Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey Hawaas par
Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho
Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin
Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Ki Gharaz
Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho
Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat
Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho
Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab
Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal
Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash
Tum Dard Ho To Rooh Pay Chaey Ho Aaj Kal
Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka
Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya
Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag
Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya
Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed
Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho
Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish
Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho
Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka
Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho
Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui
Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho
Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams
Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho
Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kishaan.
Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kayenaat Ho
Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour
Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi
Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay
Lekin Terey Bagheir......
Adhoori hay Zindagi