chiini ki guRiya si jab voh
ChhoTe ChhoTe qadam uThhaati
meri janib aati hai to
us ke laboN par ek sitaara khilta hai
"papa"
Allah! is aawaz meN kitni rahat hai
nanneh nanneh haath baRhaa kar jab voh mujh ko Chhuuti hai to
yuuN lagta hai
jaise meri ruuh ki saari sachchaai
us ke lams meN jaag uThhti hai
ai maalik, ai arz-o-sama ko chuTki meN bhar lene vaale
tere sab maamuur Khazaane
meri ek talab,
mera sab kuChh mujh se le le
lekin jab tak
is akaash pe taare jalte bujhte haiN
mere ghar meN raushan rakhna
yeh masuum hansi!
ai duniya ke rab
koii nahiiN hai is lamhe tere mere paas
sach sach mujh se keh,
tere in maamuur KhazanoN ki be_ant girah meN
bachche kii masuum hansi se ziyaada pyaari shai
kya koi hai?