Mohabbat Naam Ka
Jo Jazeera Hai
Wahan Jana
Paray Jo Tum Ko
Hamari yaad Ko
Saath Le Lena
Suna Hai is Jazeeray Par
Kabhii Do Hans Rehte Thay
Woh ek Dujay Ki aankhon
Me Khuwab Chuntay Thay
Wafa K Tane Bane Reshmi Batoo'n Say Buntay Thay
Phir eik Roz Ki
Tajdeed
Bhi Karte Thay
Mager Rut K
Badaltay
Hi Hua aisay
Woh Dono Mukhtalif
Samton Me Chal Nikle
Suna Hai Phir ek Sath
Dono Ko Nahin Dekha
Mohabbat Naam Ka
Jo Jazeera Hai
Wahan Jana
Paray Jo Tum Ko
Toh us Tanha
Shajar
K Pass Bi Jana
K Jis Ki Sari Shakhon
Kay Libaadoo'n Par
Her Janib Kisi Ka
Naam Likha Hai
Suna Hai
Likkhnay Waka Zindagi
Bhar
Kuch Nahi Likh Paya
Woh apnii ungliyoo'n Per
Khoon
Ki Mohren Laga Betha Hai
Muqadar Daar Kar Baitha
Woh Khud Ko Haar Baitha
Mohabbat Naam Ka
Jo Jazeera Hai
Wahan Jana
Paray Jo Tum Ko