Kaisa maftooh sa manzar hai kai sadion say
meray qadmon pe mera sar hai kai sadion say

khof rehta hai k sailaab na lay jaye kahee'n
mere palko'n pe tera ghar hai kai sadio'n say

uss kay pani mein bhi pehlay sa woh thehrao nahi
ye jo bechain samander hai kai sadio'n say

ashk aankhon mein sulgtay howe so jatay hain
yeh meri ankh jo banjar hai kai sadion say

kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
tu meri rooh ke ander hai kai sadio'n say

yeh mujhe sans bhi khul ke nahi lenay daita
meri sheh rag pe jo khanjar hai kai sadio'n say

mein ne jiss ke liye her shakhs ko naraz kia
rotth jaye na yehee darr hai kai sadio'n say

uss ki aadat hai jarhain kaat-te rehnay ki *wasi*
jo meri zaat ka mehwar hai kai sadio'n say