Mujhay aksar yeh kahti thi
mohabat kuch nahi hoti


hijr ka khof be matlab,
wasal k khawab be maaini

koi soorat nigahon main kahan din raat rahti hai

ussay kiyun khamoshi kahiye k jis main baat rahti hai

ye aansoo be zubaan aansoo bhalla kia bol saktay hain

kahan dil main kisi ki yaad say toofan uthtay hain

kahan palkon k saye main nammi din raat rahti hai

kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rahti hai


mujhay aksar yeh kahti thi
mohabbat kuch nahi hoti


magar jub aaj barson baad main nay usko daikha hai

k uski jheel aankhon main
hijr ka khof rahta hai

wasal k khawab rahtay hain
wahan barsaat rahti hai

youn lagta hai
kaai raaton say
woh soyee nahi shayad

youn lagta hai
kissi ki yaad ab din raat rahti hai

aur uski naram palkon k
haseen saye bhi geelay hain

aur uski khamoshi aisi k
jis main baat rahti hai

mujhay ab woh nahin kahti
mohabat kuch nahi hoti