comp main 24 Members ne participate kiya..
ab polling shuro horahe hai.
Rules:-
Ek member ek hi daffa vote kr skta h.
Aap apni sharing ko vote nahi kar sktey.
Vote krney ki last date 28th Dec 2010 hai.
naz
sara shk
Vampire
tanhae
Sadaf
captain planet
Killer
SanoriTa
InNoCeNT ROmEO
seven tiles
Mishaal
InNoCenT GiRl
shm
Hijab
~*Heer*~
Hasil-e-Zeest
Zindagi
tayyaba
zeeno
qurat
zuhair
shaan
insh
Sohana
comp main 24 Members ne participate kiya..
ab polling shuro horahe hai.
Rules:-
Ek member ek hi daffa vote kr skta h.
Aap apni sharing ko vote nahi kar sktey.
Vote krney ki last date 28th Dec 2010 hai.
naz
Udaasi Ka Kinara Abhi
Kaha Tak Sath Chalta Hai
Jahan Tak Umar Jati Hai
Wahan Tak Sath Chalta Hai
Yeh Shayad Ishq He Hai Jo
Ziyah Tak Sath Chalta Hai...!!!
Farhat Abbas Shah
sara shk
Sham ki khamoshi mieN
Jab diya Udaasi ka ..
Hum'klaam hota hai ..
Koi Zard'gooN pata ..
Shaakh ki Bulandii se ..
laR'khaRa k girta hai ..
Shaam k Andherey mieN ..
Koi Maangney Wala ..
Jab Sdaa Lagata hai ..
Koi Jab Ghareebi mieN ..
beTiyooN ka Mustaqbil ..
dekh kar larazta hai ..
Koi Bey'Nwaa BeTa ..
Ehl-e-Zar k BeyTooN ko ..
Bey'kassi se takta hai ..
Koi Paalshee laRka ..
Baabu'yooN k BooT'TooN par ..
Bursh Jab ragaRta hai ..
dard Jaag uThta hai ..
Ik Mareez-e-Bey'Waaris ..
Bey'Bassi k Aalam mieN ..
eRiyaaN ragaRta hai ..
door deyss ka raahii ..
Jab Safar k Aalam mieN ..
Iss jahaaN se Jata hai . .
Koi Sheyr Jiss Lamhey ..
Shaakh-e-chashm par Puk kr ..
Masl-e-Ashk girta hai ..
dard Ik Samandar hai ..
dil ka chaand reh reh kar ..
Iss mieN Doob Jata hai ..
dard Jaag uThta hai ..
Vampire
sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
k hay mazeed udasi dawa udasi ki
amoor-e-dil mein kisi tesry ka dakhal nahi
yahan faqat teri chalti hy ya udasi ki
bahut sharer tha main aur hansta phirta tha
phir ek faqeer ne de di dua udasi ki
chiragh-e-dil ko zara ehtiat se rakhna
k aaj raat chaly gi hawa udasi ki
bahut dinon se mulaqat hi nahi MOHSIN
kahein se khair khabar le k aa udasi ki...!!!
tanhae
ai dil-e-raayegaaN udaas udaas
phir rahe ho kahaaN udaas udaas
chaaNd ek umr se safar meN hai
aasmaaN aasmaaN udaas udaas
jab bhii dekhaa hai jhaaNk kar dil meN
ho gayaa sab jahaaN udaas udaas
zindagii khel hai udaasii kaa
ham yahaaN, tum vahaaN udaas udaas
kyaa udaasii sivaa nahiiN kuch bhii
ai mere laa-makaaN udaas udaas
raat phir kyuuN jaagte ho aaKhir
is tarah merii jaaN udaas udaas
ek taraf Gham haiN ek taraf KhushiyaaN
aur maiN darmiyaaN udaas udaas
Sadaf
captain planet
Udas Larki
jo ban pary tou...
ye khud sy kehna kabhi tou Janan!
k tum ko ati hai yad ab bhi
wo ek sundar udas larki
wo khoe khoe si ankho wali
wo uljhi uljhi si socho wali
wo jhoti muskaan ko laboo per sajany wali
wo bat by bat roth kr man jany wali
satany wali.......manany wali
wo ek sundar udas larki!!!!!!!!
Killer
SanoriTa
"Kis le'ay ab udas bethi ho"
Jab wo ik shakhs dastras mein tha
us say milna tumharay bus mein tha
us ki aankhain tumhari aankhain thin
us ki baatain tumhari baatain thin
us ka chehra tumhara chehra tha
us k dil per tumhara pehra tha
us ki her sans mein basi thin tum
us k her lafz mein khili thin tum
us k sapnoon mein bhi rachi thin tum
us ki neendoon mein jagti thin tum
wo jo kehta tha bay-qarari hai
meri sari wafa tumhari hai
sirf tum say mujhay muhabbat hai
sirf tum say meri haqiqat hai
kitni baatain mein keh naheen sakta
door tum say mein reh naheen sakta
tab tum us k her aik jumlay ko
tab tum us k her aik jazbay ko
ik hansi mein urraya karti thin
sun k tum bhool jaya kerti thin
us ki aankhoon dekhti jab wo
bay-niyazi k dard sehta tha
bhool jana tumhari a'adat thi
phir bhi kitna malol rehta tha
apni tanha'i k galay lag ker
sary aansoo wo ro gaya ik din
aik pathar say dil lagi ker k
khud bhi pathar ka ho gaya ik din
ab wo tum say tou kuchh naheen kehta
bay-nayazi k dukh naheen sehta
us ki aankhain abus ki aankhain hain
us ki baatain ab us ki baatain hain
bhool gana tumhari a'adat hai
us ki baatoon ko bhool jaoo na!!
ab wo ik shakhs dastras mein naheen
us say milna tumharay bus mein naheen
kis leay ab udas bethi ho?
(Atif Saeed)
InNoCeNT ROmEO
Khizaaon ki udasi hai jo ab tak dil pe chayee hai
Baharon ka haseen mosam kahin say sath lana tum
Yeh mana aur bhi tum ko jahan main hain bohat say ghum
Magar duniya k melon main humay mat bhool jana tum
Meray ashaar hain jitney, tumharay naam karta hun
Ghazal meri suno jab bhi ghazal main doob jana tum
Agar tum say kabhi koi meray baray main poochay to
Faqat itni si khuwahish hai, mujhe apna batana tum
Koi jab alwidayee mosamon ka zikr chairay to
Nami ankhon main mat rakhna, hamesha muskurana tum
seven tiles
Mishaal
Udaasi
Tum Usay Kehna
Hawa Kay Haath Mein
Kuch Bhi Nahi Hai
Aur Sadaa veeran Phirti Hai
Khalaa Jo Zaat Ki
Har Chaar Dewari Kay Ander Hai
Kabhi Bhi Khul Kay Roo Paya Nahi Hai
Tum Usay Kehna
Tera Bichra Hoa
Ujray Huye Shehro’n Mein
Akser Bhagta Phirta Hai
Akser Jagta Phirta Hai
Soo Paya Nahi Hai
Aur…. Udaasi
Usay Kehna
Tumhi Dukh Mein Nahi Ho
Hum Bhi Apni Raakh
Haatho Mein Liye
Aur Siskiyaa Leti Hui
Tanhaiyon Kay Baal Kholay
Bain Kertay Hain
Udasi Tum Usay Kehna
Tumhi Dukh Mein Nahi Tanha
Yaha Per Bhi Hawa ke
Haath Mein Kuch Nahi Hai
Khalaa Jo Zaat Ki
Har Chaar Deewari Kay Ander Hai
Kabhi Bhi Bhar Na Paye Ga
Yaha Bhi
Har Sadaa Weeran Phirti Hai
Yaha Bhi
Chahnay Walo Ka Nadeeda Khuda
Judai Kay Kisi Ban Mein
Bhatakta Phir Raha Hai.
InNoCenT GiRl
تھکا گیا ہے مسلسل سفر اداسی کا
اور اب بھی ہے میرے شانے پہ سر اداسی کا
وہ کون کیمیا گر تھا کہ جو بکھیر گیا
تیرے گلاب سے چہرے پہ زر اداسی کا
میرے وجود کے خلوت کدے میں کوئی نہ تھا
جو رکھ گیا ہے دیا طاق پر اداسی کا
میں تجھ سے کیسے کہوں یار مہربان میرے
کہ تو علاج نہیں میری ہر اداسی کا
یہ اب جو آگ کا دریا مرے وجود میں ہے
یہی تو پہلے پہل تھا شرر اداسی کا
نہ جانے آج کہاں کھو گیا ستارہِ شام
وہ میرا دوست میرا ہمسفر اداسی کا
فراز دیدہ پر آب میں نہ ڈھونڈ اسے
کہ دل کی تہہ میں کہیں ہے گہر اداسی کا
shm
HAMA WAKT RNJO MALAL KYA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
USAY YADD KER K NA DIL DUKHA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
NA GILA KIYA NA KHAFA HOY YOUNHE RASTY MEI JUDA HOY
NA TU BEWFA NA MEIN BEWAFA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
WO GHAZAL KI AIK KITAB THA WO GULON MEIN AIK GULAB THA
ZARA DER KA KOI KHAWAB THA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
WO UDDAS DHOUP SAMEET KR KAHEN WADION MEIN UTER CHUKA
USY AB NA DY MERY DIL SADA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
YE SAFAR B KITNA TAWEEL HY YAHAN WAKT KITNA KALEEL HY
KAHAN LOT KAR KOI AY GA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
MUJHY PAT JHARON KI KANIYA NA SUNA SUNA K UDAS KAR
TU KHIZAN KA PHOOL HY MUSKURA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
WO WAFAIN THE K JAFAIN THE YE NA SOCH KIS KI KHATAIN THE
WO TERA HY USKO GLAY LAGA JO GUZERGYA SO GUZER GYA
TUJHY ITBARO YAKEEN NAHI NAHI DUNYA ITNE BURI NAHI
NA MALAL KAR MERY SATH AA JO GUZER GYA SO GUZER GYA
Hijab
~*Heer*~
Udas ruut, intizar mausam
Hawa ki yakh basta ahato'n se parey
Khamoshi ki zard chaddar badan par orhay
Khazan raseedashajar ki tehni pe jhoolta chand keh rha hai
K so bhi jao!
K So bhi jao udas logo!
Wo anjuman jis ki jhilmilati tamam shamein
Tamam ratein
Tamam batein
Kabhi tumhari mohabato'n se bhare zamano ki turjuman thee
Kabhi tumhare tamam lamhon pe meharban thee
Wo anjuman ab tumhari sochon se door
Khawabon ki dastakon se parey sajey gi
Wahan ye naubat nahi bajey gi
Kabhi tumhare badan ki khushboo se khelti thi Jo raat rani
Wo hijr k adh khuley dareechay mein hanptey hoe
Akhri sans le rhi hai
Udas logo!
Ujjar ankhon k aine tor do k in mein
Na koi aks nigar e hasti
Na koi basti he bsa sako ge
Bas ik matae e hayat baki hai ab jise tum
Gawa sako ge
To is se pehle k sans ki dorrii toot jaye
Hawa ki hatheli se
Khushbuon ka har aik rishta he toot jaye
Kiran kawaron ko band kur k
Ujjar khawabon ki rehguzar ka ghubar ankhon mein bhar k
Har su hawa k hathon bikhar bikhar k
Khud apne andar k dukh ki mitti mein kho bhi jao!
Hawa ye kehti hai so bhi jao
Udas ruut
Intizar mausam
Kabhi kisi k na ho sakein ge
Udas logo!
Hasil-e-Zeest
Chand k saath meri baat na thi pehli si
Raat aati thi mager raat na thi pehli si
Hum teri yaad se kal shab bhi miley thay laikin
Yeh mulaqat mulaqat na thi pehli si
Abb k kuch aur tarah ki thi udaasi inn mein
Chand taaro'on ki yeh baat na thi pehli si
Ishq ne pal mein badal di meri saari duniya
Main ne daikha k meri zaat na thi pehli si
~ Parveen Shakir ~
Zindagi
Thaki Thaki Si Aas Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Koi To Dard Ras Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy Nidhal
Yon Hoy K Sab Zaruratain Hee Marr Gai
Na Bhook Hy, Na Pyas Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Ajeeb Tarah K Waswason Main Girr Gai Hy Zindagi
Umeed Hy Na Aas Hy , Yeh Dil Baht Udaas Hy
Yeh Tu Hy Ya Lutta Putta Hoa Koi Khayal Hy
Koi To Aas Pass Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Har Aik Ko Pakar Pakar K Poochtay Rahy
Kahan Wo Gham Shnash Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Kabi Kabi To Sochtay Hain, Bass Yahi Kehtay Chalain
Yeh Dil Baht Udaas Hy, Yeh Dil Baht Udaas Hy.
tayyaba
zeeno
boht shokh chanchal c larki batao
nami c ye ankhon may
kun hay batao..
odasi ki koi vajha b to ho gi
kisi nay tumhara
kya dil hay dukkhaya
odas or tanha c
kun ho batao
bura na manao
to ik bat bolon
odasi zara tum pai
sajti nahe hay..
qurat
Udasi main bht s aur dukh bhi ghair letay hain musaafir ko
udasi main kai bhooli hoi batain bhi aksr yaad ati hain
udasi main nazr snwlaay janay k boht imkaan hotay hain
udasi main bharay aur hnstay bstay shehr bhi weeraan hotay hain
udasi main teri awaaz aksr hi sunaai deti rehti hai
udasi main teri khamoshi bhi goonjti rehti hai rooh k undr
udasi main hr ik mausam ki rngat hi badl jati hai lamhon main
udasi mai fizaain aanso'on ki bhaap se bheegi hi rehti hain.
zuhair
Ahmed Faraz
shaan
UDAAS
aaj to be-sabab udaas hai ji
ishq hota to koi baat bhi thi
jalta phirta hun kyun do-pahron main
janey kya cheez kho gayi meri
wahin phirta hun main bhi khak ba-sar
is bharey shahar main hai ek gali
chupta phirta hai ishq duniya se
phailti ja rahi hai ruswayi
hamnashin kya kahun k wo kya hai
chor ye baat neend uraaney lagi
aaj to wo bhi kuch khamosh sa tha
main ne bhi us se koyi baat na ki
ek dam us ke haath choom liye
ye mujhe baithe baithe kya sujhi
tu jo itna udaas hai ‘Nasir’
tujhe kya ho gaya bata to sahi.
insh
Sohana
Udas Chand Khulay Paniyon Mein Chor Gia
Wo Apna Chehra Meray Aansuon Mein Chor Gia
Hawa K Jhonkay Say Larzi Thi Ek Shakh-E-Gul
Kisi Ka Dhayaan Mujhy Khushbuon Mein Chor Gia
Galay Milay Thay Mohabbat Ki Taiz Dhoop Mein Hum
Ya Kon Urtay Huay Badlon Mein Chor Gia
Ya Kis Nay Humein Sajaya Geeli Mitti Say
Phir Es K Bad Ghani Barishon Mein Chor Gia
Safar K Pahlay Parrao Mein Marnay Wala Shakhs
Ajeeb Khoof Humaray Dilon Mein Chor Gia
Es Ehtaman Say Bikhray Huay Hain Phool HASSAN
Nishani Jasay Koi Raston Mein Chor Gia...!!!
waalikumsalam
voted
روز و شب کے میلے میں
غفلتوں کے مارے ہم
بس یہی سمجھتے ہیں
ہم نے جس کو دفنایا
بس اسی کو مرنا تھا
voted
voted