbat meri taqat meri himmat hai mohbbat meri shidat ko tu na azma mere paas ab bhi kuch yaadein hai kuch lamhein hai kuch ahed e wafa hai kuch lafz e dua hai mana k wo mujh se juda raha hai per wo mujh main hi kahi chopa hai zamaney bher k dukhon ko siney se laga ker main jee longi main waqat ki karwi azmayish main bhi muskora longi main ne us do pal k liye apne mehboob ka kitni shidat se intezar kiya jis chandni libas main wo mushtaak hota tha mere didar k liye main aaj bhi usi libas main bethi ho umer meri yadoon ki bhut lambi hai kaya howa safedi mere resham balon main agyi hai teri baton ka jawab dety dety per main ne haar na mani main sachi mohbbat ho mujhye phechaan ab tujhey yehi jawab dengi aye chaand bhaley kiteny zakham ho dard ho meri panaah main mere hont kabhi uff bhi na karegye bhaley hi kitni hi Tuhmaatein ho mere naam mager aaj bhi Ishq e haqeeqi meri rangon main mileyga bhaley hi fasley kiyn na ho hamarey dermiyan main mager tum hamesha use mere paas paongey main anmol jazba ho main pakeeza mohbbat ho eak khushbo ki tarh meri mahek bikher jati hai her soo main jal sakti ho main sulag sakti ho main qurbaan bhi ho sakti ho mager main mar nahi sakti mere saath honey waley zulm aur mujh se nafrat kerney waley log bhaley aur hojai mager ye mere wojood ko kabhi reza reza na ker paigey bhaley mere khilaaf ye dunya ye samaj ye deen ye islaam hojai main paak daman ho khuda ye janta hai meri paak rooh main basti hai Mohbbat eak dua banker meri masoomiyat k sajdey tu bhi kerta hai chand main kayi pakiza rishton main milti ho main her qismon main basti ho tujhye main dunya ki] bhi tujhy main ALLAH aur NABI SAW ki aur maa ki surat main bhi milti ho Mera Naam Hai Mohbbat meri koi inteha nahi main la inteha ho mujhey phechaan longey mujhy jab jaan longey tu es sachi mohbbat se yehi muskora ker tum kahongey es se ab kuch na pocho aye sitaraon zara tum bhi soon lo Eska naam hai mohbbat! ....

    meri qaalm bhi yehi kehti hai Muhabbat ek aesa jazba hai kay jis per bohot kuch tum likhty jaonge mager alfaaz khtam na hongey ye la inteha shaye hai ye Ishq-e-majazi hai Eshq Haqeeqi bhi hai jo hamesha rehga jab bhi tum dil ki kitaab ka Safha kholngey her waqr Waqr per likha honga Mera Naam Hai Mohbbat!
    ....

  2. #2
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Mideast
    Posts
    6,040
    Mentioned
    246 Post(s)
    Tagged
    5075 Thread(s)
    Rep Power
    18

    Default

    Awesome

  3. #3
    Join Date
    Aug 2017
    Location
    islamabad
    Age
    26
    Posts
    272
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    1123 Thread(s)
    Rep Power
    8

    Default Re: Mera Naam Hai Mohbbat

    thanks for sharing its lovely and really helpful really nice your all poetry sections are awesome

  4. #4
    Join Date
    Jan 2023
    Location
    Saudi Arabia
    Posts
    565
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    3

    Default Re: Mera Naam Hai Mohbbat

    Nice depiction

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •