-
mErE masrOof saathi. . .
mere masroof saathi, tum se bus itni guzaarish hai
bahut zyaada nahiiN kehna, merii itni si khwahish hai
mujhe maloom hai majboor ho haalaat ke haathoN
mujhe samjho bahut majboor hooN jazbaat ke haathoN
ruteiN atii haiN jatii haiN, magar hamdam nahiiN aate
agar ik baar rooTheN, laut ke mausam nahiiN aate
merii chaahat ka, ulfat ka tumheN ehsaas hi kab hai
mujhe dene ko ik pal bhi tumhaare paas hi kab hai
tumheN maloom hai zindagi bhala kaise bitaati hooN
tumheN jab yaad kartii hooN, maiN sab ko bhool jatii hooN
agar masroof ho jayeN to kyaa sab bhool jate haiN
muhabbat ki hasiin yaadeN kyooN yaa-_rab bhool jaate haiN
mere aansoo bahut pyaare haiN, mere sath rehte haiN
inheN mujh se muhabbat hai, mera gham ye bhi sehte haiN
agar ye intizaar-o-bebasi-o-dard mere haiN
to kya samjhooN mere hamdam, yehii hamdard mere haiN?
khilaaya ho Khuda ne kya kabhii sehra meiN gul dekha
agar in meiN tirii chaahat nahiiN, miT jaaye har rekha
kabhi dekha, chamakna chaand bhooola ho kisii shab bhi
agar baadal ne ghera ho, jhalak dikhlaata hai tab bhi
agar sooraj nahiiN chamke to har jaanib andhera ho
to phir socho tumhare bin yahaaN kaise sawera ho?
agar fursat mile hamdam to is per sochna laazim
magar tum beqadar, sangdil, sitamgar, behis-o-zalim
tumheN ishq-o-wafaa, chaahat, muhabbat ka pata kya hai?
hasiin jazbaat haiN, in se tumhara waasta kya hai?
Khuda_vand joRh ke dil kis liye yooN toRh detaa hai
to phir kis ke sahaare jag meiN tanha choRh detaa hai
atao karne ko ik pal ki agar fursat nahiN tum ko
to phir is ka to matlab hai, koii chaahat nahiiN tum ko
bahut chhoTe si zindagi meiN bahut chhoTii sii hasrat hai
mujhe tum yaad kar lena agar mujh se muhabbat hai!
like karlo
kOi bhEE aisa lamha nahi. . .
jismEin mEre tU hOta nahi.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules