-
Ghazal
1.izterab _e_dil ki lazath mae tarap jata hun main..
bekali hoti hai kuch taskin ager pata hun main...
2.wo to ab ate nahin khud jaan se jata hun main..
apni kushish aqiri manzil pe ponchata hun main..
3.zist bad_e_marg ke munkir mujh hi ko dekh le..
her nafas merta hun her dam zindagi pata hun main...
4.mera afsana rahe ga yaad kis ko mere bad..
apni beti aap hi khud bhulta jata hun main...
5.jahelni perti hai afath baher_e_izhar _e_kamal..
tisha_e_folad hun pathar se takrata hun main...
6.zindagi tofan mae aur ser pe hai koh_e_alam..
par hona chata hun dobta jata hun main...
7.in ke haan jane se qusroo rokte ho kiyn muje..
bath kuch ho ya na ho soorath to dekh aata hun main...
mohd abdul qader khan urf qusroo.
-
Re: Ghazal
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules