voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai

jaise un nazmoN ka mehwar
us kii apni zaat nahiiN hai,

yaani itni sundar laRki aur koii bhii ho sakti hai!

jaise us ko ilm nahiiN hai yeh saari baateN us kii haiN

saari ghaateN us kii haiN

har aahaT hai us kii aahaT, sab saaye haiN us ke saaye

saare mehmal us ke haiN

har Khushbu hai us kii Khushbu, sab chehre haiN us k chehre
saare aanchal us ke haiN

jaise us ko ilm nahiiN hai us laRki ke saare kaam
saare naam usii ke haiN

her khiRki hai us kii khiRki, saare baam usii ke haiN

us laRki ke naam se jo kuChh maiN ne apne naam likha hai
us se hi mansuub hua hai

shaayad mera veham ho lekin maiN ne yeh mehsuus kia hai

jab maiN nazm sunaata huuN voh aankh churaane lagti hai

mujh se nazareN mil jaayeN to voh sharmaane lagti hai

kuChhh lamhe voh chanchal laRki gum sum sii ho jaati hai

lekin thoRi der meN phir se pathar kii ho jaati hai

jaise meri nazm kii laRki!!